Urdu Sad Shayari

This website contains Urdu Sad Shayari. Feel free to add your own Urdu Sad Shayari here.

Advertisement


Sad Shayari

Sad Shayari or Urdu Sad Shayari is a form of urdu poetry which is depressing, unhappy and sorrowful. Sad Shayari is loved by people who are depressed and heart-broken. Reading and Writing Urdu sad poetry is a nice way to express your sad feelings to the world.
Urdu Sad Poetry and Sad Shayari are the same words, the only difference is the language. Sad Poetry is commonly known as Sad Shayari in pakistan.



Gham-e-hayat preshan na kar sakega muje

Sad Shayari

Gham-e-hayat preshan na kar sakega muje,
Ke aa gya hai hunar muj ko muskurane ka.



Nishaani Apny Ghar Ki Kya Baataon Tujh Ko

Sad Shayari

Nishaani Apny Ghar Ki Kya Baataon Tujh Ko,
Jahaan Veerraniyan Dekho, Chalay Aana….!!



Anjaam Bohat Hain

Sad Shayari

Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain
Sach ye bhe hay sar paiy meray ilzaam bohat hain

Main dhoondta phirta hon jisay koocha ba koocha
Iss naam k insaan yahan aam bohat hain

Ab chahnay saiy milti hay mohobat kahan aisay
Bazaar main iss shay k ab daam bohat hain

Taareef kron teri mohobat ke zaban main
Gulshan main teri khushboo ke iqsaam bohat hain

Laina hay mujhay kiya teri duniya-o-jahan saiy
Dil main teri yaadon k sobha shaam bohat hain

Jaanum teri duniya main nehi milti rafaaqat
Keh dau k siwa wasl k anjaam bohat hain

Na cheez naiy iss cheez ko kiya cheez haiy sumjha
Iss lafz-e-mohobat main aalaam bohat hain

Maayal haiy Shaukat zindagi anjaam ke jaanib
Chal rukk k zara tou abhi inaam bohat hain

by Shaukat Ali Khan



Tu ny bhi khud ko markze alam samjh liya

Sad Shayari

Tu ny bhi khud ko markze alam samjh liya
lag hi gai akhir zamany ki hawa tujhe



Na koi dost, Na saathi, Na koi rishtedaar…

Sad Shayari

Na koi dost, Na saathi, Na koi rishtedaar,
Ghareeb kia howay sab loog mar gaye apnay…..!



Zakhm Seenay Mujhay

Sad Shayari

Na tau dokh nai diya sukh sai jeenay mujhay
Na he tum nai diya zeher peenay mujhay

Teri furqat kee ghadyaan yun lambi hoein
Perd gaey kam saal ore maheenay mujhay

Her sobho laiy kar aaye gham-e-nau meri
Her roz he perday zakhm seenay mujhay

Roz jeeta raha wasl ke chah main
Aansowon nai seekhaey qreenay mujhay

Hoein gharqaab aas ore umeedain meri
Bohat mehengay perday ye dafeenay mujhay

Zad main kishti meri hai toofaan k
Gharaq kar dain na meray safeenay mujhay

Rabt teray siwa ore kisi sai na thha
Sirf maara teri ik nehin nay mujhay

Daikh shaukat jahan k taiwer bhe tou
Paaon rakhnay diya na zameen nay mujhay

by Shaukat Ali Khan



kia hajoom-e-badgumaani ghair leta hai mujhe

Sad Shayari

kia hajoom-e-badgumaani ghair leta hai mujhe
jab ya sunta hn kaheen ghar sa wo tanhaa jayay hain



faani hum to jeetay ji wo mayat hain gooro-kfn

Sad Shayari

faani hum to jeetay ji wo mayat hain gooro-kfn
ghrbt jis ko raas na ayi or vtn bhi choot gya



hum aao bhi kartay hain to ho jatay hain badnaam

Sad Shayari

hum aao bhi kartay hain to ho jatay hain badnaam
wo qtl bhi kartay hain to charaghaan nahi hota



is kay jaatay hi ya kia ghar ki soorat

Sad Shayari

is kay jaatay hi ya kia ghar ki soorat
na wo dewaar ki soorat hai na dr ki soorat



hum js sa mar rha hain wo hay baat rahee kuch orr

Sad Shayari

hum js sa mar rha hain wo hay baat rahee kuch orr
aalam ma tujh sa laakh sahee to mgr khaan



tumhaaray ehd-d-wafa ko main ehd kia samjhoon

Sad Shayari

tumhaaray ehd-d-wafa ko main ehd kia samjhoon
mujhey hd apni muhabat ka aitbaar nahee



kabhi aaay haqiqat muntazir nazar aa lbaas mjaaz main

Sad Shayari

kabhi aaay haqiqat muntazir nazar aa lbaas mjaaz main
kah hzaaron sajday tars rahay hain meri jabeen niazi main



Wo Mujh Mein Ghul Mil Gayi Hai

Sad Shayari

Wo Mujh Mein Ghul Mil Gayi Hai Laikin,
Abhee Talak Mujh Se Ajnabi Hai….



marnay kay baad boosa janaaa-n hua naseeb

Sad Shayari

marnay kay baad boosa janaaa-n hua naseeb
mti ko jab kumhaar na saaaghir bna dia

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Sad Shayari.



Search Urdu Poetry




RSS Shayari

  • Mera dil udas kyun hai.. May 16, 2012
    Jo zara kisi ne chera chalak jaynge aansu, Mujhse koi na pucho mera dil udas kyun hai. … […]
  • Kisi Ka Haath Pakar Kar Chalte Hue May 16, 2012
    Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Haath Pakar Kar Chalte Hue, Maine Mohabbat Mein ‘TujhPe’ Kuch Yu’n Bharosa Kiya Tha..!! … […]
  • Main Bhool Gaya Hon Tujhe? May 16, 2012
    Kia Kaha..?? Main Bhool Gaya Hon Tujhe..? Nahi…! Nahi …! Dil Abhi Dharakta Hai… … […]
  • Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi May 16, 2012
    Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi Itne Bhi Hum Majboor Nahi, Dohra Kar Teri Baton ko, Kabi Hans Len Gy Kabi Ro Len Gy..!! … […]
  • Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko May 16, 2012
    Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko Baada […]
  • Mohabbat khawb hoti hai.. May 16, 2012
    Mohabbat khawb hoti hai, Bari betaab hoti hai, Agar koi pooch bethe tou, Mohabbat raaz hoti hai.. … […]
  • Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona May 15, 2012
    Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona Tum Meri Yaad Ka Har Deep Bujhaa kar Soona, Ek Sitara Bhi Mere Khayal ka Baqi Na Rahe Chandni Shaab Kay Nishanat Mita Kar Soona, Darr Laga Rehta Hai Neendin Hi Kahin Cheen Na Le Tera Yeh Roz Meray Khuwaboon Main Akar Soona, Baad Main Log Gira Dain Tu Koi Baat Nahi Har Taraf Piyar Ki Deewar Utha kar Soona, Bhool Jaao […]
  • Apni tanhai mere naam pe abaad kare May 15, 2012
    Apni tanhai mere naam pe abaad kare, Kaun hoga jo mujhe uski tarah yad kare.. … […]
  • Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad May 15, 2012
    Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad Yaad Ke Ghar Nahee Rahay Aabaad Kitni Aankhain Howin Halaak-e-Nazar Kitnay Manzar Nahee Rahay Aabaad Hum Ke Ay Dil Thay Sakhan Sir Taa Paa Hum Labon Pe Nahee Rahay Aabaad Sheher-e-Dil Mein Ajab Mohallay Thay In Mein Aksar Nahee Rahay Aabaad Jaanay Kia Waaqiya Howa Kiun Loog ???? Apnay Andar Nahee Rahay Aabaad … […]
  • Ishq me hamesha hi, sabko thokar milti hai.. May 15, 2012
    Ishq me hamesha hi, sabko thokar milti hai, bas kuch hi khushnasib hote hai, jinhe mohabat milti hai. … […]