Urdu Sad Shayari
This website contains Urdu Sad Shayari. Feel free to add your own Urdu Sad Shayari here.Advertisement
Sad Shayari
Sad Shayari or Urdu Sad Shayari is a form of urdu poetry which is depressing, unhappy and sorrowful. Sad Shayari is loved by people who are depressed and heart-broken. Reading and Writing Urdu sad poetry is a nice way to express your sad feelings to the world.
Urdu Sad Poetry and Sad Shayari are the same words, the only difference is the language. Sad Poetry is commonly known as Sad Shayari in pakistan.
Tota to kitne aina khanon pe zad pari
Sad Shayari
Tota to kitne aina khanon pe zad pari,
Aatka hoa gale me jo pathar sada ka tha.
…
Takhleq e khainat ke dilchasp jurp par
Sad Shayari
Takhleq e khainat ke dilchasp jurp par,
Hansana to ho gaa app bhi yazdan kabhi kabhi.
…
Be talaab kis ke gale me daal doon iss bar ko
Sad Shayari
Be talaab kis ke gale me daal doon iss bar ko,
Muj se meri zindagi be mangata koi nahin.
…
Balaon ga na milon ga na khat likhn ga tje
Sad Shayari
Balaon ga na milon ga na khat likhn ga tje,
Tri khushi k lie khod ko yeh saza doon ga.
…
Mar bhi jaaon to kahan log bhula hi dein ge
Sad Shayari
Mar bhi jaaon to kahan log bhula hi dein ge,
Lafz mere, mere honey ki gawaahi dein ge…
…
Khayal Rakhna
Sad Shayari
Tum apni aankhon main ghum k budlay shararton ko saja k rakhna
Kabhi jo aansoo nikal parain tau anna ke khhatir chhupa k rakhna
Na dil dukhana kabhi tum apna udaas raaton ke chaandni saiy
Sambhal rakhna tum apni saansain udasiyun ko mita k rakhna
Kehin ye furqat ke seeyah raatain tumharay ghar main na phail jaaien
Jo bujh gaaiy hain charagh saray unhi ko phir saiy jala k rakhna
Na apnay aanchal k sub rungoan ko safaid karna seeyah karna
Abhi tau jeewan ke rut jawan hay osi ko dil main basa k rakhna
Ajab nehi hay jo kal na budlay isi jahan main naseeb tera
Khushi k lumhon ke ass rakhna khushi saiy chehra saja k rakhna
Jahan main phirtay hain hum akailay tumhi naiy khoya nehi kisi ko
Tum apni halat ka khayal rakhna ore gaisoowon ko bana k rakhna
Na aana baaton main dushmano ke jo hogaya hay wo hogaya hay
Bas sooch apni blund rakhna nigahain apni jhoka k rakhna
Abhi saiy shaukat chhalak raha hay ghumon saiy paimana kyun tumhara
Wo teri soochon main gar hay shamil tujhay hay oska khayal rakhna
By Shaukat Ali Khan
…
Mere din raat mushkil mai hain, sakoon ek pal nahi mujh ko
Sad Shayari
Mere din raat mushkil mai hain,sakoon ek pal nahi mujh ko.
Mohabbat tarss kha mujh per, Mohabbat chor jaa mujh ko..!!
…
Is saadgi pe khud hansi aayi mujhe
Sad Shayari
Baar’ha is saadgi pe khud hansi aayi mujhe,
Kar raha hoon kis zamane mein Wafa ki baat..
…
Youn na Khench Apni Taraf Mujay
Sad Shayari
Youn na Khench Apni Taraf Mujay Be-Bas Kar Ke,
Aisa Na Ho K Khud Se B Bichar Jaoun Aur Tum B Na Milo
…
Usko Mein Yaad Na Aaon
Sad Shayari
Ab ore kis sobha saiy main aas lagaon
Jab shaam tak bhe osko main yaad na aaon
Wo khho gayia haiy shayed apni rafaaqaton main
Ab baarishon k moasum main yaad kya dilaon
Tadpa nahi haiy ab tak wo kisi ke judaiyon main
Main apnay aansowon ko faryaad kyun banaon
Zahir bhe haiy chhopa bhe ore keh raha haiy mujh ko
Apni ebaadaton ko main aag khod lagaon
Charcha abhi nahi haiy ruswaaiyon ka meri
Darta hon kal jahan main ruswa ho na jaon
Kehta raha hon usko meray saath saath chalna
Wo aagay nikal gaya haiy main kehin bichhad na jaon
Wo kar raha haiy sauda sudyon ka iss jahan main
Main jeewen k chaar din main apni jugah na paon
Shaukat nahi haiy mushkil gar daikh lay wo modd kar
Sung mairay chal sakay tau koe raasta banaon
By Shaukat Ali Khan
…
Ishq yun majboor kar day
Sad Shayari
Agar maaloom hota ishq yun majboor kar day gaa?,
Bohat pehlay hee iss aafat sey tauba kar chukay hotay?!
…
Kis kadar akailay hain
Sad Shayari
Zindagi ke raahon main runge-o-gham k mailay hain
Chaar soo andhairay hain un ginnat jhamailay hain
Kishtiyan hain kaaghaz ki barishon ka mousam hay
Aandhiyon k jhhakad main paaniyon k railay hain
Dard ka sumdar hay mohabaton ke baazi main
Ghamo ke rawani main dard kitnay jhailay hain
Tum bina adhori hay zindagi dau pal ke hay
Ansoowon k darya main kis qader akailay hain
Na tammam ruston main doshmanno k pehray hain
Baywafa zamanay nay khail kaisay khailay hain
Kis ko maan lain apna kis say doshmanni rakhain
Iss baibasi main ghum baishumaar jhailay hain
Baat ik lumhay ke hay waqat kab maeyeser hay
Khawhishein hazaron hain haath meray phailay hain
Aa k tum he rakh jaao dil pay haath shaukat k
Dooor reh k batoon say dil kis k behlay hain
(Kashtiyan:Boats)(Barish:Rain)(Jhailay:Been Through, Faced)(Rawani:Continuous)
by Shaukat Ali Khan
…
Koi jhoota hi dilaasa de
Sad Shayari
Na rulaa na hansaa koi kahani suna de mujhko
Koi jhoota hi dilaasa de, ke sula de mujh ko..
…
Wo pathar tha mein shesha
Sad Shayari
Wo pathar tha mein shesha tha natija kiu nahi nikla,
Usey thokar lagana thi, mujhy bhi toot jana tha…
…
Shama jala kar jeetey
Sad Shayari
Jo daagh dil paiy lagay onn ko mita kar jeetay
Kaisay hum onn ke jafaon ko bhola kar jeetay
Baat karnay k leye kis ka waseela chahtay
Ya tau pathar ka koe bott he bana kar jeetay
Na andhaira na swaira na kiran ke koe umeed
Aisi halat main kahan khud ko jaga kar jeetay
Jaanay wala koe sobha ka bhoola na thha
Warna darwazaiy paiy shama jala kar jeetay
Rung pheekay thhay chaman main bhe gulon k warna
Aashiyaan shaakh-e-gulistan paiy bana kar jeetay
Na koe hud haiy ulfat mai azaadari kee
Na he laazim thha k hum ansoo baha kar jeetay
Zindagi bhe tau badalti haiy thikaanay shaukat
Warna momkin thha galay isko laga kar jeetay
by Shaukat Ali Khan
…
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Sad Shayari.



