Nazam Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Nazam Shayari Poetry. Feel free to add your own Nazam Shayari Shayari here.

Nazam Shayari Collection

Nazam Shayari is longer than usual poetries. Read Nazam Shayari here, we have got lots and lots of Nazam Shayari here. Nazam Poetry is usually said in more than 10 lines.



Baha ke ansoo

Nazam Shayari

Baha k Aansoon mere woh
kehte hain “Faraz” Tumhari aankhoon mein paani
kitna haseen lagta hai:::::



Wo aakhiri mulakat k panne

Nazam Shayari

Wo aakhiri mulakat k panne ,,
Kuch bikhre hue kuch simte hue !!!

Wo aakhiri mulakat ka intzar ,,
Intzar unki purani yaadon ka !!!

Unka wahi purane lihaz se inkaar karna ,,
Aur fir muskrate hue aankho se izhaar karna !!!

Sab kuch pata hote hue bhi ye dil unhe kyu chahta hai ,,
Kyu unn bikhre hue panno se mulakat ka intzar rahrta hai !!!

Wo saksh nahi hai naseeb mai mere ,,
Fir mukaddar bar-bar usi se kyu takrata hai !!!

Wo raat 9:00 baje tak aakhiri mulakat ,,
Aur fir jo simte hue panne thy unka bikhar jaana !!!

Wo aakhiri mulakat k bikhre panno ko ,,
Abb intzar hai simatne ka…….



kaisay kahun

Nazam Shayari

kaisay kahun
mjhe tmhari neeli ankhon se pyaar hai
kaisay kahun
mjhe tmhre chamakte hue honton se pyaar hai
kaisay kahun
mjhe tmhare bheegta hua hnton se pyaar hai
kaisay kahun
koi mjhe batye ye sabh mein apne MEHBOOB se kaisay kahun??????



Kya dhoop mein barish hoti hai ?

Nazam Shayari

Main nay ussay poocha tha,
Kya dhoop main barish hoti hai??
Wo hanstay hanstay ronay lagi
Aur dhoop main barish honay lagi….



Lamhey

Nazam Shayari

Kuch bhi tu nahee mere paas
Teri yaadoon ke siwa
Teri pyaar bhari baatoon ke siwa
Mujhe yaad hai sab kuch
Tera woh kehna ke
kitni khobsurat hain aankhain tumhari
Kitne rung hain in main
Yeh kitna muskuraati hain
Yeh kitni baatain karti hain
Main thori door hojaoon tau
Mujhe waapis bulaati hain
Yeh mujh ko aazmaati hain
Magar
Ab kuch bhi tu nahee bacha in mein
Tere khwaaboon ke siwa
Teri yaadoon ke siwa…



Mujhe khabar bhi nahin

Nazam Shayari

ik din shararatan us k kamre mn ja kr,
deewar pe likhe kuch haruf parrhna chahe,,
ja baja hath se bani tasveeron ko samjhna chaha,
kahin sookhe gulab ki pattiyan thin,
kahin takiya aansoun se num tha,
phr kitabon se aisi kitab mere hath lagi,
jis k safha-e-awal pe mera naam tha,
kuch lafaz chape the,mera hath laraz utha,
chehra paseene se tar tha,
meri sada mere kaanon mn goonjne lagi,

Mujhe khabar bhi nahin
ke woh khamosh sa shakhs
mujhe is qadar chahta tha.



Tum kyon badal gaye

Nazam Shayari

Hum He
Wafa-Shikan
Thy,Chalo Hum Hi Bewafa!!
Tum To
Wafa-Shanaas Thy, Tum Kyun Badal Gaye…??

Zahid



Yeh Hijar Kya Hai

Nazam Shayari

Yeh Hijar Kya Hai
Wisaal Kya Hai
Yeh Gardish-o-Maho Saal Kya Hai
Ye Jumla Rasmi Sahi Magar
Tum Meri Jaan
Kabhi To Poocho
Ke Haal Kya Hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nazam Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari