Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



jane kis ki thi khataa yaad nahin

Ghazal Shayari

jane kis ki thi khataa yaad nahin
hum huye kese judaa yaar nahin

aik shola sa uTha tha dil main
jane kis ki thi sadaa yaad nahin

aik naghma sa suna tha maine
kon tha shola navaa yaad nahin

roz dohraate they afsana-e-dil
kis tarah bhool gaya yaad nahin

ik faqat yaad hain jana un ka
aur kuch is ke siwa yaad nahin

tu meri jaan-e-tamana thi kabhi
ae meri jaan-e-wafa yaad nahin

haal-e-dil kaise tabassum ho bayan
jaane kya yaad hai kya yaad nahin



palak pe Thehra hua namm sanbhaalta hai mujhe

Ghazal Shayari

palak pe Thehra hua namm sanbhaalta hai mujhe
yeh intezar bhi kya kamm sanbhaalta hai mujhe

kabhi gumaan na karna ke main akela hoon
bichaRrne wale tera gham sanbhaalta hai mujhe

chuRra ke hath mera sabar aazmata hai
gale laga ke phir aikdum sanbhaalta hai mujhe

gham-e-hussain mera gham nihaal karta hai
misal-e-dost moharram sanbhaalta hai mujhe

jo hijr o visaal ke mabain aik mausam hai
udasiyon ka woh mausam sanbhaalta hai mujhe

sanbhaalta hai mujhe kuch yeh kaar-e-girya aur
tera gulaab bhi baham sanbhaalta hai mujhe



sitara-war jale phir bujha diye gaye hum

Ghazal Shayari

sitara-war jale phir bujha diye gaye hum
phir is ke baad nazar se giraa diye gaye hum

azeez thay humen nau-varidan-e-kucha-e-ishq
so peeche haTte gaye rasta diye gaye hum

shikast o fateh ke sab faisle huye kahin aur
misal-e-maal-e-ghaneemat luTa diye gaye hum

zameen farsh-e-gul-o-lala se sajayi gayi
phir is zameen ki amanat bana diye gaye hum

duayen yaad kara di gayi theen bachpan main
so zakhm khate rahe aur dua diye gaye hum



zakham taaza naheen karen ge hum

Ghazal Shayari

zakham taaza naheen karen ge hum
tujhe dekha naheen karen ge hum

humen kar lo qabool aeb samait
warna acha naheen karen ge hum

tazkara ap ka bhi ho ga magar
walihaana naheen karen ge hum

aap ka ehteram apni jagah
phool zaaya naheen karen ge hum



sahraa na de mujhe kabhi daryaa na de mujhe

Ghazal Shayari

sehraa na de mujhe kabhi daryaa na de mujhe
kuch bhi woh shakhss hasb-e-tamanna na de mujhe

jane laga hoon samne se us ke uTh ke main
par dil main hai woh rok le rasta na de mujhe

main aakhri hoon apne qabeele ka aadmi
tu maslehat ki oTt main marwa na de mujhe

ae rab-e-khawb chashm-e-takhayur ki khair ho
jo khawb de hai khawb ka chehra na de mujhe



kar loon ga jama daulat o zar, us ke baad kya

Ghazal Shayari

kar loon ga jama daulat o zar, us ke baad kya ?
le loon ga shandaar sa ghar, , us ke baad kya ?

mai ki talab jo hogi to ban jaon ga main rind
kar loon ga maikadon ka safar, us ke baad kya ?

hoga jo shauq husn se raaz o niaz ka
kar loon ga gesuyon main sahar, us ke baad kya ?

sher o sukhan ki khoob sajaon ga mehfil-en
duniya main ho ga naam magar, us ke baad kya ?

mauj aye gi to saare jahan ki karoon ga sair
wapis wohi purana nagar, us ke baad kya ?

ik roz maut zeest ka dar khaTkhaTaye gi
bujh jaye ga charagh e qamar, us ke baad kya ?

uthi thi khaak, khaak se mil jaye gi wahin
phir us ke baad kis ko khabar, us ke baad kya ?



Kar mere zakham pe ik baar nazar

Ghazal Shayari

Kar mere zakham pe ik baar nazar
teri ankhon main shifa hai mere dost

maut bhi jis se rihaa kar na sake
zindagi aesi saza hai mere dost

kya bataon teri khamoshi se
kesa tufaan uTtha hai mere dost

meri ankhon main janaza hai koi
aur ashkon main dua hai mere dost

mere qatbe pe adaa kar dena
aik bossa jo qazaa hai mere dost

teri khatir mere daaman main faqat
sher hai, sher bhi kya hai mere dost

yeh mere zakhmi tabasum ka khumaar
tere lehje ki ataa hai mere dost

tere hone ka gumaan rehta hai
hijr bhi kesa nasha hai mere dost

jis se aasaab chaTtahte hain mere
tu ne woh shor suna hai mere dost

main tujhe bhoolna chahoon bhi to kyun
tu mera samt-numaa hai mere dost

tu bhi ik roz chala jaye ga
umar bhar kon ruka hai mere dost

maine chooma hai tere maathe ko
tu yeh samjha hai ke hawaa hai mere dost

aaj rone ka maza aye ga
aaj tu khul ke hansaa hai mere dost

asmaan jaise zameen se mil jaye
tu humen aese mila hai mere dost

ishq hi mere taaqub main nahin
aur bhi aik balaa hai mere dost

Ttees uTthi hai kahin andar se
zakhm kuch gehraa laga hai mere dost

chand nikla hai na tu aya hai
raat ne shikwa kiya hai mere dost

kum nahin ho rahi bechani meri
maine cigarette bhi piya hai mere dost

phir teri yaad ka nakhun aa kar
mere seene se laga hai mere dost

phir harey ho gaye cHaale dil ke
phir tujhe dekh liya hai mere dost



gira pathar uThana paRr raha hai

Ghazal Shayari

gira pathar uTthana paRr raha hai
talluq hai nibhaana paRr raha hai

aziyat hai yeh sanjeeda mizaaj-i
humen khud ko hansaana paRr raha hai

hum us ke paas hain saare ke saare
usse yeh bhi batana paRr raha hai



main neem shab main sitaron ko dekhta hi nahin

Ghazal Shayari

main neem shab main sitaron ko dekhta hi nahin
sau ishq jaisa mujhe koi masla hi nahin

woh shakhss jis se mujhe bepanah mohabbat hai
kabhi libas-e-bashar main mujhe mila hi nahin

bas aik baar usse muskurate dekha tha
koi nazara nigahon ko phir jacha hi nahin

ajeeb tarz ki mehroom-iyon se guzre hum
jo zindagi tha wohi zindagi main tha hi nahin

woh ankh jo uthi nahin kabhi hum par
woh aik teer jo hum par kabhi chala hi nahin

bas aik soz-e-daroon tha jo jalta bujhta raha
charagh-e-ashq sar-e-taak-e-chashm tha hi nahin



khud apne sath usse dekhna museebat hai

Ghazal Shayari

khud apne sath usse dekhna museebat hai
juda woh mujh se rahe, yeh juda museebat hai

bohat se qareeb se dekha hai ishq koi maine
bata raha hoon tujhe dostaa museebat hai

yeh habs-e-zaat yeh saye yeh dagmagati lau
meri namoon ko yeh aab-o-hawaa museebat hai

kiye huye to ho sar par sawaar us ko barar
tumhi kaho ge ik din yeh kya museebat hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari