Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Theher jaao

Ghazal Shayari

Theher jaao ke hairaanii tu jaaye
tumhaarii shakl pahachaanii tu jaaye

shab-e-Gam tuu hii mahamaan ban ke aajaa
hamaare ghar kii viraanii tu jaaye
……
zaraa khul kar bhii ro lene do ham ko
ke dil kii aag tak paanii ho jaaye

balaa se toorr Daalo aaeenon ko
kisii suurat ye hairaanii tu jaaye



Kabhi Kabhi

Ghazal Shayari

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
to shadab ho bhi sakti thi.

Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.

Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham teri justjoo bhi nahin.

Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.

Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.

Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.



Lakh doori ho magar…

Ghazal Shayari

Lakh doori ho magar ehad nibhate rehna.
Jub b barish ho mera soog manate rehna.
Tum gay ho to sari shaam ye adat tehri.
Bus kinare pe khare hath hilate rehna
Jane is dil ko ye adab kahan se aaye.
…Us ki rahoo me nigahoo ko bichate rehna.
1 modat se ye maamool howa hai ab to.
Aap hi roothna aap hi manate rehna.
Tum ko maaloom he Saqi, ye pagal pan he.
Door jate howe logoo ko bulate rehna..



bachpan k dukh

Ghazal Shayari

bachpan k dukh kitne ache hote thay
tab to srif khilone tota karte thay
woh khushyn bhi jane kesi khushyn then
titli k par noch k uchla karte thay
…bachpan k dukh itne ache hote thay
paon mar k khud barish k pani m
upni naao aap diboya karte thay
chote thay to makro fareeb bhi chote thay
dana dal k chiryan pakra karte
ab to anso bhi ruswa kar jate hn
bachpan m to ji bhar k roya karte thay
khushbo k urte hi q murjhaya phool
ktne bhole pan pocha karte thay
bachpan k dukh kitne achay hote thay
tab to srif khilone tota karte thay



Ishq to Dhoong hai

Ghazal Shayari

Tu ne keha ke ishq dhong hai
tujhe ishq ho khuda kare
koi tujh ko us se juda kare
tere honth hansna bhool jaen
teri aankh pur nam reha kare
…tujhe hijr lage wo ghari
tu her pal milan ki dua kare
tu usay dekh k ruk pare
wo nazar jhuka k chala kare
phir tujhe ishq pe ho yaqeen
tu usay tasbioon men perha kare
phir men kahoon ishq tu dhoong hai
tu nahi nahi keha kare!!~~



Na mumkin si koshish

Ghazal Shayari

Kabhi kuch soch k likhna kabhi kuch soch k parhna

ye na mumkin si koshish he muhabbat soch k karna!

kisi ka dilruba chehra aur us ki dill nasheen ankhen

k jis ko dekh k jeena usi k naam pe marna

ye na mumkin si koshish he muhabbat soch k karna!

khayalon men bana lena kisi ka akks dhere se

chura k rang sapnon k kisi ki ankh men bharna

ye na mumkin si koshish he muhabbat soch k karna !!



AGER TUM PAAS HOTE

Ghazal Shayari

ager tum paas hote tou
karam ki inteha karte
tumein palkoon pe rakhte hum
tumein dil me basaty hum
…ager tum rooth jaty tou
tumein kitna manaty hum
tumari galtiyoon ko b
hansi me taal dete hum
ager apni khata hoti tou
khud he ko saza dete
mager ye sab tou tb hota
AGER TUM PAAS HOTE TOU….!!!!!!!!!



Suno Larki..!

Ghazal Shayari

Abhi TuM Ishq Mat Karna,
Abhi Gudiya Se Khelo TuM,
TuMhari UMar Hi Kya Hai,
Faqat Satrah Baras Ki Ho,
Abhi MasooM Bachi Hai,
Nahi MaluM Abhi TuMko,
Ke Jab Ye Ishq Hota Hai,
To Insaan Kitna Rota Hai,
Sitaare Toot Jaate Hai,
Saharae Chhut Jaate Hai,
Abhi TuMne Nahi Dekha,
Ke Jab Sathi Bichadte Hai
To Kitna Dard Milta Hai,
Ke Har Farqat Ke MausaM Mein
Hazaron GuM Ubharte Hai,
Hazaron ZakhM Khulte Hai,
Suno Ladki…
Meri Mano
Padhai Par Tawajo Do,
Kitabon Mein Gulabon Ko
Kabhi Bhoole Se Mat Rakhna,
Kitabein Jab Bhi Khologi,
Ye Kaanto Ki Tarah Dil Mein
Chubhenge Khun Bahenge,
TuMhe Pehron Satayenge,
Kisiko Khat Nai Likhna,
Likhayi Pakdi Jaati Hai,
Badi Ruswai Hoti Hai,
Kisiko Phone Mat Karna,
Sadayein Dil Dukhati Hai,
Wo Awazein Satati Hai,
Meri NazMein Nahi Padhna,
Ye Mehshar Utha Dengi,
TuMhe Pagal Bana Dengi,
Suno Ladki…
Meri Mano
Apni Takdeer Se TuM
Khulke Mat Ladna
Abhi Gudia Se Khelo TuM,
Abhi TuM Ishq Mat Karna…



Tery Naam

Ghazal Shayari

“Sirf tery Naam”

Ik chota sa sapna tha

us sapne me koi apna tha/>
…us apne me kuch sukoon tha

/> jo zindagi ka junoon tha

us junoon me ik rahat thi

jo sirf teri chahat thi />us chahat me ik andaz tha

jo meri dharkano ka raaz tha

us raaz me ik khushbothi

jo meri soch ki justuju thi/>
us justuju me ik yad ha

/> Os yad me ha ek sham

Jo ha “SIRF TERY NAAM”….



Mujhy Maloom Na Tha

Ghazal Shayari

Wo Mohabat Ka Khuda Hai Mujhe Malom Na Tha.

/> Sajda Usko Bhi Karna Hai Mujhe Malom Na Tha.
/>Wo Bicharne Laga Mujh Se To Anaa Toot Gai.
/>Roth Jana Hi Ada Hai Mujhe Malom Na Tha.
…/>Subha Hone Pe Bhi Aankho Se Andhera Na Gaya./>
Raat Suraj Se Khafa Hai Mujhe Malom Na Tha./>
Roth Jane Pe Manana Use Aata Hi Nahi./>
Ye Bhi Meri Hi Khata Hai Mujhe Malom Na Tha. />

Zindgi Jurm-e-Anasar Hai Zamane Mein /> “WASI”

Sans Lena Bhi Saza Hai MujheMalom Na Tha…….


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari