Mother Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Mother Shayari Poetry. Feel free to add your own Mother Shayari Shayari here.

Mother Shayari Collection

Who does not love Moms ? Mother Shayari and Mother Poetry is a way to express our love to our mothers. Expressing love with Mother Shayari is so beautiful. Ranjish.com has lots of Mother poetry for you to dedicate to your mother.



Maut ki aghosh main jab thak ke so jati hai maan..

Mother Shayari

Maut ki aghosh main jab thak ke so jati hai maan,
Tab kahin ja kar raza thora sakoon pati hai maan,

Kab zaroorat ho meri bachon ko itna soch kar,
Jagti rehti hain ankhen aur so jati hai maan,

Pehle bachon ko khilati hai sakoon aur chain se,
Baad main jo kuch bacha woh shauq se khati hai maan,

Phair lete hain jis waqt nazar bete aur bahu,
Ajnabi apne hi ghar main haye ban jati hai maan,

Hum ne yeh bhi nahin socha alag hone ke baad,
Jab dia hi kuch nahin hum ne to kya khati hai maan,

Baad mar jaane ke bete ki khidmat ke liye,
Bhaiss beti ka badal kar ghar main aa jati hai maan,

Pyar kehte hain kise aur mamta kya cheez hai,
Koi un bachon se pooche jin ki mar jati hai maan..



Faqat pyar meri maan..

Mother Shayari

mother shayari

Is zulm ki duniya main faqat pyar meri maan,
Hai mere liye saaya deewar meri maan,

Nafrat ke jazeeron se mohabbat ki hadhon tak,
Bass pyar hai, haan pyar hai, pyar meri maan..



Amaa mujh ko roti do..

Mother Shayari

Amaa mujh ko roti do
Kal bhi tum ne baaton se
An-dekhi saughaaton se
Mera jee behlaaya tha
Mujhe khaali paitt sulaaya tha
Lekin ab na sehh paaon ga
Aaj na bhooka reh paaon ga

Acha mera laaal zara bahar khel ke aa jao
Main choolhe ki aatish pr
Kisi gumnaam vaseele ka
Koi hawaala rakhti hoon
Tere bhooke honntton pr
Ik tar nivaala rakhti hoon

Maan ne barassti ankhon se
Darwaze ke hilte bhatt main
Zeest ka chand dhundhlaaya dekha
Munne ka jaata saaya dekha
Phir uss ne apne kaanon main
Khud hi apni goonj suni
Ke jism ke thekkedaar ke paas
Mere iss zakham ka marham hai

Ik lamha tha shayed jeevan ka
Jab maaan ne apni betti ko
Baich diya aatte ke ivaz
Aur apne laaghar kandhon pr
Apni hurmat ki laash uthaaye
Ghar ko palatt parri ke jese
Koi sazaa-e-maut ka mujrim
Bojhal bojhal qadmon se
Phaansi-ghaat ko chalta hai

Amaa khushbuu kehti hai ke
Tum ne maamta ke taishe se
Faaqon ki singlakh chittanon main
Rizq ki nehar nikaali hai
Amaa mujh ko lagta hai
Aaj christmas, eid, diwali hai

Aapa, Aapa tum bhi khana kha lo
Dekho maan ke hathon ki mehak
Roti main shaamil hai
Iss pr tum ne do din se
Paani ka dhoka khaya hai
Khud ko bhook main tarrpaaya hai

Amaa aapa kidar hai ?
Kissi bassti main utri hai ?
Kaise tujhe samjhaaon beta
Kaise tujhe dikhaaon beta
Ab yeh daagh numaayan hai
Mere iss daaman maille pr
Teri aapa bikk gayi hai
Ik aatte ke thailay pr..

Watch Video



Aye raat mujhe maan ki tarah goad mein lele..

Mother Shayari

Aye raat mujhe maan ki tarah goad mein lele,
Din bhar ki mushaqqat se badan toott raha hai..



Laakh apne gird hifaazat ki lakeerain kheenchoon..

Mother Shayari

Laakh apne gird hifaazat ki lakeerain kheenchoon,
Aik bhi un mein nahin maan ki duaaon jessi..



Soyi nahin hoon mujhe sulaa do maan..

Mother Shayari

Soyi nahin hoon mujhe sulaa do maan,
Ajao mujhe lori sunaa do maan,

Asshk meri aankhon se jam se gaye hain,
Karke jabbr mujhe rulaa do maan,

Dekh kitni be’tarteeb ho gayi hai zindagi meri,
Bikhre hain mere baal bana do maan,

Bohat ddar lagta hai mujh ko duniya se,
Apne aanchal main mujh ko chupaa lo maan,

Jall rahi hoon main ik be’naam si tapish se,
Choom ke mera maatha bhuja do maan..



Mere gunaahon ko woh dhho deti hai..

Mother Shayari

Is tarah mere gunaahon ko woh dhho deti hai,
Maan bohat ghussay mein ho to ro deti hai..



Soya naheen hon mein sulaa do maan..

Mother Shayari

Soya naheen hon mein sulaa do maan,
Aajao mujhe lori sunaa do maan,

Ashk meri ankhon mein jam se gaye hain,
Kar ke dil pe jabbar mujhe rula do maan,

Dekho kitni be-tareeb ho gayi hai zindagi,
Bikhray hain mere baal bana do maan..



Aik moudat say mayre maa nahe sooie tabish ..

Mother Shayari

Aik moudat say mayre maa nahe sooie tabish,

Main nay ik bar kaha tha mujy dar lagta hai…



Suuna suuna sa mujhe ghar lagta hai..

Mother Shayari

Suuna suuna sa mujhe ghar lagta hai,
Maan nahin hoti, mujhe dar lagta hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mother Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari