Pakistan Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Pakistan Shayari Poetry. Feel free to add your own Pakistan Shayari Shayari here.

Pakistan Shayari Collection

Pakistan Shayari is all about poetry on pakistan. Poetry on pakistan is mostly read in all over the world. We have got some nice Pakistan Poetry for you to read.



Khuda karay ke meri arz-e-pak per utre..

Pakistan Shayari

Khuda karay ke meri arz-e-pak per utre,
Wo fasl-e-gul jisse andesha-e-zawaal na ho,

Yahan jo phool khilay, khila rahe sadiyon,
Yahan khizaan ko guzarne ki bi majaal na ho,

Yahan jo sabza ugay, hamesha sabz rahe,
Aur aisa sabz key jis ki koi missaaal na ho,

Khuda karay ke na kham ho sir-e-waqar-e-watan,
Aur is ke husn ko tashweesh -e- mah-o-saal na ho,

Her aik fard ho, tehzeeb-o-fun ka oaj-e-kamaal,
Koi maalool na ho, koi hassta haal na ho,

Khuda kare ke meray aik bhi hum’watan ke liye,
Hayaat jurm na ho, zindagi wabaal na ho,

Watch Video



Aey watan tu ne pukara to lahuu khhol utha..

Pakistan Shayari

Aey watan tu ne pukara to lahuu khhol utha,
Tere baitte tere jaanbaz chale aatey hain,
Hum jo resham o kam-khawb se nazuk tar hain,
Hum jo aahan-o-folaad se takraatey hain,

Hum hain jo ghairat o namuus pe katt sakte hain,
Hum hain jo apni sharaafat ki qasam khatey hain,
Hum ne ronda hai bayabaanon ko sehraaon ko,
Hum jo barrhte hain to barrhte hi chale jate hain,

Hum se waaqif hain yeh darya yeh samandar yeh pahaarr,
Hum naye rang se tareekh ko dohraatey hain,
Aey watan tu ne pukara to lahuu khol utha..

Watch Video



Nisar main teri galliyon kay aey wattan..

Pakistan Shayari

Nisar main teri galliyon kay aey wattan,
Ke jahan chali hai rasm ke koi na sar utha k chalay…



Bas itni bat par sab ehl-e mehfil ho gay barhaum

Pakistan Shayari

Bas itni bat par sab ehl-e mehfil ho gay barhaum

ke tery nam ke hamra mera nam kuin aya

 



Mere mehboob watan tujh pe ho agar jaan ye nisaar

Pakistan Shayari

Mere mehboob watan tujh pe ho agar jaan ye nisaar
To mein smjhoun ga Thikany lga Sermaya-e-tan



Mein apni sarzameen per maut dekhoon

Pakistan Shayari

Mere liye itna kaafi hai ke,
Mein apni sarzameen per maut dekhoon,
Aur yahin dafan hoon,
Aur is miti mein pighal kar phel jaaon,
Phir phool ki tarah zameen se bahar nikloon,
Mere des ke bache is ke sath khelein,
Mere liye itna hi kaafi hai
Ke mein apne watan ki gaud mein rahoon,
Is tarah jese muthi bhar gard,
Bahaar ki ghaas ki tarah,
Aik phool ki maanin…

(Gaud:Lap)(Gard:Dust)(Sarzameen:Land)(Ghaas:Grass)



Faqt Pehluu Badalny Sy

Pakistan Shayari

Faqt Pehluu Badalny Sy
Rafaqat Kam Nhi Hoti

Mgr Phir Bhi Na Milne Ki
Aziyat Kam Nho Hoti

Jahan Koi Bichar Jaye
Wahin Per Uski Manzil Hy

Kisi k Saath Chalny Sy
Musafat Kam Nhi Hoti

Humare Dushmano Me
Chahne Wale Bhi Shamil Hyn

So Hum Jis Haal Main Bhi Hon
Mohabbat KamNahi Hoti


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Pakistan Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari