Latest Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Latest Shayari Poetry. Feel free to add your own Latest Shayari Shayari here.

Latest Shayari Collection

Urdu Latest Shayari



Ye Charagh-e-Anjuman !

Latest Shayari

Ye charagh-e-anjuman to hain bus aik shab k mehmaan
To jala wo shama ae dil! jo bujhy na kabhi jal sakay!



Yehi Kahaingy Jo Pucha Gaya Wahan Hum Se. .

Latest Shayari

Yehi kahaingy jo pucha gaya wahan hum se
Jiye to khaak, magar zindagi guzaar aaye. !



Karri Dhoop Ka Safar. .

Latest Shayari

Yun kis tarha kattay ga karri dhoop ka safar?
Sir per khayal-e-yaar ki chaadar hi lay lain . !



Ye Phool Apni Latafat Ki Daad Paa Na Saka!

Latest Shayari

Ye phool apni latafat ki daad paa na saka
Khila zaroor magar khil k muskura na saka. !



Ghar Kis K Liye Veeran Rehta Hai?

Latest Shayari

Kaha : Din ko bhi ye ghar kis k liye veeran rehta hai?
Yahan kia hum sa koi be-sar-o-saamaan rehta hai?

Dar-o-deewar sannaattay ki chaadar mein hain khuwab’eeda
Bhala aisi jaga zinda koi insan rehta hai?

Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya:
Yahan ik dil shikasta sahib-e-deewan rehta hai

Kaha: Kia is k risht-e-daar bhi nahi milny aaty?
Jawaab aya : Ye sehra raat din sunsaan rehta hai

Kaha : Is k ghar k aangan mein hain kuch phoolo’n k poday bhi
Jawab aaya k khaali phir bhi her guldaan rehta hai.

Khuda ka shukr hai hum ik fiza mein saans laity hain
Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai . !



Tum Ne Hi Majboor Kiya . .

Latest Shayari

Tum ne hi majboor kiya hai, Mujh ko raah badalny per
Jeewan k be-ant safar mein, Ghair ka ho kar chalny per

Meine tumhari aasha’on ka, Her her roop saraha tha
Meine apna aap bhula kar, Tum ko toot k chaha tha

Umer ki ujli deewaro’n per, Qismat ka andheyaara tha
Aur boht they suraj lekin, Tum sa charaagh hi piyara tha

Lekin tum hi mery maseeha, Nafrat k saanchay mein dhal kar
Ik Din mery saamney aa gaye, Qaatil ka behroop badal kar

Ab kia shikwa, Kesi Shikayat, Chahat k sab rishtay kachay
Mein bhi aur tum bhi har-jaai, Mein bhi theek aur tum bhi sachay. . !



Ye Almiya Hai . . !

Latest Shayari

Ye almiya hai mery ghar k paasban’on ka
Parry jo wakt tou apas mein larrny lagty hain . !



Yaad Aati Hai Jo Marhoom Tamanna’on Ki

Latest Shayari

Yaad aati hai jo marhoom tamanna’on ki
Bhool jata hun k mehroom tamanna hun mein . . !



Meri Tarha Kisi Ko Bhi Khona Nahi’n Parra!

Latest Shayari

Meri tarha kisi ko bhi khona nahi’n parra
Tum khush-naseeb ho, tumhein rona nahi’n parra

Bin mangay mil gai tumhein har manzil
Talwo’n mein koi khaar chubhona nahi’n parra

Sad shukr, mujh dareeda badan ki tarha tumhein
Kaanto’n pe aik raat bhi sona nahi’n parra

Dushman se surkh’roo hun, k badla nahi’n liya
Sharminda apny aap se hona nahi’n parra

Rakhay tamaam chaak salamat, firaaq k
Pardes mein bhi seena parona nahi’n parra

Ki zindagi ne meri wakalat kuch is tarha
Baar-e-saboot bhi mujhy dhona nahi’n parra

Naazaa’n hun, apny qaalib-e-deewan mein mujhy
Bharti ka koi sher samona nahi’n parra . . . !



Mere dil mein utar kar dekho..

Latest Shayari

Mere dil mein utar kar dekho,
Tum bhi thori fikar kar ker dekho,

Roz rootho ke to roz manaon ga tumhe,
Chaand ban ke aangan mein utar kar dekho,

Chaand ko barra naaz hai hussn par,
Aik baar aayiney mein sanwar kar dekho,

Suna hai mohabbat duyayen deti hai,
Bas us ke liye thora sa bikhar kar dekho,

Aasman ka chand zameen par Wallah,
Sitaaro, aasman se utar kar dekho..

Zaheer Aashir


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Latest Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari