Umeed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Umeed Shayari Poetry. Feel free to add your own Umeed Shayari Shayari here.

Umeed Shayari Collection



jane kya hai ye zindagi

Umeed Shayari

jane kya hai ye zindagi ,jane kya hai roshni,
puchunga main us-se yahi ,mil jaye gar woh kahin,

kyon sapne khilte hain, kyon sapne murjhate hai,
kyon apne milte hai , kyon apne kho jaten hai.



Faiz Ahmed Faiz

Umeed Shayari

Ab kyun oss din ki fiker kero,
jab dil tokray tokray hojaiga,
or saray gham mit jaingay,
tum khof o khatar say der guzer kero,
jo hona hay so hona hay,
hasna hay tou hasna hay,
ger rona hay tou rona hay,
tum apni kerni ker guzero,
jo hoga dekha jaiga.

Faiz Ahmed Faiz.



Zindagi Per KiTab Kya Likhoon

Umeed Shayari

Zinagi Per KiTab Kya Likhoon
ab gye shab kay Khawab Kya likhoon

Zindagi tu Guzar Gye Mayri
zindagi kay Azab kya Likhoon

Zakham seenay kay Chup nai Patay
un ka Ahd-e-Shabab Kya likhoon

Woh Mayri Khawahishoon ka Qatil hay
us ko izat Ma-Aab Kya likhoon

Dasht main bay hisab bikhray howay
pathroon ko Gulab Kya likhoon

Jab Mezan aik Qaim hay
phir Gunah Sawab Kya likhoon

hay MuKamal kitab-e-dil Mayri
Tu Bata Intisaab Kya likhoon



Yeh dard mit gaya tu phir?

Umeed Shayari

Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir?



Barra dushwaar hota hay

Umeed Shayari

Barra dushwaar hota hay..
Zraa sa faisla kerna?
K zindagi ki Kahaani ko?
Bayaan-e-bazabani ko?

Kahaa?n say yaad rakhna hay?
Kahaa?n say bhool jana hay?
Kisay kitna bataana hay?
Kis say kitna chhupaana hay?

Kahaa?n ha?ns ha?ns k rona hay?
Kahaa?n ro ro ka has?naa hay?
Kahaa?n awaaz daini hay?
Kahaa?n khaamosh rehna hay?

Kahaa?n rastaa badlna hay?
Kahaa?n say lout aana hay?
Barra dushwaar hota hay..
Zra sa fisala kerna?.!!



Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay

Umeed Shayari

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta

Main bhee kha?if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.



USay Ye Kon Samjhaye ??

Umeed Shayari

USay Ye Kon Samjhaye ??

Wo Dasht-e-Khamoshi Mein

Ungliyo?n Mein Seepiya?n Pehne

Kisi Sookhey Samandar Ki Adhoori Pyaas Ki Baatei?n

Bohat Chup Chaap Sunta Hy

Bohat Khamosh Rehta Hy

Usay Kon Ye Samjhaye ??

Khushi k Ek Aansuu Se

Samandar Bhar Bhi Jaty Hyn

Bohat Khamosh Rehny Se

Ta?aluq Marr Bhi Jaty Hyn ?



Mere Israar Per Aakhir

Umeed Shayari

Mere Israar Per Aakhir

Bohat Majbuur Ho Ker Aaj

Mujhy Apni Nigaho?n Ki Udaasi

Sonp Di Us Ne

Bohat Bebas Bohat Tanha

Bohat Bikhri Mohabbat Ki Us Ne

Khalish Jo Us k Dil Mein Thi

Ab Wo Meri Amanat Hy

Shikasta Lehjy Ki Jitni Thakan Thi

Bol Di Us Ne

Meri Khatir Mujhy Apni Mohabbat
Keh Nahi Paya

Magar

Aaj Apne Aansuu Se

Mohabbat Taul Di Us Ne ? !!!



Ek Khwaish Sarhaney Rakh Do Na

Umeed Shayari

Ek Khwaish Sarhaney
Rakh Do Na

Aaj Mujh Pe Inayat
Ker Do Na

Zara Chupkey Se
Khamoshi Se

Tum Izhar-e-Mohabbat
Ker Do Na

Khud Ko Ker k
Deewana Sa

Mera Pyaar Amar
Tum Ker Do Na

Main Pyaas Mein Duuba
Sehra Hoon

Tum Mujh Ko Samandar
Ker Do Na

Main Yun Hi Phirta
Hoon Dar-ba-Dar

Tum Khud Ko Manzil
Ker Do Na ?



Ek Din Usne Mujhse pucha ?Main Kahan Hun?

Umeed Shayari

Ek Din Usne Mujhse pucha ?Main Kahan Hun?
Maine Kaha Mere Dil Main Meri Jaan Main ho Tum
Meri Saans Main Ho Tum
Meri Aas Main Ho Tum
Mere Dil Ki Dhadkano Main Ho Tum
Meri Aakhri Saans Main Ho Tum
Phir Pucha Usne ?Kahan Nahi Hun Main?
Maine Sar Jhuka kar Jawaab Diya
Bas Meri Qismat Main Nahi ho Tum


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Umeed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari