Islamic shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Islamic shayari Poetry. Feel free to add your own Islamic shayari Shayari here.

Islamic shayari Collection

Islamic shayari is loved by all muslims. Islamic shayari and Islamic poetry are common keywords to search poetry on islam. we keep our Islamic shayari collections fresh, so remember us whenever you like to read Islamic shayari.
People tend to search islamic poetries in the holy month of Ramadan, so its also called Ramadan Poetry.



Banai Kya KHUDA Ne Sohni Surat MUHAMMAD Ki

Islamic shayari

Ho Ali Ke Naam Se Toofan Bhi Khauf Khate Hain
Jinhe Yakin Nahi Wo Doob Jate Hain
Farishte Qabr Me Kuch Aur Poochhte Hi Nahi
Zuban Pe Naam-E-Ali Sun Ke Laut Jate Hain



Sohni Surat MUHAMMAD Ki

Islamic shayari

Banai Kya KHUDA Ne Sohni Surat MUHAMMAD Ki
Huye Aashiq Wo Jisne Dekh Li Surat MUHAMMAD Ki

Kamal-E-Husn-E-Yusuf Pr Faqt Ashiq Zulekha Thi
KHUDA Khud Jis Pe Ashiq Hy Wo Surat Hy MUHAMMAD Ki

Muslamano Ko Jab Janat K Darwazy Pe Rokengy
Hukum Hoga K Jany Do Ye Ummat Hy MUHAMMAD Ki



Abhi Sasti Hay Namaz

Islamic shayari

Momin K Liye To Jan-E-Hasti Hay NAMAZ
Iman Ki Aghosh Me Basti Hay NAMAZ
Milti Nahi Mehshar Me Kisi B Qeemat Par
O Zindagi Walon Parh Lo Abhi Sasti Hay Namaz



Har Roz Musalman Hota Hay

Islamic shayari

Phir Un Ki Gali Main Pohnchay Ga
Phir Sahu Kay Sajday Karay Ga
Is Dil Par Bharosa Kon Karay
Har Roz Musalman Hota Hay



Ager Alif Se Lo Insann Ali

Islamic shayari

Ager Alif Se Lo Insann Ali
Be Se Kamil-Burhan Ali
Te Se Tatheer Ki Jaan Ali
Se Se Saqlain Ki Shaan Ali
Har Makhfi Baat Ka Raaz Ali
Aur Jeem Se Pak Jawaz Ali
Makdoor Ali Taqdeer Ali
He Se Haq Ki Tasweer Ali
Khe Se Khatmul-Quran Ali
Aur Khaliqa Ka Shahkar Ali
Shazada-E-Husun-O-Jamal Ali
Re Se Rehbar Har Haal Ali
Wahid Ki Qasam Wajid Bhi Ali
Hai Ze Se Zahid Bhi Ali
Be-Badal Ali Baaqi Bhi Ali
Mera Sin Se Hai Saaqi Bhi Ali
Sucha Sacha Kafi Bhi Ali
Aur Sheen Se Hai Shafi Bhi Ali
Hai Suad Se Sabik Zikr-E-Ali
Aur Zuad Se Zamin Fiqr-E-Ali
Ta Se Tarfain Mein Noor-E-Ali
Za Se Purnur Zahoor-E-Ali
Rutba Hai Khuda Ke Wali Ka Ali
Aur Ain Se Naam Ali Ka Ali
Hai Gain Se Pak Gani Bhi Ali
Fe Se Fazal-E-Rabbi Bhi Ali
Mera Kaaf Se Kibla Ali Ali
Aur Kaaf Se Kaaba Ali Ali
Hai Mim Se Shan-E-Ma Bhi Ali
Aur Mun Kunto Maula Bhi Ali
Hai Noon Se Noor-E-Khuda Bhi Ali
Wow Se Wajhul-La Bhi Ali
Sun Lo Ain-Ul-Lah Peer Ali
Aur Ye Se Yad-Ul-Lah Peer Ali
Emaan Ali Eeqaan Ali
Sultan Ali Meri Jaan Ali



Ager Alif Se Lo Insann Ali

Islamic shayari

Ager Alif Se Lo Insann Ali
Be Se Kamil-Burhan Ali
Te Se Tatheer Ki Jaan Ali
Se Se Saqlain Ki Shaan Ali
Har Makhfi Baat Ka Raaz Ali
Aur Jeem Se Pak Jawaz Ali
Makdoor Ali Taqdeer Ali
He Se Haq Ki Tasweer Ali
Khe Se Khatmul-Quran Ali
Aur Khaliqa Ka Shahkar Ali
Shazada-E-Husun-O-Jamal Ali
Re Se Rehbar Har Haal Ali
Wahid Ki Qasam Wajid Bhi Ali
Hai Ze Se Zahid Bhi Ali
Be-Badal Ali Baaqi Bhi Ali
Mera Sin Se Hai Saaqi Bhi Ali
Sucha Sacha Kafi Bhi Ali
Aur Sheen Se Hai Shafi Bhi Ali
Hai Suad Se Sabik Zikr-E-Ali
Aur Zuad Se Zamin Fiqr-E-Ali
Ta Se Tarfain Mein Noor-E-Ali
Za Se Purnur Zahoor-E-Ali
Rutba Hai Khuda Ke Wali Ka Ali
Aur Ain Se Naam Ali Ka Ali
Hai Gain Se Pak Gani Bhi Ali
Fe Se Fazal-E-Rabbi Bhi Ali
Mera Kaaf Se Kibla Ali Ali
Aur Kaaf Se Kaaba Ali Ali
Hai Mim Se Shan-E-Ma Bhi Ali
Aur Mun Kunto Maula Bhi Ali
Hai Noon Se Noor-E-Khuda Bhi Ali
Wow Se Wajhul-La Bhi Ali
Sun Lo Ain-Ul-Lah Peer Ali
Aur Ye Se Yad-Ul-Lah Peer Ali
Emaan Ali Eeqaan Ali
Sultan Ali Meri Jaan Ali



Iss Shah Latif Ki Dharti Mein

Islamic shayari

Iss Shah Latif Ki Dharti Mein
Iss Amn-O-Pyar Ki Basti Mein
Mein Paida Hooa Iss Dharti Mein
Parwan Charha Iss Basti Mein

Khana Bhi Yahin Ka Khaya Hai
Pani Bhi Issi Dharti Ka Pya
Ab Marna Jeena Sub Kuch He
Iss Dharti Say Hi Jore Leya

Phir Mujh Say Door Kyon Rhetey Ho?
Kyon Mujh Ko Ghair Samajhtey Ho?
Mein Tum Say Alug, Tum Mujh Say Judaa
Kyon Aisi Sochen Rakhtey Ho?

Apnon Ko Ghair Samajhtey Ho
Gheron Ko Apna Samajhtey Ho
Tum Mano Isey Ya Na Mano
Yeh Dharti Meri Dharti Hai

Iss Shah Latif Ki Dharti Ko
Mein Apni Dharti Manta Hoon
Ab Iss Kay Silay Mein Tum Mujh Say
Kya Chahtey Ho? Yeh Mujh Say Kaho

Kuch Khul Kar Dil Ki Baat Karo
Kuch Mairay Dil Ki Baat Suno
Mein Sub Kuch Wo Kar Guzroon Ga
Tum Mujh Say Jo Bhi Chahtey Ho

Ik Bar Laga Kar Dil Say Mujhey
Tum Apna Samajh Kar Parkho To
Ik Phool Hoon Mein Apno Kay Leay
Aur Aag Hoon Mein Ghairoun Kay Leay

Seenay Say Laga Kar Daikho To
Dharti Kay Leay Basti Kay Leay
Har Din Ye Tamasha Hota Hai
Is Dharti Mein Iss Basti Mein

Kay Aapus Mein Hum Lartey Hein
Or Dushman Mauj Hi Kartay Hein
Kub Tak Ye Tamasha Ho Ga Kay
Hum Apna Khoon Hi Kartay Rahein

Aur Saaray Dushman, Ghair Subhi
Khushyoon Ki Mala Japtay Rahein
Ye Sara Tamasha Khatm Karein
Sub Doori, Talkhi Mita Dein Hum

Dharti Kay Sukh Ki Khatir Ub
Aapus Mein Aika Kar Lein Hum
Tum Haath Jo Aik Baraho Gay
Mein Dono Haath Barahoon Ga

Phir Dil Say Dil Mil Jaain Gay
Yoon Hum Sub Aik Ho Jaain Gay



Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi

Islamic shayari

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Larka Hai Khuda Ke Ghar Ka
Larki Hai Nabi Ke Ghar Ki
Woh Arzo Sama Ka Malik
Yeh Malka Behro Barki (Zami Rakhsa) Hai Rakhsa Asma Bhi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Hyder Hai Kulle Ima
Aur Kulle Ismat Zehra
Is Sar Pe Wafa Ka Sehra
Is Sar Pe Haya Ka Sehra (Woh Shezaada) Hai Aur Yeh Shahzaadi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Kheti Ne Bichaya Sabza
Suraj Ne Ujale Bante
Khud Dashte Khuda Ne Shaab Ke
Aanchal Pe Sitaare Taanke (Huwi Rangi) Jo Thi Tasviir Saadi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Bola Yeh Khuda Har Jaanab
Rehmat Ke Ghata Barse Gi
Jo Bogs Se Banjar Hoo Gi
Bas Woh Hi Zami Tarse Ge (Utho Jibrieel) Yeh Kardo Manadi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Dunya Ne Sawara Usko
Andaaz Naye Apnaye
Tahzeeb Ne Zaiwar Badle
Marboot Naye Silwaye (Mehek Uthi) Nasab Ki Paak Waadi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Dulha Ke Roop Mei Pyaare
Ali Ibne Abi Talib Hai
Tha Baap Bhi Sab Se Ghalib
Ye Bhi Kulle Ghalib Hai (Ye Damade) Nabi He Or Wo Samdhi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Baraat Chali Haider Ki
Rehmat Ke Saaye Saaye
Baraat Ke Aage Aage
Quran Qaside Gaaye (Nabi Saare) Chale Bankar Baraati

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Tohfe Mai Mile Mehk Aise
Inhe Kausar Or Jannat Ko
Ye Saara Namak Or Paani
Haq Mehr Mila Zehra Ko (Salaami Mei) Mili Marzi Khuda Ki

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Qudrat Ki Taraf Se Inko Abhi Tohfe Or Milenge
Kal Inke Haseen Angan Mei
Do Asli Phool Khilenge (Haseen Shajare) Jinhe Denge Salaami

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Wohh Abh Chahe Koi Bharke
Ab Chahe Koi Tarpe
Ab Meri Bhala Se Chahe
Marjaye Koi Jal Jal Ke (Khushi Ki Baat) Hi Mei Ne Sunadi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Keise Ho Bayan Woh Manzar
Jab Khatm Huwi Sab Rasme
Konain Ki Har Sheh Gohar Kehti Thi
Kha Kar Qasme (Mubarak Hai) Mubarak Hai Ye Shaadi

Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi



Quran Haathon Mein Leke Naabiinaa Ek Namaazii

Islamic shayari

Quran Haathon Mein Leke Naabiinaa Ek Namaazii
Labon Pe Rakhataa Thaa
Donon Aankhon Se Chuumataa Thaa
Jhukaake Peshaanii Yuun Aqiidat Se Chhuu Rahaa Thaa
Jo Aayatien Parh Nahiin Sakaa
Un Ke Lams Mahasuus Kar Rahaa Ho
Main Hairaan Hairaan Guzar Gayaa Thaa
Main Hairaan Hairaan Thahar Gayaa Huun
Tumhaare Haathon Ko Chuum Kar
Chhuu Ke Apanii Aankhon Se Aaj Main Ne
Jo Aayatien Parh Nahiin Sakaa
Un Ke Lams Mahasuus Kar Liye Hain



Paiwastah Rah Shajar Se

Islamic shayari

Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh

Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh

Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar Rakh

Aiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

Dil Main Naheen Jo Ishq To Kaahe Ki Bandagi
Sajday Main Apnay Sar Ko Agarche Hazaar Rakh

Kaaba Agar Naheen To Isay Butkada Bana
Dil Main Khuda Ki Yad Ya Tasveer-E-Yar Rakh

Hamlay Shadeed Honge Anaa Ke Khatiib Phir
Qaaim Khudi Ke Gird Khuda Ka Hisaar Rakh


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Islamic shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari