Mother Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Mother Shayari Poetry. Feel free to add your own Mother Shayari Shayari here.Mother Shayari Collection
Who does not love Moms ? Mother Shayari and Mother Poetry is a way to express our love to our mothers. Expressing love with Mother Shayari is so beautiful. Ranjish.com has lots of Mother poetry for you to dedicate to your mother.
Mein ne ik baar kaha tha
Mother Shayari
Ye jo sakht raston pe bhi aasan safar lgta hai…
Ye mjh ko MAA ki duaaon ka asar lgta hai…
Aek muddat hui meri MAA nai soyi Tabish…
Mein ne ik baar kaha tha k mjhe darr lgta hai…
Tum se hai
Mother Shayari
Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai
Khuda ne jo bhi diya hai maqam tum se hai
Tumhare dam se hain mere lahoo mai khilte gulaab
Mere wujood ka saara nizam tum se hai
Kahan bisaat-e-jahan aur mai kamsin o nadaan
Yeh meri jeet ka sab ahtemam tum se hai
Jahan jahan hai meri dushmani sabab mai hoon
Jahan jahan hai mera ahteraam tum se hai
Meri Maa k Naam
Mother Shayari
Ye kamyabian ezaat ye naam tum say hay,
Khuda ne jo b deya hay mukam tum say hay,
Tumhary dam say hay mery lahoo mein khilty gulab,
Mery wajood ka sara nizam tum say hay,
Kanha bisaat janhan aor main kamsan o nadan,
Ye meri jeet ka sb ehtamam tum say hay,
Janhan janhan hay meri dushmani sabab main hon,
Janhan janhan hay mera ehtram tum say hay,,!!!!!
Maa mai ik chota sa bcha hon
Mother Shayari
Hm jugnu thy, hm titli thy, hm rang barange panchi thy,
Kuch mah-o-sal ki janat mei Maa hm dono b sanjhi thy,…
Mai chota sa ik bcha tha, teri ungli tham k chalta tha,
Tu dour nzr se hoti thi mai ansu ansu rota tha,
ik khwabon ka roshan basta tu roz mujhe pehnati thi,
…Jb drta tha mai raton ko tu apne sath sulati thi,
Maa tuny kitne barson tk is phol ko sencha hathon se,
Zindagi k gehre bhedon ko mai smjha teri baton se,
Mai tere hath k takiye pr ab b rat ko sota hon,
Maa mai ik chota sa bcha hon teri yad mei ab b rota hon.
Mery liye to meri Maa hi kayenat ha
Mother Shayari
Maa Sath ha to saya-e-Qudrat bi sath ha
Maa k beghair lagy din b raat ha
.
Mein dur jaon to uksa mery sar pe hath ha
Mery liye to meri Maa hi kaynat ha
.
Daaman mein Maa k sirf wafaon k phool hein
Hum sarey apni Maa k Qadmoon k dhool hein
.
Aulaad k Sitam usey Hass k Qabool hein
Bachon ko Bakash deina hi Maa k Usool hein
.
Din Raat Us ne Paal Pos k bada kiya
Girney laga to Maa nemuje phir khara kiya
Meri MAA Seeny se laga ke kaha kerti thi
Mother Shayari
Seenay se laga ke kaha kerti thi maa mujh ko,
Tu laaal hai na sata mujh ko,
Pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi,
Na chahty hue bhi akela choor jaun gi,
Zamana dikhaye ga garmi ki shiddat tujh ko,
Yaad kerke roye ga tu phir mujh ko,
Muddat se meri maa ne seenay se nahin lagaya,
Ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya..
boht yaad aati hai MAAN
Mother Shayari
baazuyon mein jaise khinch ke aajaye ga kayenaat
apne bache ke liye bahon mein phelaati hai MAAN
zindigani ke safar main gardishon ki dhoop mein
jab koi saya nahin milta tab boht yaad aati hai MAAN
pyar kehte hain kisse aur maamta kya cheez hai
koi un bachon se pooche jinki mar jati hai MAAN
safa-e-hasti pe likhti hia asool-e-zindagi
isiliye to maqsad-e-islam kehlati hai MAAN
jab koi pardes jata hai aye noor-e-nazar
Quran leke sar pe aajati hai MAAN
leke zamanat mein raza-e-pak ki
peechey peechey sar jhukaye door tak jati hia MAAN
kaampti awaz main kehti hai beta alvida
samne jab tak rahe hathon ko lehraati hai MAAN
jab parseshani mein phass jate hain hum pardes main
aansuuyon ko pochne khawbon main chali aati hai MAAN
marte dam tak aasaka na bacha ghar pardes se
apni sari duyayain chokhat pe chor jati hia MAAN
baad marne ke bete ki hidmat keliye
roop beti ka badal ke ghar mein aajati hai MAAN
seeney se laga kar kaha karti thi maan mujh ko
Mother Shayari
seeney se laga kar kaha karti thi maan mujh ko
tu laal hai mera na sataa mujh ko
pachtaye ga ik din jab mein chali jaaon gi
naa chahte huye bhi akela chorr jaaon gi
zamaney dikhaye ga garmi ki shidat tujh ko
yaad karke roye ga tu phir mujhko
mudaton se meri maa ne seeney se nahin lagaya
ab so gayi khaak main jab kuch kehne ka waqt aaya
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mother Shayari.