Nazam Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Nazam Shayari Poetry. Feel free to add your own Nazam Shayari Shayari here.

Nazam Shayari Collection

Nazam Shayari is longer than usual poetries. Read Nazam Shayari here, we have got lots and lots of Nazam Shayari here. Nazam Poetry is usually said in more than 10 lines.



Mohabbat daayimi hai, Na chup sakti hai yeh..

Nazam Shayari

Mohabbat daayimi* hai,
Na chup sakti hai yeh,
Na dabb sakti hai yeh,

Chupaao gey isey gar tum,
To yeh izhaar se apne,
tumhe hairaan kar de gi,

Dabaao ge gar isey tum,
To yeh tanhai mein aa kar,
tumhe veeraan kar de gi,

Mohabbat daayimi hai, Saad!!…

(daayimi;natural)

Saad Ullah Shah



Dard kya hota hai, samjhayenge phir kisi roz..

Nazam Shayari

Dard kya hota hai,
samjhayenge phir kisi roz,
Aaj hume kush rehne do,
azeb zada ho jayenge phir kisi roz,
Zidh na karo phir woh dastaan sunne ki,
hum gham mein doob ke dikhayenge,
phir kisi roz,
“Hyder” yeh kaisi aarzo hai,
unki dard e hayath sunne ki,
kehdo aaj hum ji rahe hai,
mar ke dikhaye phir kisi roz.

Tauseef Hyder



Woh tera ankh bhar kay mujhay dekhna..

Nazam Shayari

Woh tera ankh bhar kay mujhay dekhna,
Woh tera dekhna he kamal tha,
Meri justajo kay ahsas par,
Tera lamss bhi tu baymisal tha,

Meray saray jazboon ki dilkashi,
Teray ashiyan pay aa kay simat gai,
Gar main ruk na jata iss taraf,
Tu meri hasti pay pher zawal tha,

Teray husan ki sari tajaliyan,
Kaisy ho gayen mujh pay mahrban,
Meray zehan kay neha khanoo main,
Yehi chupa howa aik sawal tha,

Woh jo chaltay chaltay thy mil gaye,
Thy meri chahatoon kay silsalaye
Jo tera sang na milta mujhy,
Tu pher jena mera muhal tha.

Shabeeb Hashmi



Kitaab e Zindagi..

Nazam Shayari

Kitab E Zindagi main mainay
Kuch Rangh bharay thay Khuwabon Ke
Magar !
Na janay kaisi hawa chali k
Auraaq ulat’tay gay …. Aur
Fikr k haashaiy khinchtay hi chalay gay
Woh Alfaz …….
Jo khushi ka ehsas ban kar mehaknay lagtay thay
Un main say kuch !
Dhundhlay ho chalay
Aur kuch mit chalay
Ab qalam bhi saath nahi deta
K phir say wahi likhawat ho
K phir say wahi Sajhawat ho
lagta hay !
Ab to yeh sitrain sada khali hi rahain gi !

Muhammad Ismail



Phir se kaho naa

Nazam Shayari

Dharkan dil ki taiz hui hai,
Palkain dekho, jhuk si gayi hain,
Hont gulabi laraz rahay hain,
Rangat tap kar surh hui hai,
Yeh kya tum ne mujhse kaha hai?
Tum meri ho..sirf meri ho,
Dil kehta hai tum se kahun main,
Meri samaat mein ras ghol’lo ,
Phir se tum izhar karo naa,
Tum ho meri…sirf meri ho,
Phir se kaho naa..



Batao naa

Nazam Shayari

Batao naa
Jab jab shaam dhalay gi,
Dil main verani utray gi,
Ankhain bhar aein gi,
Dil dard ki surat dhal jaye ga,
Jab tu rasta badal jaye ga,
tu janaan….
Hum tanha ji na paien ge
Ya… mar jainge!!..



Es se pehlay…..

Nazam Shayari

Es se pehlay key ankh khul jaye,
A key honton se meri ankhon per,
Koi anmool khawab likh jao,
Mera chehra gulab likh jao,
Bad main a key apne hathon se,
Mera jeevan siraab likh jao..



Tumhe hum pyar karte hain

Nazam Shayari

Tumhe hum pyar karte hain

Sunoo janaa,
Bohat hi be-sukoni hai humari zaat main,
Bohat masrof rehna par raha hai,
Bohat se kaam hain,
Jo apne zimay ly rakhe hain,
Magar inhi sarey jhemilon main,
Tumhari yaad ka wo ak jugnoo’ab bhi chamkey tu,
Ye ankhain bheeg jati hain..



Main Rahguzar main khari hui hun

Nazam Shayari

Main Rahguzar main khari hui hun,
Tumhari khater aari hui hun..

Dukhon se daman waseh hai mera,
Inhi main pal k bari hui hun..

Kesi ki mujh ko nahi hai parwa
Main terey dil main jori hui hun..



Tum Bin

Nazam Shayari

Tum bin jiya jaye kesey,
Kesey jiya jaye tum bin,
Sadiyon sey lambi hain ratirn,
Sadiyon sey lambey hoye din,
Ajao laot kar tum,
Ye dil keh raha hai, ajao laot kar tum,
Phir sham e tanhai jagi,
Phir yad tum aa rahey ho,
Phir jan nikalney lagi hai,
Phir mujhko tarpa rahey ho,
Is dil me yadon kay meley hain,
Tum bin bohat hum akeley hain,
Ajao laot kar tum ye dil keh raha hai,
Kya kya na socha tha me ney,
Kya kya na sapney sajaye,
Kya kya na chaha tha dil ney,
Kya kya na arman jagaye,
Is dil sey tofan guzartey hain,
Tum bin jeetey hain na martey hain,
Ajao laot kar tum ye dil keh raha hai,
Tum bin jiya jaye kesey.

Faiz Anwar


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nazam Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari