Urdu Umeed Shayari

This website contains Urdu Umeed Shayari. Feel free to add your own Urdu Umeed Shayari here.

Advertisement


Umeed Shayari



Koi har gya koi jeet gya, ye saal b akhir beet gya..!

Umeed Shayari

Koi har gya koi jeet gya,

ye saal b akhir beet gya..!

Kabi sapny sjaye ankho me

kbi beet gae pal baton main,

kuch talkh sy lamhat b thy,

kuch hadsy aur sadmat b thy,

kuch berukhi kuch becheni,

kuch mun main simti weeraani.
Kuch lamhe thy yadgaar bht,

kuch lamhon ko brbaad kia..
Per ab k baras,
RUB se dua ha ye ,
koi pal na apka udas guzry,
koi rog na apko raas guzry,
ap pholon ki trha khila kreyn,
koi shakhs na ap se gila kry,
ap khush rho abad rho,
apka khwab ngar abad rhy,
ap jo chahy wo ho jay,
ap jo mango wo mil jay,
apki maf wo hr ik khata kry,
apko asey hi Rab ata kry.
AMEEN.



Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai

Umeed Shayari

Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..?
Har taraf khalq ne kiyun shor mcha rakha hai,
Roshni din ki wohi,
Taron bhari rat wohi,
Aaj hum ko nazar aati hai har bat wohi,
Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen,
Aik hindse ka badalna koi jiddat to nahi,
Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere,
Kise maloom nahi 12 maheene tere,
Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein,
Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein,
Tu naya hai to dikha subha nai, sham nai
WaRNa in aankhon ne deikhe hain naye saal kai…

(khalq:Human Beings)(Afsurda:Sorrowful)(maheene:Months)(Mubarak-Badein:Congratulate)



Yahi bahot hai k to ne palat k daikh lia

Umeed Shayari

Yahi bahot hai k to ne palat k daikh lia,
Ye lutaf bhi meri umeed se ziada hai.



Hum wafaen kar k rakhate hain wafaon ki umeed

Umeed Shayari

Hum wafaen kar k rakhate hain wafaon ki umeed,
Dosti me is qadar soda gari bhi juram hai.



Nigah e qeher se daikha yahi ghanemat hai

Umeed Shayari

Nigah e qeher se daikha yahi ghanemat hai,
Muje to app se umeed is qadar bhi na thi.



Najane chand kab utare ga arshad

Umeed Shayari

Najane chand kab utare ga arshad,
Kinare jheel k betha hoa hon.



Me kar raha hon teri chasham e nam sa andaza

Umeed Shayari

Me kar raha hon teri chasham e nam sa andaza,
K ane wale zamane bahot haseen hon ge.



Makan k sare dareche khole rakho ahsan

Umeed Shayari

Makan k sare dareche khole rakho ahsan,
Na jane kon si janib se roshani ae.



Guman na kar k muje jurat e sawal nahin

Umeed Shayari

Guman na kar k muje jurat e sawal nahin,
Faqat ye dar hai tujhe la jawab kar doon ga.



Gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa

Umeed Shayari

Gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa,
Gar jeet gae to kia kehna hare bhi to bazi mat nahin.



Phir bhi teri wafa pe muje ehtabar hai

Umeed Shayari

Phir bhi teri wafa pe muje ehtabar hai,
Jata hon rooz wahda e farda lie hoe.



Phir nazar me phol mehke dil me phir shoaen jalin

Umeed Shayari

Phir nazar me phol mehke dil me phir shoaen jalin,
Phir tasweer ne lia us bazam me jane ka naam.



Main na jugnu hoon

Umeed Shayari

Main na jugnu hOn na diya hOn na kOi chaand,
Phir rOshni waale mere naam se jalte kyun hain



nazar se door

Umeed Shayari

nazar se door reh kar bhi kisi ki soch main rehna…
kisi ke pass rehne ka tarika ho to aisa ho………..



Kabhi toot ke bikhra nahin karte

Umeed Shayari

Rakhte hain jo auron ke liye pyar ka jazba
Woh log kabhi toot ke bikhra nahin karte…

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Umeed Shayari.



Search Urdu Poetry



RSS Shayari

  • Jo mere sawal ka jawab dega wo ghr ja skta hy February 3, 2012
    Teacher: Jo mere sawal ka jawab dega wo ghr ja skta hy., Pathan ne foran apna bag khirki se bahir phenka.. Teacher: Ye bag kis ne phenka hai..??? ; , Pathan: Main ne ….. yahooo.. … Chutti Teacher shocked… : … […]
  • dhoop khatioon ma utr kar zafraani ho gayee February 3, 2012
    dhoop khatioon ma utr kar zafraani ho gayee sarmay ashjaar ki poshaak dhaani ho gayee jaisay jaisay umr bhigi sado poshaaki gayee soot peela, shart niili , taayee dhaani ho gayee is ki ardo main ab bhi maghrabhi lahjaa mila kaalay baalon ki rangat zaafaraani ho gayee saanp k bosay ma kaisa pyaar tha k faatahaa phr phraa kr ek sadaaya aasmaani ho gayee narm t […]
  • sardion ki udas ratoon main February 3, 2012
    sardion ki udas ratoon main Sawan Ki Bheegi Shamoon Main Hum Khoye Khoye Say Rehty Hain Tumhari Haseen Yadon Main Jub Say Tum Bichry Ho Hum Tum Ko Yad Kertay Hain Ker K Yad Tumhari Soorat Ahain Ab Hum Bhartay Hain Tumhari Di Hoi Her Ik Shay Sanbhal K Ab Hum Rakhtay Hain Ja Ja K Un Glion Main Hum Tumahin Talash Kertay Hain Tumhary Peechay Duniya Chori Majnoon […]
  • Sauda Hamara Kabhi Bazaar Tak Nahi Pohncha February 3, 2012
    sauda hamara kabhi bazaar tak nahi pohncha ishq tha jo kabhi izhaar tak Nahi pohncha yun tu guftagoon bohut huwe unse phir bhi silsila kabhi yeh pyaar tak nahi pohncha jaane kaise ho gaya waakif tamaam shehar daastan-e-ishq yun tu kabhi akhbaar tak nahi pohncha shartein ek dusare ki manzoor thi yun tu par masauda hamara kabhi qaraar tak nahi pohncha gahrayi […]
  • apnay markz ki taraf maail parwaaz tha husn February 3, 2012
    apnay markz ki taraf maail parwaaz tha husn bhoolta hi nahi aalam teri angraae ka … […]
  • naheen aati to yaad inki maheenon tak nahi aati February 3, 2012
    naheen aati to yaad inki maheenon tak nahi aati mgr jab wo yaad aatay hain to aksar yaad aatay hain … […]
  • ada hai shart, bnaawat bhi ltf daiti hai February 3, 2012
    ada hai shart, bnaawat bhi ltf daiti hai wo hud bhi rooth gaya hain mujhe hafa kar k … […]
  • tujhay to waada-e-deedaar hum say karna thaahum February 3, 2012
    tujhay to waada-e-deedaar hum say karna thaa yeh kya kiya k jahaan ko umeed-waar kiyaa … […]
  • raah mazmoon taaza bnd nahi February 3, 2012
    raah mazmoon taaza bnd nahi taqiamat khula hai baab – e sukhan … […]
  • shaam bhi thi dhowaan dhwaan, hsn bhi tha udaas udaas February 3, 2012
    shaam bhi thi dhowaan dhwaan, hsn bhi tha udaas udaas dil ko kaeen kahaniaan yaad si aagayeen … […]