Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



jazbaaton say kheltay dekha hay

Ghazal Shayari

Apno ko apno kay jazbaaton say kheltay dekha hay,
Jhoot suun suun kay sach ka katl hotay dekha hay,

Nahi farq padta unhein kay kya guzeregi kisi pay,
Unhe to bas humnay armano ko kuchaltay dekha hay,

Lamha lamha dur honay ka dard sata.ta rehta hay,
Uss doori ka ham nay faida unhein uthatay dekha hay,

Kar kay sitam phir khaatay hain apno ki jhooti kasam ,
Unn kasmo ko ham nay hamesha tut-tay huay dekha hay ,

Farebi nahi hain ham phir bhi kehlatay hain farebi ,
Farebi kahay hamein uss ko ham nay hastay huay dekha hay,

Sambhali apni her khushi uss sachi ibadat kay liyay ,
Khushian bant-tay ham nay unhein gairo kay saath dekha hay,

SEHER tuo lay jay gi apna sab dard khud mein samait kay,
Lekin iss dard mein ham nay bohton ko jaltay dekha hay.



Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Ghazal Shayari

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana

Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay



Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee

Ghazal Shayari

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota

Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota

Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota

Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota

Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota

Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota

Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota

Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna[black] Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota



Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha

Ghazal Shayari

Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha
Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha

Kahin na kahin to badal hi jatay hain silsilay
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha

Jane kyun qatratay hain log mujhe milne say
Kal shab dair talak aaina dekhta raha

Pani mangte magte meray honth pathar ho gaye
Woh shaks mashkiza liye khara dekhta raha

Be-gunah tha phir bhi sir jhukaye hue
Sitam-gar ki sitam ki inteha dekhta raha

Umar bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha
Main usay or woh duniya dekhta raha

Kahon ga KHUDA se youm-e-hisaab ko MOHSIN
Ke zamana meri barbadi ka tamasha dekhta raha



Teri yaad kahin rakh kar bhool gaya hoon

Ghazal Shayari

Socha tha pehlay kar loon woh kam jo mujh ko karnay hain
Phir tou saray mah o sal usi kay sath guzarnay hain

Jub yeh farz ada kar loonga jub yeh qarz utaroon ga
Umr ka baqi hissa teri yad kay sath guzaroon ga

Aaj faraghat patay hi mazi ka daftar khola hay
Tanha’ee main baith kay apna ik ik zakhm tatola hay

Chan chuka hoon jism o rooh per aa’ee hu’ee kharashoon ko
Ulat pulat kar dekh liya hay arman oon ki lashoon ko

Kamray main rakha tha usay..ya dil main kahin dafnaya tha
Janay woh anmol khazana main nay kahan chupaya tha

Sari umr ka hasil thi yeh khonay wali cheez na thi
Soch raha hoon yad tiri gum honay wali cheez na thi

Warq warq dekha hay ap ni gard alood kitaboon ko
Jaisay koi bedari main dhoond raha ho khawaboon ko

Muddat say jo bund pari thi woh almari dekhi hay
Zang lagay sandooq ki her sha’ay bari bari dekhi hay

Kamray main phaila kar main nay suit puranay dekh liyay
Apni likhnay wali maiz ka saray khanay dekh liyay

Aql kay hathoon say bhi aksar nadani ho jati hay
Bohut sanbhaal kay rakhnay per bhi cheez kabhi kho jati hay

Apnay saray ghar waloon ko deewa na sa lagta hoon
Is kamray say us kamray main khoya khoya phirta hoon

Soch samjh kar dunya ki nazroon say chupa kar rakha tha
Main nay tou is yad ko apnay liyay bacha kar rakha tha

Teri yad kahin rakh kar main bhool gaya hoon



Mohabbat ki asiri say rehai mangtay rehna

Ghazal Shayari

Mohabbat ki asiri say rehai mangtay rehna
Bohat aasan nahi hota judai mangtay rehna

Zara sa ishq kar lena,zara si aankh bhar lena
Awiz is kay magar sari khudai mangtay rehna

Kabhi mehroom honton par dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat min us ki narsai mangtay rehna

Wafaon kay tasalsul se mohabbat rooth jati hai
Kahani main zara si bewafai mangtay rehna

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kh ibadat ho gai
dil ki Sukooot-e-sham-e-gham se humnumai mangtay rehna

Kabhi bachay ka nannhay hath par titli k par rakhna
Kabhi phir us kay rangon se rehai mangtay rehna



kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye

Ghazal Shayari

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye

zara khud ko sambhalo mera dil dhadak raha hai
koi aur tair-e-dil tah-e-daaman aa na jaaye

jise soonke toot jaaye mera aarzoo bhara dil
teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye

woh ke manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein
inhi rehzahon mein tera kahin naam aa na jaaye

yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe
mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye…



karta use beqarar kuch der

Ghazal Shayari

karta use beqarar kuch der
hota agar ikhtiyar kuch der

kya royein fareb-e-aasmaan ko
apna nahin aitbaar kuch der

aankhoN mein kati pahaar si raat
so ja dil-e-beqaraar kuch der

ai shehar-e-tarab ko jaane waloN
karna mira intizaar kuch der

bekaifi-e-roz-o-shab musalsal
sarmasti-e-intizaar kuch der

takleef-e-gham-e-firaaq dayem
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der

ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahaar kuch der

dunyaa to sada rahegi Nasir
ham log hain yaadgaar kuch der



Wo Samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga

Ghazal Shayari

Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga

Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga

Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga

Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga

Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga

Naraz agar wo hain Mere Nasheman se
Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga

Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye
Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga



Woh Yaar Hamara Kaise Hai

Ghazal Shayari

Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata,
Wo yar hamara kaisa hai?

Jo bhool gaya hum ko kab se,
Wo jaan se pyara kaisa hai ?

Kia us ko jeewan lamho mein,
Koi lamha mera baqi hai ?

Kia uski jaagti aankhon main,
Meri yaad se phaili udasi hai ?

Kia wo bhi meri tarah yun hi,
Shab bhar jaga kerta hai ?

Kia wo bhi saya-e-rehmat main,
Hamain RAB se manga karta hai ?

Agar aisa nahi to tu hi bata,
Hum yaad use Kion kertay hain ?

Wo humse bicher ker khush hai agar,
To hum pal pal kion marte hain ?


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari