Hussani Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Hussani Shayari Poetry. Feel free to add your own Hussani Shayari Shayari here.

Hussani Shayari Collection

Hussaini Shayari and Karbala Poetry is poetry on Hazrat Hussain, who is a prophet. Hussani Shayari is loved by people who are fans of Hazrat Hussain and who follow Hazrat Hussain a lot. We have lots of Hussani Shayari for you.



Selaab Dekhta Hoon

Hussani Shayari

Selaab Dekhta Hoon Tou Hota Hai Ye Gumaan
Paani Phirta Hai Talash-E-Hussain Main



Phir Aaj HAQ K Liye

Hussani Shayari

Phir Aaj HAQ K Liye Jaan Fida Kare Koi
Wafa Bhi JHOOMUthe Yun Wafa Kare Koi
Namaz 1400 Saalon Se Intizar Main Hai
HUSSAIN Ki Terha Mujh Ko Adaa Kare Koi



Malik Hussain Hai

Hussani Shayari

Baatil K Saamne Jo Jhukaye Na Apna Sir
Samjho K Us K Zehan Ka Malik Hussain Hai



Aankhon Ko Koi Khwaab

Hussani Shayari

Aankhon Ko Koi Khwaab Tou Dikhayi De
Tabeer Me Imam Ka Jalwa Dikhayi De
Aye ! Ibn-E-Murtuza Tere Saamne
Suraj Bhi Ek Chota Sa Zarra Dikhayi De



Karbala Walon Ka Gham

Hussani Shayari

Karbala Walon Ka Gham Ghar Ghar Main Manaya Jaye Ga
Maqsad-E-Shabeer Aalam Ko Bataya Jaye Ga
Yaad Ker K Jo Na Roya Karbala Walon Ki Pyaas
Qabar Se Tishna Wo Mehshar Main Uthaya Jaye Ga



Kat Kay Bhi Sab Se Jo Ooncha Hai

Hussani Shayari

Kat Kay Bhi Sab Se Jo Ooncha Hai Wo Sar Kis Ka Hai
Lut K Abaad Hai Ab Tak Wo Jo Ghar Kis Ka Hai
Takht Walon Ne Muar?rikh Bhi Khareede Honge
Zikr Dunia Main Magar Shaam-O-Seher Kis Ka Hai



Tareekh De Rahi Hai

Hussani Shayari

Tareekh De Rahi Hai Ye Awaaz Dum Ba Dum
Dasht-E-Sabat-O-Azm Hai Dast-E-Bala-O-Gham
Sabr-E-Maseeh Wa Jura?at Suqraat Ki Qasam
Is Rah Main Hai Sirf Ek Insaan Ka Qadam
Jis Ki Rago?n Mein Aatish-E-Badr-O-Hunain Hai
Us Soorma Ka Isme Girami ?HUSSAIN? Hai



Sajday se karbala

Hussani Shayari

Sajday se karbala Ko Bandagi Mil Gai
Sabar Se Ummat Ko Zindagi Mil Gai
Ek Chamman FATIMA(S.A) Ka Ujra
Magar Sarey Islam Ko Zindagi Mil Gai



Karbala Walon K Naam

Hussani Shayari

Jin K Sajdo?n Se Munawar Hai Jabeen-e-Aftab
Mere Harfo?n Ki Ibadat Un Khuda Walo?n K Naam
Meri Sheh-rug Ka Lahoo, Nazar-e-Shaheedan-e-Wafaa
Mere Jazbo?n ki Aqeedat Karbala Walon K Naam..



Tere Dil Main Kaisi Girah Pari

Hussani Shayari

Tere Dil Main Kaisi Girah Pari Tujhay Us Se Itna Hasad Hai Kyun?
Jo Nabi(S.A.W.) Ki Aankh Ka Noor Hai Jo Ali Ki Rooh Ka Chain Hai
Kabhi Dekh Apne Khameer Main Kabhi Pooch Apne Zameer Se
Wo Jo Mit Gaya Wo Yazeed Tha, Jo Na Mit Saka Woh Hussain Hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Hussani Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari