Nazam Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Nazam Shayari Poetry. Feel free to add your own Nazam Shayari Shayari here.

Nazam Shayari Collection

Nazam Shayari is longer than usual poetries. Read Nazam Shayari here, we have got lots and lots of Nazam Shayari here. Nazam Poetry is usually said in more than 10 lines.



Wo larki shayad pagal thi..

Nazam Shayari

Wo larki shayad pagal thi,
Din raat hi gumsum rehti thi,

Kuch sharm-o-haya ka paikar thi,
Kuch narm mizaj rakhti thi,

Ankhon mai neem nasha sa tha,
Baaton sy dewani lagti thi,

Humraz na tha uska koi,
Bass khuda sr baatein karti thi,

Ik shaam ke anchal mai aksar,
Jazbat chupaye rakhti thi,

Darti thy juda ho janey se,
Ya pyar se shayad darti thi,

Kya sabar tha us dewani ka,
Kya zabt-e-mohabat rakhti thi,

Hai rashk mujhy us pagal pe,
Kya khoob mohabat karti thi,

Wo larki shayad pagal thi,
Kya khoob mohabat karti thi..



Mein kisi kaam main masroof, Betha hota hoon..

Nazam Shayari

Aksar aesa hota hai,
Mein kisi kaam main masroof,
Betha hota hoon,
Ke achaanak…
Apne daaye’n baaye’n,
Aagey peechey,
Kuch dhoondne lagta hoon,
Yun lagta hai,
Ke jese,
Apni koi baish-keemat* cheez,
Kahin rakh ke bhool geya hoon…

(baish-keemat;costly)

Javed Iqbal Saghar



Usey barish pasand hai, Mujhe barish mein woh..

Nazam Shayari

Usey barish pasand hai,
Mujhe barish mein woh,
Usey to pasand hai,
Hanstey rehna,
Mujhe hanstey huye woh,
Usey to pasand hai
Boltey rehna,
Mujhe boltey huye woh,
Usey to pasand hain
Duniyaa ki saari neymtain,
Aur mujhe sirf woh…



Mujhe khamosh rehne do..

Nazam Shayari

Mujhe khamosh rehne do,
Suna hai ishq sacha ho,
To khamoshi
lahu ban kar,
Ragon mein
naach uthti hai,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do,
Usey mein kyun bataon,
Usey mene kitna chaha hai,
Bataya to jhoot jata hai,
Ke
Sachi baat ki khushbuu,
To khud mehsoos hoti hai,
Meri baatein,
Meri sochein,
Usey khud jaan lene do,
Abhi kuch din mujhe
meri mohabbat azmaney do..



Ab kya likhen hm kaghaz per..

Nazam Shayari

Ab kya likhen hm kaghaz per,
Ab likhne ko kya baqi hai,
Ek dil tha wo toot geya,
Ab tootne ko kya baqi hai?
Ek shaks ko hm ne chaha tha,
Ek rait pe naqsh bnaya tha,
Wo rait to kab ki bikhar gayi,
Wo naqsh kahan ab baqi hai,
Lafzon ka bana ker taj mehel,
Kaghz pe sjaya karte thy,
Wo hm ko akela chor geya,
Sb rishton se munh mor geya,
Ab rasty sarey sooney hain,
Wo pyar kahan ab baqi hai,
Ab kya likhen hm kaghaz per,
Ab likhne ko kya baqi hai…!!



Mein nikla sheher ko..

Nazam Shayari

Mein nikla sheher ko,
Shaam mein,
dil mein kuch armaan they,
Ik tarf
sabzz jhaarriyaan,
Ik tarf
tootay qabristan they,
Paaon taley,
Ik haddi parri,
Jis ke yeh beyaan they,
Sambhal kar chal,
Aye chalney waley,
Kabhi hum bhi,
Insaan they..



Chot taaza hay magar, Zakham purany apny..

Nazam Shayari

Chot taaza hay magar,
Zakham purany apny,

Kitnay mushkil hain yahan,
Dard chupany apny,

Jin ko hum yaad karein,
Hum unhein yaad nahi,

Kaisy hotey hein yahan log,
Na janay apnay,

Kitna chaha hay tujhy,
Ye to hum hi janty hein,

SSa-khuda,
Itny nahi thy kabhi,
Deewany apny,

Har jaga shor,
Meray ishq ki ruswai ka,

Kitny mash’hoor hain,
Chahat k fasany apny,

Ek teri yaad sy,
Daman ko bachaney ke liye,

Kitny badley hain yahan main ny,
Thikaanay apnay…



December ageya jaana..

Nazam Shayari

December ageya jaana,
Ke phir ek saal,
Teri yaad ke samandar mein,
Utar kar jane wala hai,
Yeh dil phir roney wala hai,

Tumhe kuch yaad hai jaana,
Isi pichle december mein,
Tumhi ne mujh ko likha tha,
Ke neya jo saal aye ga,
Us mein mil ke rehna hai,
Bohat se pyar ke vaadey,
Bohat si ankahi baten,
Humain tehreer karni hain,
Mohabbat ki neyi nazmein,
Humein is baar likhni hain,

Magar janaa,
Wohi raten,
Wohi shaamen,
Wohi khushbu,
Wohi nazmen,
Mujhe har waqt kehti hain,
December loat aya hai,
Magar, tera sathi nahin aya,
December ageya jaana..
December ageya jaana….



Kuch safr-e-zeest bhi lamba tha,..

Nazam Shayari

Kuch safr-e-zeest bhi lamba tha,
Kuch ham bhi thora sust chaly,
Kuch ham hi apny dushman thy,

Kuch dushman ham ko boht mily,
Kuch ham manzil ko bhool gay,
Kuch rasty ham ko sakht mily,
Aur aaj ye apni halat hai,
Har simt andhera chaya hai,

Har simt hai chaayi veerani,
Har simat isi ka saya hai,
Is dasht main ham ny kya khoya,
Is raah main ham ny kia paya,

Jab main ny is par ghor kia,
To man main soch ka dip jala,
Ik aag si dil main bharrak uthi,
Aur aankh main pani bharr aaya..



Barra dushwaar hota hai…

Nazam Shayari

Bara dushwaar hota hai,
Zara sa faislaa karna,
Ke jeewan ki kahani ko,
Beyaan-be-zubani ko,
Kahan se yaad rakhna hai,
Kahan se bhool jana hai,
Kisey kitna batana hai,
Kis se kitna chupaana hai,

Kahan ro ro ke hasnaa hai,
Kahan hans hanss ke rona hai,
Kahan awaz deni hai,
Kahan khamosh rehna hai,
Kahan rasta badalna hai,
Kahan se laut jana hai,
Barra dushwaar hota hai…


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nazam Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari