Urdu Soch Shayari

This website contains Urdu Soch Shayari. Feel free to add your own Urdu Soch Shayari here.

Advertisement


Soch Shayari

Urdu Soch Shayari



Pardhna hy tu insan ko phardny ka hunar seekh

Soch Shayari

Pardhna hy tu insan ko phardny ka hunar seekh

har chehrey pay likha hy kitabo say  ziada

 

 



Mein tujh ko kitna sochta hoon

Soch Shayari

Ghazal kehte huye tera saraapa sochta hoon,
Zara to soch lo, mein tujh ko kitna sochta hoon..



Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai

Soch Shayari

Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..?
Har taraf khalq ne kiyun shor mcha rakha hai,
Roshni din ki wohi,
Taron bhari rat wohi,
Aaj hum ko nazar aati hai har bat wohi,
Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen,
Aik hindse ka badalna koi jiddat to nahi,
Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere,
Kise maloom nahi 12 maheene tere,
Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein,
Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein,
Tu naya hai to dikha subha nai, sham nai
WaRNa in aankhon ne deikhe hain naye saal kai…

(khalq:Human Beings)(Afsurda:Sorrowful)(maheene:Months)(Mubarak-Badein:Congratulate)



Ye kon shakhs hai jo apne qehqon k lie

Soch Shayari

Ye kon shakhs hai jo apne qehqon k lie,
Zameen k raaz khala me ochal aea hai.



Ye kis hisab se ki to ne roshani takseem

Soch Shayari

Ye kis hisab se ki to ne roshani takseem,
Sitare muj ko mile mahtab us ka tha.



Ye kashmakash alag hai k kis kashmaksh me hon

Soch Shayari

Ye kashmakash alag hai k kis kashmaksh me hon,
Ata nahin samj me bahot sochata hon me.



Yon be sabab to koi unhen pojata nahin

Soch Shayari

Yon be sabab to koi unhen pojata nahin,
Kuch to hai patharon me khad o khal ki tarah.



Ye kia hoa k khon me jhalak uthi hai roshani

Soch Shayari

Ye kia hoa k khon me jhalak uthi hai roshani,
Ye kis ne dil ki tergi me aftab rakh dia.



Hum aah bhi karte hain to ho jate hain badnaam

Soch Shayari

Hum aah bhi karte hain to ho jate hain badnaam,
Wo qatal bhi karte hain to charcha nahin hota.



Humen ata nahin hai har kisi k samne jhokana

Soch Shayari

Humen ata nahin hai har kisi k samne jhokana,
Hum ehal e fikar hain adat e darbari nahin rakhate.



Hath bahot kafi the apne waste jaise bhi the

Soch Shayari

Hath bahot kafi the apne waste jaise bhi the,
Koi hum sa dost koi hum sa begana na tha.



Hum ko jahan pehchanane wale nazr ae

Soch Shayari

Hum ko jahan pehchanane wale nazr ae,
Awaz hi kuch aur wahan hum ne bana li.



Ho na ho ye koi sach bolane wala hai qateel

Soch Shayari

Ho na ho ye koi sach bolane wala hai qateel,
Jis k hathon me qalam paon me zanjeain hain.



Hum na hote to kisi aur k charche hote

Soch Shayari

Hum na hote to kisi aur k charche hote,
Khalkat e sheher to kehne ko fasane mange.



Wo jo bachpan me hi lagta hai koi jado gar

Soch Shayari

Wo jo bachpan me hi lagta hai koi jado gar,
Kia sitam dhae ga jab us pe jawani ho gi.

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Soch Shayari.



Search Urdu Poetry



RSS Shayari

  • Jo mere sawal ka jawab dega wo ghr ja skta hy February 3, 2012
    Teacher: Jo mere sawal ka jawab dega wo ghr ja skta hy., Pathan ne foran apna bag khirki se bahir phenka.. Teacher: Ye bag kis ne phenka hai..??? ; , Pathan: Main ne ….. yahooo.. … Chutti Teacher shocked… : … […]
  • dhoop khatioon ma utr kar zafraani ho gayee February 3, 2012
    dhoop khatioon ma utr kar zafraani ho gayee sarmay ashjaar ki poshaak dhaani ho gayee jaisay jaisay umr bhigi sado poshaaki gayee soot peela, shart niili , taayee dhaani ho gayee is ki ardo main ab bhi maghrabhi lahjaa mila kaalay baalon ki rangat zaafaraani ho gayee saanp k bosay ma kaisa pyaar tha k faatahaa phr phraa kr ek sadaaya aasmaani ho gayee narm t […]
  • sardion ki udas ratoon main February 3, 2012
    sardion ki udas ratoon main Sawan Ki Bheegi Shamoon Main Hum Khoye Khoye Say Rehty Hain Tumhari Haseen Yadon Main Jub Say Tum Bichry Ho Hum Tum Ko Yad Kertay Hain Ker K Yad Tumhari Soorat Ahain Ab Hum Bhartay Hain Tumhari Di Hoi Her Ik Shay Sanbhal K Ab Hum Rakhtay Hain Ja Ja K Un Glion Main Hum Tumahin Talash Kertay Hain Tumhary Peechay Duniya Chori Majnoon […]
  • Sauda Hamara Kabhi Bazaar Tak Nahi Pohncha February 3, 2012
    sauda hamara kabhi bazaar tak nahi pohncha ishq tha jo kabhi izhaar tak Nahi pohncha yun tu guftagoon bohut huwe unse phir bhi silsila kabhi yeh pyaar tak nahi pohncha jaane kaise ho gaya waakif tamaam shehar daastan-e-ishq yun tu kabhi akhbaar tak nahi pohncha shartein ek dusare ki manzoor thi yun tu par masauda hamara kabhi qaraar tak nahi pohncha gahrayi […]
  • apnay markz ki taraf maail parwaaz tha husn February 3, 2012
    apnay markz ki taraf maail parwaaz tha husn bhoolta hi nahi aalam teri angraae ka … […]
  • naheen aati to yaad inki maheenon tak nahi aati February 3, 2012
    naheen aati to yaad inki maheenon tak nahi aati mgr jab wo yaad aatay hain to aksar yaad aatay hain … […]
  • ada hai shart, bnaawat bhi ltf daiti hai February 3, 2012
    ada hai shart, bnaawat bhi ltf daiti hai wo hud bhi rooth gaya hain mujhe hafa kar k … […]
  • tujhay to waada-e-deedaar hum say karna thaahum February 3, 2012
    tujhay to waada-e-deedaar hum say karna thaa yeh kya kiya k jahaan ko umeed-waar kiyaa … […]
  • raah mazmoon taaza bnd nahi February 3, 2012
    raah mazmoon taaza bnd nahi taqiamat khula hai baab – e sukhan … […]
  • shaam bhi thi dhowaan dhwaan, hsn bhi tha udaas udaas February 3, 2012
    shaam bhi thi dhowaan dhwaan, hsn bhi tha udaas udaas dil ko kaeen kahaniaan yaad si aagayeen … […]