Sufi Poetry

Ranjish.com has lots of Urdu Sufi Poetry Poetry. Feel free to add your own Sufi Poetry Shayari here.

Sufi Poetry Collection

Sufi poetry is poetry on selfless experiencing and actualization of the Truth. These sufi poems and ghazals communicate through symbolic expressions the depth of sufi spirituality, the inner states of mystical love, and the Unity of Being. They reveal aspects of Sufism and of traveling the sufi path that are not accessible in prose writings.
You can now send all these sufi poetry to mobile phones as text messages.



Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat..

Sufi Poetry

Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat,
Har chehre main ati hai nazar yaar ki surat,

Jis ankh ne dekha tujhe, us ankh ko dekhoon,
Hai is ke siwa kya tere deedar ki surat,

Pehchan liya tujh ko teri sheesha-gari se,
Aati hai nazar fun se hi funkaar ki surat,

Surat meri ankhon main samaye gi na koi,
Nazron main bassi rehti hai sarkaar ki surat,

Dil hath pe rakha hai koi hai jo khareede,
Dekhoon to zara main bhi kharidaar ki surat,

Ashqon ne bayan kar hi diya raz-e-tamanna,
Hum soch rahe thay abhi izhar ki surat,

Wasif ki sar-e-dar pukara hai kisi ne,
Inkaar ki surat hai na izhaar ki surat..



Bandagi ka meri andaaz juda hota hai..

Sufi Poetry

Bandagi ka meri andaaz juda hota hai,
Mera kaaba mere sajdon main chupa hota hai..



Bataayen kya yaaro, kahan thehre kahan pohanche..

Sufi Poetry

Bataayen kya tumhe yaaro, kahan thehre kahan pohanche,
Hazaaron daastaanen hain saffar ke saath waabasta..



Sikandar khush nahin loot kar dolat zamane ki..

Sufi Poetry

Sikandar khush nahin loot kar dolat zamane ki,
Lutaa kar sab kuch qalandar raqss karta hai..



Theher jaao to nahin hai bastiyon main raasta..

Sufi Poetry

Theher jaao to nahin hai bastiyon main raasta,
Chal parro to paniyon main rah guzar maujood hi..



Tu ne kaha tha, tera kahaa kyun nahi hua..

Sufi Poetry

Haq fataah’yaab* mere khudaa kyun nahi hua,
Tu ne kaha tha, tera kahaa kyun nahi hua,

Jab hashar iss zameen per uthaaye gaye to phir,
Barpaa yahin pe roz-e-jazaa kyun nahi hua..

(fataah’yaab:successful, kamyaab)



Jo bhi de ga mera khuda de ga..

Sufi Poetry

Aadmi aadmi ko kya de ga,
Jo bhi de ga mera khuda de ga,

Mera qaatil hi mera munsib* hai,
Kya mere haq mein faisla de ga..



Sodagari nahin yeh ibaadat khuda ki hai..

Sufi Poetry

Sodagari nahin yeh ibaadat khuda ki hai,
O bekhabar jazaa ki tamanna bhi chorr de..



Wohi mehfooz rakhe ga mere ghar ko balaaon se..

Sufi Poetry

Wohi mehfooz rakhe ga mere ghar ko balaaon se,
Jo barish mein shajjar se ghaunsle girne nahin deta..



Bache faraib kha kar chittaayi per so gaye..

Sufi Poetry

Bache faraib kha kar chittaayi per so gaye,
Ek maan ubaalti rahi pathar tamaam raat..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Sufi Poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari