Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



pehli mohabat ka khasara yaad rehta he

Ghazal Shayari

bhanvar ki gaud me jaisey kinara sath rehta he
kuch aisay hi tumhara aur hamara sath rehta he

mohabbat ho k nafrat ho usee se mashwara hoga
meri harr kafiyat me iste’aara sath rehta he

safar me ain mumkin he me khud ko chhor doon lekin
duayen karne walon ka sahara sath rehta he

mere maula ne mujhko chahaton ki saltanat de di
magar pehli mohabat ka khasara yaad rehta he

agar “Sayyad” mere lab par mohabbat hi mohabbat he
to phir ye kiss liye naffrat ka dhara sath rehta he



Wohi bekaar ki batain, wohi bekaar ke kissey

Ghazal Shayari

Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey
Gulo gulzar ki batain, lab o rukhsaar ke kissey

Yahan sab ke mukadar mein fakat zakhm e judai hai
Sabhi jhotey fasaney hain wasal e yaar ke kissey

Bhala ishq o mohabbat se kis ka pait bharta hai
Suno, tum ko sunata hoon mein karobar ke kissey

Mere ehbaab kehte hain yehi ik ae’ib hai mujhe mein
Sar’e deewar likhta hon mein pas’ey deewar ke kissey

Mein aksar is liye logon se ja kar khud nahin milta
Wohi bekaar ki batain, wohi bekaar ke kissey



Tum mairay liye ab to koi bad?dua karo

Ghazal Shayari

Hoti nahi wafa, to jafa hi kiya karo
Tum bhi to koi rasm-e-mohaabat ada karo

Hum tum pay mar mittay to ye kiska qasoor hay?
Aaeina lay kay hath main khud faisala karo

Ab un pay koi baat ka hota nahi asar
Minnat karo, sawaal karo, iltija karo

Sharminda hoon kay maut bhi aati nahi mujhay
Tum mairay liye ab to koi bad?dua karo

Baitho na mehfilon main zamana kharab hay
Daikho hamaari baat kabhi sun liya karo

Shahid kabhi to daikhay ga wo tumko jhaank kar
Un ki gali main roz tamaasha kiya karo



Dard barhaa lyta hoon

Ghazal Shayari

Apna Dard Barha Layta Hoon
Us Ko Pass Bul Layta Hoon

Us Ko Jab Bhi Dhundhnay Niklon
Apna Aap Ganwa Dayta Hoon

Sab Say Juda Rehnay Ki Khatir
Sab Ko Dost Bana Layta Hoon

Jungal Rah Main Aa Jaye Tu
Maa Ke Ak Dua Layta Hoon

Sari Baat Kar Kay Bhi Main
Us Ki Baat Chupa Layta Hoon

Har Ak Kaam Main Jaldi Kar Kay
Har Ak Kaam Barha Layta Hoon

Wo Tu Wo Hay Saad Main Aksar
Khud Say Dhoka Kha Layta Hoon



Zindagi Wabaal Na Ho

Ghazal Shayari

Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray
Woh Fasl-e-Gul Jissay Andesha-e-Zawwal Na Ho

Yahan Jo Phool Khillay Khila Rahay Sadiyon
Yahan Say Khizan Ko Guzarnay Ki Majaal Na Ho

Yahan Jo Sabza Ugay Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz Kay Jisski Koi Misaal Na Ho

Khuda Karay Kay Na Kham Ho Sir-e-Wiqar-e-Watan
Aur Iss Kay Husn Ko Tashweesh-e-Mah o Saal Na Ho

Har Aik Fard Ho Tahzeeb-o-Fun Ka Aouj-e-Kamaal
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho

Khuda Karay Meray Aik Bhi Ham Watan Kay Liyay
Hayat Jurram Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho



Bikhar gaye hain tera intizar karte huye

Ghazal Shayari

Tere firaq ke lamhe shumaar karte huye
Bikhar gaye hain tera intizar karte huye

To mein bhi khush hoon koi ja ke us ko keh de
Agar woh khush hai mujhe beqarar karte huye

Mein muskurata hua aayine mein ubhroon ga
Woh ro pare ga achaanak singhaar karte huye

Tujhe khabar bhi nahin koi toot geya hai
Mohabaton ko bohat payedaar karte huye

Mujhe khabar thi ke ab laut kar na aaon ga
Wada yeh khud se kiya hai intizar karte huye



kabhi jo hum nahi hoon gy..

Ghazal Shayari

kabhi jo hum nahi hoon gy,
kaho kis ko batao gy,

wo apni uljahnain sari,
wo becheni main dooby pal,

wo ankhon main chupe ansu,
kise phir tum dikhao ye,

kabhi jo hum nahi hoon gy,
bohat bechain ho gy tum,

bohat tenha reh jao gy,
abhi b tum nahi sumjhe,

hamari unkahi batein,
mager jub yaad aayen gy,

bohat tum ko rulayen gy,
bohat chaho gy phir b tum,

humein na dhoond pao gy,
kabhi jo hum nahi hoon gy..



Hum ko saza de do

Ghazal Shayari

hum gunahgaar hai
hum ko saza de do
mout aa jaye hume
bus itni si dua de do
mere yaar mujh ko khushi se saza da gaya
…hath tham kar mera kisi or ka saath de gaya
hum ne wafa ka tum se itna sila paya hai
dil chhalni huya hai or rona ab aaya hai
hum ko mohaabat par aitbaar na raha
tere baad kisi se pyaar na raha



Uss ki baatein udas ker dengi

Ghazal Shayari

Apni tanhaiyon se poocha hai
Shab-e-hijran se baat ker li hai
Mere andar ki sehmi khamoshi
Mere bahar ka hansta chehra bhi
Raat ke sansanate lamhe bhi
…Din ka dasta huwa ujala bhi
Zabt ka toot?ta yeh bandhan bhi
Sabar ka chuut?ta yeh daman bhi
Uss ki yaadein bhi kuch isharon mein
Mujh ko majboor ker rehe hein sab?
Aao ab us ke paas chalte hein
Uss se kehte hain kuch dawa ker dey
Apni fitrat ko chor ker ek pal
Koi wada tau woh wafa ker dey
In ki baaton se kuch nahi ho ga
Aakhri faisla tau dil ka hai
Dil yeh kehta hai?uss se milne se
Apni tanhaiyan he acchi hein
Ab akele mein lag gya hai dil
Uss se milne hamein nahi jana
Uss ki baatein udas ker dein gi..!!!



Jo meri aankhon se khwaab dekho

Ghazal Shayari

Jo meri aankhon se khwaab dekho
to ik bhi shab na so sako gey
keh laakh chaho na huns sako gey
hazaar chaho na ro sako gey
keh khuaab kya hain azaab hain ye
…merey dukhon ki kitaab hain ye
rafaqattein inn main chouttein hain
mohabbatein inn main roothti hain
panapti hain inn main wheshattein si
aziyattein inn main phouttein hain
inhi kay dar se khizaan hain jazbey
inhi se shaakhein si tootti hain
ghamon ki bandish hain khwaab merey
ubal raha hay dukhon ka laava
rehn-e-aatish hain khwaab merey
khayal saarey jhulas gaye hain
sulagti khuahish hain khwaab merey
ukharti saansein hain zindigi ki
lahoo ki sazish hain khwaab merey
jo meri aankhon se khuaab dekho
to ik bhi shab na so sako gey


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari