Pyar Mohabbat Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Pyar Mohabbat Shayari Poetry. Feel free to add your own Pyar Mohabbat Shayari Shayari here.

Pyar Mohabbat Shayari Collection

Pyar Shayari and Mohabbat Shayari is poetry on love. Pyar is a urdu word for love, so Pyar Poetry is all about love. We have got lots of Mohabbat Shayari for you to read.



Barsar-e-jang raza aaj ye duniya hai magar

Pyar Mohabbat Shayari

Barsar-e-jang raza aaj ye duniya hai magar,
Aik din thak kar muhabat ka sahara lay gi



Bohat hain dolat pindaar par bhi dewaanay

Pyar Mohabbat Shayari

Bohat hain dolat pindaar par bhi dewaanay,
Jo tujh sa rooth chuka hai usay mananay ja.



Bijli kabhi giri kabhi sayaad aagya

Pyar Mohabbat Shayari

Bijli kabhi giri kabhi sayaad aagya,
Hum na tou chaar din bhi na dekhay bahaar o pyaar kay..



Chalo aaj ak neyaa kaam kartay hain

Pyar Mohabbat Shayari

Chalo aaj ak neyaa kaam kartay hain,
chalo aaj usay youn sar-e-aam kartay hain,
Os ka naam likhtay hain dewarun par aashar,
Aur usay jhuk jhuk kar salam kartay hain..



Narm lafzon se bhi lag jaati hain chottain..

Pyar Mohabbat Shayari

Narm lafzon se bhi lag jaati hain chottain aksar,
Muhabbat ik barra naazuk sa hunar hoti hai..



Hum se seeney se lagaya dil na apna ho saka..

Pyar Mohabbat Shayari

Hum ne seeney se lagaya dil na apna ho saka,
Muskura kar tumne dekha dil tumhara ho geya..



Mohabbat is liye bhi munfrid hai sab khelon se..

Pyar Mohabbat Shayari

Mohabbat is liye bhi munfrid hai sab khelon se,
Jo haara phir nahin khela, jo jeeta usne tauba ki..



Na inkaar karta hai na iqraar karta hai..

Pyar Mohabbat Shayari

Na woh inkaar karta hai na woh iqraar karta hai,
Humain phir bhi gumaan hai woh humse pyar karta hai..



Raaz khol dete hain nazuk se ishaare aksar..

Pyar Mohabbat Shayari

Raaz khol dete hain nazuk se ishaare aksar,
Kitni khamosh mohabbat ki zubaan hoti hai..



Hoti hain mohabat mein keyi raaz ki baatain..

Pyar Mohabbat Shayari

Hoti hain mohabat mein keyi raaz ki baatain,
Wese hi to iss khail main haara nahin jaata..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Pyar Mohabbat Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari