Urdu Islamic shayari
This website contains Urdu Islamic shayari. Feel free to add your own Urdu Islamic shayari here.Advertisement
Islamic shayari
Islamic shayari is loved by all muslims. Islamic shayari and Islamic poetry are common keywords to search poetry on islam. we keep our Islamic shayari collections fresh, so remember us whenever you like to read Islamic shayari.
Mohabbat Kis Se Ki Jaye ?
Islamic shayari
Mohabbat Kis Se Ki Jaye . .?
Duniya Se .?
Ye To Rulaati Hai .
Phoolon Se .?
Ye To Murjhaa Jaate Hain .
Paise Se .?
Ye To Rishte Torta Hai .
Bulaandi Se .?
Ye To Mun Ke Bul Giraa Deti Hai .
Khushi Se .?
Ye To Waqti Tor Ki Hoti Hai .
Logon Se .?
Ye To Bewafa Hote Hain .
To Phir Akhir Mohobbat Kis Se Ki Jaye . .?.
.
.
.
MUHAMMED (S.A.W.W.) Se . . .
Jo Us Din Bhie Saath Nibhaein Ge Jis Din Maa Baap Bhie Apni Awlaad Ko Bhool Jaein Ge. . . .=)
Sub’Haan’ALLAH. . . =’)?
…
AapKo Mubarak Ho Mahina RASOOL Ka..
Islamic shayari
Dunia Ki Har Fiza Mein Ujala RASOOL Ka,
Ye Sari Kainaat Hai Sadqa RASOOL Ka,
Khushboo Gulab Hai Pasina RASOOL Ka,
AapKo Mubarak Ho Mahina RASOOL Ka..
Rabi-ul-Awal Mubarak…
…
Khudaa Humko Aisi Khudaayee Na De
Islamic shayari
Khudaa Humko Aisi Khudaayee Na De
Ke Apne Siwaa Kuch Dikhaayee Na De
Qataawaar Samjhegi Duniyaa Tujhe
Ab Itni Ziyaada Safaayee Na De
Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahut
Qalam Cheen Le Roshnaayee Na De
Khudaa Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhaayee Na De
(Qataawaar = Guilty )(Roshnaayee = Ink)
…
Koi har gya koi jeet gya, ye saal b akhir beet gya..!
Islamic shayari
Koi har gya koi jeet gya,
ye saal b akhir beet gya..!
Kabi sapny sjaye ankho me
kbi beet gae pal baton main,
kuch talkh sy lamhat b thy,
kuch hadsy aur sadmat b thy,
kuch berukhi kuch becheni,
kuch mun main simti weeraani.
Kuch lamhe thy yadgaar bht,
kuch lamhon ko brbaad kia..
Per ab k baras,
RUB se dua ha ye ,
koi pal na apka udas guzry,
koi rog na apko raas guzry,
ap pholon ki trha khila kreyn,
koi shakhs na ap se gila kry,
ap khush rho abad rho,
apka khwab ngar abad rhy,
ap jo chahy wo ho jay,
ap jo mango wo mil jay,
apki maf wo hr ik khata kry,
apko asey hi Rab ata kry.
AMEEN.
…
Yon phir raha hai kanch ka pekar lie hoe
Islamic shayari
Yon phir raha hai kanch ka pekar lie hoe,
Ghafal ko ye gaman hai k pathar na ae ga.
…
Zafar admi us ko na jane ga ho wo kaisa hi sahab e fehm o zaka
Islamic shayari
Zafar admi us ko na jane ga ho wo kaisa hi sahab e fehm o zaka,
Jise ishq me yad e khoda na rahi jise taish me khof e khoda na raha.
…
Daikh kar bhi tere jalwe nahin daikhe jate
Islamic shayari
Daikh kar bhi tere jalwe nahin daikhe jate,
Wohi pabandie adaab e nazar hai k jo thi.
…
Aye khuda teri shaan dekh raha hun
Islamic shayari
Aye khuda teri shaan dekh raha hun
Bina satoon kay khara asmaan dekh raha hun
Teri jalwa giri hai jaga jaga
Teri ibadat say gafil yah jahan dekh raha hn
…
Zindagi mein kuch na de sako to
Islamic shayari
Zindagi mein kuch na de sako to na sahi.
Agr tum se pehle mar jaun to bakhshish ki dua zarur dena…!..
…
Namaz parha karo
Islamic shayari
“Anmol Bat”
Jab “RAB” se baat karne ko dil chahe to “NAMAZ” parha karo,
Or jab tm chahte ho k “RAB” tm se baat kare to “QURAN” parha karo.
…
Ibtida hø kuch is tarha se
Islamic shayari
Ibtida hø kuch is tarha se tery naam k sath, ( YA ALLAH )
K din guzar jaye teri rahmatøn k nazøøl men..!!
…
Mere aamal ka badla to jahannum hi tha
Islamic shayari
Mere aamal ka badla to jahannum hi tha
Maii to jaata magar sarkar(s.a.w.)ne jaane na diya
…
Humko Ali ke ishq ne aala bana diya
Islamic shayari
Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!!!!
Qatra Tha Hussain(as) Ne Dariya Bana Diya!!!!
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!!!!
Humko Gham-e-Hussain(as) Ne Kaaba Banadiya!!!
…
Jo ghalti kr nahi skta wo FARISHTA hai
Islamic shayari
Imam Ghzali
“Jo ghalti kr nahi skta wo FARISHTA hai,
jo ghlti kr k us pr datt jaye wo SHETAN hai
or
jo ghalti pr foran touba kr ley wo INSAAN hai”…
…
Agar tum sabar karo aur Allah se darte raho
Islamic shayari
Al-Qur’aan : Agr Tum Sabar Kro Aur Allah Se Darrtay Raho
Tau Inn (Kaafiro’n ) Ka Makar Tum Ko Zra Sa Bhi Nuqsaan Nhi Pohnchaa Sakta.
(Parah #4, Surah, Al-Imraan, Ayat #120)
Jum’aa Mubarak And Subha Bakhair..!
…
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Islamic shayari.



