Urdu Latest Shayari
This website contains Urdu Latest Shayari. Feel free to add your own Urdu Latest Shayari here.Advertisement
Latest Shayari
Urdu Latest Shayari
Yaad Aati Hai Jo Marhoom Tamanna’on Ki
Latest Shayari
Yaad aati hai jo marhoom tamanna’on ki
Bhool jata hun k mehroom tamanna hun mein . . !
…
Meri Tarha Kisi Ko Bhi Khona Nahi’n Parra!
Latest Shayari
Meri tarha kisi ko bhi khona nahi’n parra
Tum khush-naseeb ho, tumhein rona nahi’n parra
Bin mangay mil gai tumhein har manzil
Talwo’n mein koi khaar chubhona nahi’n parra
Sad shukr, mujh dareeda badan ki tarha tumhein
Kaanto’n pe aik raat bhi sona nahi’n parra
Dushman se surkh’roo hun, k badla nahi’n liya
Sharminda apny aap se hona nahi’n parra
Rakhay tamaam chaak salamat, firaaq k
Pardes mein bhi seena parona nahi’n parra
Ki zindagi ne meri wakalat kuch is tarha
Baar-e-saboot bhi mujhy dhona nahi’n parra
Naazaa’n hun, apny qaalib-e-deewan mein mujhy
Bharti ka koi sher samona nahi’n parra . . . !
…
Mere dil mein utar kar dekho..
Latest Shayari
Mere dil mein utar kar dekho,
Tum bhi thori fikar kar ker dekho,
Roz rootho ke to roz manaon ga tumhe,
Chaand ban ke aangan mein utar kar dekho,
Chaand ko barra naaz hai hussn par,
Aik baar aayiney mein sanwar kar dekho,
Suna hai mohabbat duyayen deti hai,
Bas us ke liye thora sa bikhar kar dekho,
Aasman ka chand zameen par Wallah,
Sitaaro, aasman se utar kar dekho..
Zaheer Aashir
…
Wo jo jaan lay kar bhi waisa hi naik naam raha
Latest Shayari
Wo jo jaan lay kar bhi waisa hi naik naam raha,
Ishq kay baab mein sab jurm humare hi niklay..
…
Ye sab tumhari mohabbat ka ik tasalsal hai
Latest Shayari
Ye sab tumhari mohabbat ka ik tasalsal hai,
Esi liye tu hamesha dukhon ko paltey hain..
…
Ik halish ko hasil umer-e-rawaan rehnay dya,
Latest Shayari
Ik halish ko hasil umer-e-rawaan rehnay dya,
Jaan ker hum ne inhain naa meharbaan rehany dya..
..Adeeb
…
Ak bar meri simt bhi uthi thein wo nazrain,
Latest Shayari
Ak bar meri simt bhi uthi thein wo nazrain,
Ik shab mere aangan main bhi utray they sitaray..
(Ahmed zagher sadique)
…
Ab din main kaif hai naa koi shaam hi main rang,
Latest Shayari
Ab din main kaif hai naa koi shaam hi main rang,
her shey sey es key jatay hi lazat chali gai..
Zia ur rehman.
…
Ay ishq zaad mera janoon heiz ishq dekh,
Latest Shayari
Ay ishq zaad mera janoon heiz ishq dekh,
Main ne baghair rah key tujh tak safar kya..
…
Rafaqatun ki talab bhar gai zamanay main,
Latest Shayari
Rafaqatun ki talab bhar gai zamanay main,
Ab wafaa se ziada zaroratain hain aziz..
…
Yeh jesay log hain wesay nazaar nahi atey,
Latest Shayari
Yeh jesay log hain wesay nazaar nahi atey,
Rafaqtun main chupi hain adawatain kya kya..
…
Yeh koun bataye, Adam abad hai kya,
Latest Shayari
Yeh koun bataye, Adam abad hai kya,
Toti hui qabrun se sadaa tak nahi ati..
…
Ye mojza bhi mohabbat kabhi dekhaye mujhe,
Latest Shayari
Ye mojza bhi mohabbat kabhi dekhaye mujhe,
Ke sang tujh pe giray aur zakhaam aye mujhe..
…
Yeh moujza teri angrai sey howa afshaa,
Latest Shayari
Yeh moujza teri angrai sey howa afshaa,
Tery wujood ka her rang asmaani hai..
…
Yeh aur baat hai saqi key mujhai hosh nahi,
Latest Shayari
Yeh aur baat hai saqi key mujhai hosh nahi,
werna main kuch bhi hoon ehsaan faramosh nahi..
…
Advertisement
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Latest Shayari.













