Urdu Umeed Shayari
This website contains Urdu Umeed Shayari. Feel free to add your own Urdu Umeed Shayari here.Advertisement
Umeed Shayari
Tamana phir machal jai,
Umeed Shayari
Tamana phir machal jai,
ager tum milnay ajao,
ye mosam b badal jai
ager tum milnay ajao,
nahi miltay ho tum mujh se tou,
sab hamdard hain meray,
zamana mujh say jal jai,
ager tum milnay ajao,
mujhay gham hai k,
main nay zindagai mei,
kuch nahi paya,
ye gham dil se nikal jai ager,
tum mujh say milnay ajo.
…
Ek r0z tum ne thama tha hath mera
Umeed Shayari
Ek r0z tum ne thama tha
hath mera
Mere hath se tumhare hath ki
khushbu nahi jati
Tum b0hat pyar se pukarte
thay naam mera
Mere kan0 se tumhari w0h
awaz nahi jati
Main bulata bhi nahi tha 0r
tum aajate thay
Ab bulane par bhi meri awaz
tum tak nahi jati
Bas chuke h0 tum meri nus
nus mein lahu ki tarah
Meri ulfat tumhari ro0h mein
uTar kYUn nahi jaTi ??
Main janta hun yeh shehR
Yeh raaste
tumhare naHi
Phir bhi meri aaNkh0n se
intezar ki aDat naHi jaTi ?..
…
Ao0 apni chahtaiN neeLam
Umeed Shayari
Ao0 apni chahtaiN neeLam
kar daiN..
Pyar ka s0da bhi sar-E-aaM
kar daiN..
Tum apNe dukh hamaRe
naam kaR d0..
Ham apni khushiyaN
tumharE naaM kar daiN?.
…
jane kya hai ye zindagi
Umeed Shayari
jane kya hai ye zindagi ,jane kya hai roshni,
puchunga main us-se yahi ,mil jaye gar woh kahin,
kyon sapne khilte hain, kyon sapne murjhate hai,
kyon apne milte hai , kyon apne kho jaten hai.
…
Faiz Ahmed Faiz
Umeed Shayari
Ab kyun oss din ki fiker kero,
jab dil tokray tokray hojaiga,
or saray gham mit jaingay,
tum khof o khatar say der guzer kero,
jo hona hay so hona hay,
hasna hay tou hasna hay,
ger rona hay tou rona hay,
tum apni kerni ker guzero,
jo hoga dekha jaiga.
Faiz Ahmed Faiz.
…
Zindagi Per KiTab Kya Likhoon
Umeed Shayari
Zinagi Per KiTab Kya Likhoon
ab gye shab kay Khawab Kya likhoon
Zindagi tu Guzar Gye Mayri
zindagi kay Azab kya Likhoon
Zakham seenay kay Chup nai Patay
un ka Ahd-e-Shabab Kya likhoon
Woh Mayri Khawahishoon ka Qatil hay
us ko izat Ma-Aab Kya likhoon
Dasht main bay hisab bikhray howay
pathroon ko Gulab Kya likhoon
Jab Mezan aik Qaim hay
phir Gunah Sawab Kya likhoon
hay MuKamal kitab-e-dil Mayri
Tu Bata Intisaab Kya likhoon
…
Yeh dard mit gaya tu phir?
Umeed Shayari
Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir?
…
Barra dushwaar hota hay
Umeed Shayari
Barra dushwaar hota hay..
Zraa sa faisla kerna?
K zindagi ki Kahaani ko?
Bayaan-e-bazabani ko?
Kahaa?n say yaad rakhna hay?
Kahaa?n say bhool jana hay?
Kisay kitna bataana hay?
Kis say kitna chhupaana hay?
Kahaa?n ha?ns ha?ns k rona hay?
Kahaa?n ro ro ka has?naa hay?
Kahaa?n awaaz daini hay?
Kahaa?n khaamosh rehna hay?
Kahaa?n rastaa badlna hay?
Kahaa?n say lout aana hay?
Barra dushwaar hota hay..
Zra sa fisala kerna?.!!
…
Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay
Umeed Shayari
Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta
Main bhee kha?if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.
Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.
Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.
…
USay Ye Kon Samjhaye ??
Umeed Shayari
USay Ye Kon Samjhaye ??
Wo Dasht-e-Khamoshi Mein
Ungliyo?n Mein Seepiya?n Pehne
Kisi Sookhey Samandar Ki Adhoori Pyaas Ki Baatei?n
Bohat Chup Chaap Sunta Hy
Bohat Khamosh Rehta Hy
Usay Kon Ye Samjhaye ??
Khushi k Ek Aansuu Se
Samandar Bhar Bhi Jaty Hyn
Bohat Khamosh Rehny Se
Ta?aluq Marr Bhi Jaty Hyn ?
…
Mere Israar Per Aakhir
Umeed Shayari
Mere Israar Per Aakhir
Bohat Majbuur Ho Ker Aaj
Mujhy Apni Nigaho?n Ki Udaasi
Sonp Di Us Ne
Bohat Bebas Bohat Tanha
Bohat Bikhri Mohabbat Ki Us Ne
Khalish Jo Us k Dil Mein Thi
Ab Wo Meri Amanat Hy
Shikasta Lehjy Ki Jitni Thakan Thi
Bol Di Us Ne
Meri Khatir Mujhy Apni Mohabbat
Keh Nahi Paya
Magar
Aaj Apne Aansuu Se
Mohabbat Taul Di Us Ne ? !!!
…
Ek Khwaish Sarhaney Rakh Do Na
Umeed Shayari
Ek Khwaish Sarhaney
Rakh Do Na
Aaj Mujh Pe Inayat
Ker Do Na
Zara Chupkey Se
Khamoshi Se
Tum Izhar-e-Mohabbat
Ker Do Na
Khud Ko Ker k
Deewana Sa
Mera Pyaar Amar
Tum Ker Do Na
Main Pyaas Mein Duuba
Sehra Hoon
Tum Mujh Ko Samandar
Ker Do Na
Main Yun Hi Phirta
Hoon Dar-ba-Dar
Tum Khud Ko Manzil
Ker Do Na ?
…
Ek Din Usne Mujhse pucha ?Main Kahan Hun?
Umeed Shayari
Ek Din Usne Mujhse pucha ?Main Kahan Hun?
Maine Kaha Mere Dil Main Meri Jaan Main ho Tum
Meri Saans Main Ho Tum
Meri Aas Main Ho Tum
Mere Dil Ki Dhadkano Main Ho Tum
Meri Aakhri Saans Main Ho Tum
Phir Pucha Usne ?Kahan Nahi Hun Main?
Maine Sar Jhuka kar Jawaab Diya
Bas Meri Qismat Main Nahi ho Tum
…
Humare Chale jaane ke Baad
Umeed Shayari
Humare Chale jaane ke Baad
Yeh Samandar Ki Ret Bhi
Tumse Pucha Karegii
Kahan Chala Gaya Woh Shaqs
Jo Tanhaii Main Aa kar
Bas Tumhara hi naam likha karta tha
…
Har Cheez Tumhari Lota Di
Umeed Shayari
Har Cheez Tumhari Lota Di
Ham LeKe Nahi Kuch Sath Chale
Phir Dosh Na Dena Ae Logo
Ham Dekhlo Khaali Hath Chale
Ye Rah Akele Katti Hai
Yahan Saath Na Koi Yar Chale
Us Paar Najane Kiya Payen
Is Par Tu Sab Kuch Haar Chale
…
Advertisement
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Umeed Shayari.













