Nazam Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Nazam Shayari Poetry. Feel free to add your own Nazam Shayari Shayari here.

Nazam Shayari Collection

Nazam Shayari is longer than usual poetries. Read Nazam Shayari here, we have got lots and lots of Nazam Shayari here. Nazam Poetry is usually said in more than 10 lines.



Teray khayal, Teray khuwab, Aur teri mohabbat..

Nazam Shayari

Teray khayal,
Teray khuwab
Aur teri mohabbat,
Zuban pay ghazal,
Hathon main kitab
Aur teri mohabbat
Gumnam alfaz,
Talkh sawalaat, benaam tehrirain,
Adhoray jawabat,
Aur teri mohabbat

Thandi sehar, sard hawain
Urhtay badal, taiz ghtain
Aur teri mohabbat
Halki dhoop, sohana mosam
Bheegay pair, shafaf aasman
Aur teri mohabbat
Teri baatain, tanha raatain
Kabhi hijr, kabhi mulaqatain
Aur teri mohabbat
Dar o baam, dhalti sham
Kitab qalam, tera naam
Aur teri mohabbat
Phool titli, bhaag o bahaar
Gaata darya, jhoomti lehrain
Aur teri mohabbat
Chamakta chand, jagmag taaray
Awara jugnu, bheeghi shabnam
Aur teri mohabbat

Jaltay chiragh, urhta dhua’an
Tera intizar, wasl ka samaan
Aur teri mohabbat
Chupta suraj, halki barsaat
Dhanak k rang, tera saath
Aur teri mohabbat
Sarhaanay takya, bikhra bistar
Bechain karwatain, raat ka pehar
Aur teri mohabbat….

Muhammad Ismaeel



Han suno dosto, Jo bi dunya kahe..

Nazam Shayari

Han suno dosto,
Jo bi dunya kahe,
Is ko parkhe bina, maan lena nahi
saari dunya ye kehti he,
Parbat pe charne ki nisbat utarna sehal he
Kis tarah maan len,
Tum ne dekha nahi,
Sarfarazi ki dhun me koi admi
Jab bulandi k raste pe chalta he to
Sans tak theek karne ko rukta nahi
Or isi shakhs ka,umar ki seeryo se utartey hue,
pao uthta nahi
Isi liye dosto!!!
Jo b duniya kahe,
Is ko parkhey bina,
Maan lena nahi,



Mohabat kaisay mar jaye..

Nazam Shayari

Mohabat kaisay mar jaye,
badan main jo khoon ki manind,
jo hai aik janoo ki manind,
subha aur sham kay hr pal main,
jo hai aik sakoon ki manind,

Mohabat kaisay mar jaye,
Woh rahti hai dua ban kar,
Woh chalti hai hawa ban kar,
Woh sumandar kay talatam main,
Machalti hai wafa ban kar,

Mohabat kaisay mar jaye,
Woh sansoon kay sath chalti hai,
Rang ban kar nikharti hai,
Ghata ban kay woh cha jaye,
Woh khushbo ban kay mahkati hai,

Mohabat kaisy mar jaye,
Woh ebadat meray rab say hai,
Tahajud kay saray sajdoon main,
Woh rafaqat hr aik shab say hai,
Woh laboon pay vird karti hai,
Mohabat kaisay mar jaye,
Mohabat mar nahi sakti..

Shabeeb Hashmi



Woh jo deep ankhoon main jal rahay..

Nazam Shayari

Woh jo deep ankhoon main jal rahay,
Unhay ashqi ka pegham do,
Mujhay apnay laboon pay sambhal lo,
Apni har dua ko mera naam doo.

Main chaloon tu too meray sath ho,
Mujhay thamay jo woh tera hath ho,
Meray sar ka bany tu saibaan,
Meri har khoshi ko maqam do.

Meri rooh ko khud main utar lo,
Meri har nazar say khumar lo,
Jo mujhay sametay teri bahon main,
Meri bay khudi ko woh jam do,

Meri chahatoon ka bharam rakho,
Mujhay apni ankhoon main band rakho,
Bay chain rakhy jo mujhy raat bhar,
Meri khawaheshoon ko woh sham doo..

Shabeeb Hashmi



Chalo ik kaam kartey hain, Mohabbat aam kartey hain..

Nazam Shayari

Chalo ik kaam kartey hain,
Zamaaney bhar mein nafrat ko,
Bohat badnaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,

Chalo chorro yeh taaj o takht,
Chalo ban jayen deewaney,
Aur iss deewangi ko hum,
Wafaa ke naam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,

Chalo paatey hain phir fursat,
Tassawur yaar ka kar ke,
Bithaa lete hain pehluu mein,
Seher se shaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,

Chalo yeh ehed kartey hain,
Kissi ka dil na torrain ge,
Aur ik doojey ki chahat mein,
Anaa bedaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,

Sabhi tootey khilonon ko,
Chalo phir jorr lete hain,
Neyi manzil ban kar khud,
Usey gumnaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,

Chalo yaadon ki barish mein,
Jagha dete hain maazi ko,
Haseen beetey huye pal,
Taveel ayaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,

Chalo kehtey hain akbar se,
Bhaley deewaar mein chun dey,
Mohabbat ke liye mitt kar,
Sadaa araam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain..

Haq Nawaz Mughal



.Aankhon mein sawaal they hazaaron..

Nazam Shayari

Ik umar ke baad us ko dekha,
Aankhon mein sawaal they hazaaron,
Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,
Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judai,
Baanhen thi magar wisaal-e-samaan,

Simtti huyi baazuyon mein,
Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,

Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin barri dair ho chuki thi..



Kaho kese guzarti hai, Tumhari zindagi pagal ?

Nazam Shayari

Kaho kese guzarti hai,
Tumhari zindagi, paagal,
Suna hai, ab to eid’en bhi,
Woh pehli si nahin karty,
Kisi ke ghar nahin jatey,
Kisi se bhi nahin miltey,
Kisi ki ek nahin suntey,
Kisi se kuch nahin kehtey,

Na koi gift lete ho,
Na koi gift dete ho,
Kabhi khul kar na hanstey ho,
Kabhi khul kar na rotey ho,
Bohat bekal bohat upset,

Bohat bechain hotey ho,
Suna hai chaand raton mein,
Bohat be’mood dikhtey ho,
Woh kaghaz phaarr dete ho,
Kisi ke wastey jin per,
Bohat se sher likhtey ho,

Na jeetey ho na martey ho,
Suno yeh zindagi pagal,
Bassar kis tarah kartey ho,
Kaho, kesi guzarti hai?

Watch Video



Mohabbat ke samandar mein, Utarney se zara pehley..

Nazam Shayari

Mohabbat ke samandar mein,
Utarney se zara pehley,
Tumhein yeh sochna hoga,
Mohabbat aik sehraa hai,

Jahaan paaon barhaaney se,
Qadam chup chaap jaltey hain,
Mohabbat aesi dunya hai,
Ke is main jis taraf jayen,
Koi rasta nahin milta,
Mohabbat aankh ka aansu,

Yeh palkon per chamakti hai,
Mohabbat aag jesi hai,
Yeh seeno’n mein sulagti hai,
Mohabbat phool jesi hai,

Judaa ho shaakh se jab yeh,
Bikharti toot jati hai,
Mohabbat ki fizaaon mein,
Mohabbat ki hawaaon mein,
Hamesha dard milta hai,

Mohabbat ke samandar mein,
Utarney se zara pehle,
Tumhe yeh sochna ho ga..



Jaane kya baat hai kyon tum se mohabbat hai mujhe,..

Nazam Shayari

Jaane kya baat hai kyon tum se mohabbat hai mujhe,
Chaand suraj se sitaron se haseen lagte ho,
Zindgani ki bahaaron se haseen lagte ho,
Aesa kya hai ke hazaaron se haseen lagte ho,

Jaane kya baat hai kyon tum se mohabbat hai mujhe,
Dil ki har baat to hum tum se nahin keh saktey,
Tum juda hum se raho yeh bhi nahin seh saktey,
Chorr kar door tum ko kahin door nahin reh sakte,

Jaane kya baat hai kyon tum se mohabbat hai mujhe,
Mil gaye tum to mujhe pyaar ka ehsaas mila,
Khil gaye hont tumhare to mera dil bhi khila,
Tumhi ho meri barson ki duaaon ka silaa,

Jaane kya baat hai kyon tum se mohabbat hai mujhe,
Meri dharrkan ho meri saans ho awaaz ho tum,
Sab se jo mene chupaya hai woh ik raaz ho tum,
Sach to yeh hai ke meri jaan ho humraaz ho tum..



Mujhe kaanton pe chalna tha..

Nazam Shayari

Mujhe kaanton pe chalna tha,
Judayi ke sulagtey daagh daaman par sajaney they,
Ke meri naarsaayi par,
Zamaney bhar ko hansnaa tha,
Mohabbat kar ke mujh ko bhi,
Kisi sehraa se milna tha..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nazam Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari