Urdu Sad Shayari

This website contains Urdu Sad Shayari. Feel free to add your own Urdu Sad Shayari here.

Advertisement


Sad Shayari

Sad Shayari or Urdu Sad Shayari is a form of urdu poetry which is depressing, unhappy and sorrowful. Sad Shayari is loved by people who are depressed and heart-broken. Reading and Writing Urdu sad poetry is a nice way to express your sad feelings to the world.
Urdu Sad Poetry and Sad Shayari are the same words, the only difference is the language. Sad Poetry is commonly known as Sad Shayari in pakistan.



Main rote huye so jaata hoon

Sad Shayari

Usski jafaaao’n ne mujhe tahzeeb sikha di hai Mohsin,
Main rote hue so jaaata hoo’n par shikwa nahi karta……



Usey kisi ki mohabbat ka aitbaar nahin

Sad Shayari

Usey kisi ki mohabbat ka aitbaar nahin,
Usey zamaaney ne shayed bohat sataya hai…



Woh kyon mujhe Chorr jata hai tanha

Sad Shayari

Har baar woh kyon mujhe
Chorr jata hai tanha,
Mein mazboot to bohat hon,
Magar pathar nahin…



Teri yaad me zara aankhe bhigo lu

Sad Shayari

Teri yaad me zara aankhe bhigo lu
Udas raat ki tanhai me so lu
Akele gum ka bojh ab sambhlta nahi
Agar tu mil jaye to tujse lipat kar ro lu…..



Ghairon ko kia pari hai ke

Sad Shayari

Ghairon ko kia pari hai ke Ruswa karain Mujhay
In Sazishon ma Haath Kissi Aashna ka Hai …!!!



Uske ik ik lamhey ki hifazat karna

Sad Shayari

Us k ik ik lamhy ki hifazat krna ay mery khuda
Masoom sa chehra hai, udas ho to acha nahi lagta ..



Mat chor mera sath

Sad Shayari

Mat Chor Mera Sath Tu Zindagi Mein Is Tra !!..dost..!!
Shayad Ham Zinda Hain Tumhary Hi Sath Rehny Say…



Akaila raat bhar tarpa

Sad Shayari

Akaila raat bhar tarpa mareez e shaam e gham saqi
Na tum aaye na neend aai na chain aaya na moat aai…



Mila karo ge tou ro paro ge

Sad Shayari

Bahar ki Rut me ujrey rasty,
Chala kro gy to Ro paro gy…

Kisi se milny ko jab bhi ,
Sajja karo gy to Ro paro gy….

K chaand raton me ab kisi se,
Mila karo gy to Ro paro gy…

Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe stayein gi meri ankhen…

Kisi Wali k mazar par jab
Dua karo gy to Ro paro gy…!!!

(Ankhen:Eyes)(Barish:Rain)(Bahaar:Spring)(Chaand:Moon)



Na koi khawab na koi saheli thi

Sad Shayari

Na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat mein main akeli thi
ishq main tum kahaan kay sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jheeli thi
yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohaabbat thi ya paheli thi
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi
waqt kay sanp kha gaaye usko
meray aangan main ik chanbeli thi
us shab-e-ghum main kis ko batlaon
kitni roshan meri hatheli thi



Meri bhujti huyi ankhon mein koi khawb nahin

Sad Shayari

Koi maazi hai, na farda hai na imroz koi
Meri bhujti huyi ankhon mein koi khawb nahin

Jao dunya se kaho, loot li baazi tumne
Nasiro jashan karo haar gaye dil waley

Khawhish zeest saredaar karo sheher ke bech
Aur is katal per raqsaan raho taa-marg sabhi

Jao be-fikr raho aur manadi kardo
Ab koi raat kabhi subah ka peiman nahin bandhey gi

Koi tareeki kisi noor ki khawhish nahin karpayegi
Ab koi subah neyi subah nahin kehlaaye gi



Jo mohabbat nahin karte

Sad Shayari

zoq-e-deed mein hoti hai taklef sara.sar…
achy rehty hain woh log jo muhabbat nai krty!!!!!!!



Ab to kuch sanson ki ravaani

Sad Shayari

Ab to Kuch saanson kI Ravaani Baaqi Chal rahi hai
Warna duniya se to hum jaa chukay hain tere bad



kaun ujra hoga bhari duniya mein

Sad Shayari

Kaun ujra hoga bhari duniya mein hamari tarhan,
Tu bhi na mila hum ko aur khud ko bhi ham ghanwa bethe..:(



Dekha jo berukhi se

Sad Shayari

Dekha jo be rukhi se to herat hue mujhe
Dunya to bewafa thi magar tujhe kia hua

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Sad Shayari.



Search Urdu Poetry




RSS Shayari

  • Mera dil udas kyun hai.. May 16, 2012
    Jo zara kisi ne chera chalak jaynge aansu, Mujhse koi na pucho mera dil udas kyun hai. … […]
  • Kisi Ka Haath Pakar Kar Chalte Hue May 16, 2012
    Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Haath Pakar Kar Chalte Hue, Maine Mohabbat Mein ‘TujhPe’ Kuch Yu’n Bharosa Kiya Tha..!! … […]
  • Main Bhool Gaya Hon Tujhe? May 16, 2012
    Kia Kaha..?? Main Bhool Gaya Hon Tujhe..? Nahi…! Nahi …! Dil Abhi Dharakta Hai… … […]
  • Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi May 16, 2012
    Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi Itne Bhi Hum Majboor Nahi, Dohra Kar Teri Baton ko, Kabi Hans Len Gy Kabi Ro Len Gy..!! … […]
  • Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko May 16, 2012
    Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko Baada […]
  • Mohabbat khawb hoti hai.. May 16, 2012
    Mohabbat khawb hoti hai, Bari betaab hoti hai, Agar koi pooch bethe tou, Mohabbat raaz hoti hai.. … […]
  • Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona May 15, 2012
    Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona Tum Meri Yaad Ka Har Deep Bujhaa kar Soona, Ek Sitara Bhi Mere Khayal ka Baqi Na Rahe Chandni Shaab Kay Nishanat Mita Kar Soona, Darr Laga Rehta Hai Neendin Hi Kahin Cheen Na Le Tera Yeh Roz Meray Khuwaboon Main Akar Soona, Baad Main Log Gira Dain Tu Koi Baat Nahi Har Taraf Piyar Ki Deewar Utha kar Soona, Bhool Jaao […]
  • Apni tanhai mere naam pe abaad kare May 15, 2012
    Apni tanhai mere naam pe abaad kare, Kaun hoga jo mujhe uski tarah yad kare.. … […]
  • Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad May 15, 2012
    Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad Yaad Ke Ghar Nahee Rahay Aabaad Kitni Aankhain Howin Halaak-e-Nazar Kitnay Manzar Nahee Rahay Aabaad Hum Ke Ay Dil Thay Sakhan Sir Taa Paa Hum Labon Pe Nahee Rahay Aabaad Sheher-e-Dil Mein Ajab Mohallay Thay In Mein Aksar Nahee Rahay Aabaad Jaanay Kia Waaqiya Howa Kiun Loog ???? Apnay Andar Nahee Rahay Aabaad … […]
  • Ishq me hamesha hi, sabko thokar milti hai.. May 15, 2012
    Ishq me hamesha hi, sabko thokar milti hai, bas kuch hi khushnasib hote hai, jinhe mohabat milti hai. … […]