Abdul Ahad Saaz

Ranjish.com has lots of Urdu Abdul Ahad Saaz Poetry. Feel free to add your own Abdul Ahad Saaz Shayari here.

Abdul Ahad Saaz Collection

Abdul Ahad Saaz Abdul Ahad Saaz
1950-

A well known poet from Mumbai. Find beautiful poetry by Abdul Ahad Saaz.



Sabaq umr ka yaa zamaane ka hai..

Abdul Ahad Saaz

Sabaq umr ka yaa zamaane ka hai,
Sab aamokhta bhuul jaane ka hai,

Yeh gum hote chehere yeh manzar yeh gard,
Samaan raat din yahan se jaane ka hai,

Ruke hain ke ttuuk dekh lein soch lein,
Tavaquf takalluf bahaane kaa hai,

Yeh sadiyon kaa mohkaam munazzam sukuut,
Tilissm ek chutki bajaane ka hai,

Mehek saans sabza-e-qabr ki,
Kinaaya sa jaise bhulaane ka hai,

Wazahat na qurbat ke kiije talab,
Ke yeh silsila duur jaane ka hai,

Qaffass me mere zehan ke muztarib,
Yeh tinkaa tere aashiyane ka hai,

Alag ik kahaani sa lagta idar,
Tasalsul udhar ke fasaane ka hai,

Gaye din samajhne parakhne ke “saaz”,
Yeh mausam to bas maan jaane ka hai..



Meri jholi me woh lafzon ke motii daal deta hai..

Abdul Ahad Saaz

Meri jholi me woh lafzon ke motii daal deta hai,
Sivaaye is ke kuch maangun to hanss ke ttaal deta hai,

Sujhaata hai wohi rasta bhi un se bach nikalne ka,
Jo in aankhon ko khawabon ke sunehre jaal deta hai,

Mera aik karobar-e-jazba-o-alfaaz hai us se,
Mere jazbon ko pighlaa kar woh misre ddhaal deta hai,

Haqeeqat ghol rakhta hai woh ruumaanon ke paani me,
Manaazir thhoss deta hai nazar sayaal deta hai,

Utar aata hai woh shokhi pe yuun bhi meherbaani ki,
Mere ik sher ki mohlat ko maah-o-saal deta hai..



Khille hain phool ke suurat tere visaal ke din..

Abdul Ahad Saaz

Khille hain phool ke suurat tere visaal ke din,
Tere jamaal ki raaten tere khayaal ke din,

Nafas nafas nai tahdaariyon me zaat ki khoj,
Ajab hain tere badan hadd-o-haal ke din,

Ba-zauq-e-sher ba-jabr-e-maash yakjaa hain,
Mere uruuj ki raaten mere zavaal ke din,

Khareed bethe hain dhoke me jins-e-umr-e-daraaz,
Hamen dikhaaye the maktab ne kuchh misaal ke din,

Na haadse na tasalsul na rabt-e-umr kahin,
Bikhar ke reh gayi lamhon me maah-o-saal ke din,

Main barrhte barrhte kisi roz tujh ko chhhuu leta,
Ke gin ke rakh diye tuu ne meri majaal ke din,

Yeh tajrabaat ke vussat yeh qaid-e-saut-o-sadaa,
Naa puuch kaise karre hain yeh arz-e-haal ke din..



Ghul si gayi ruuh me udaasi..

Abdul Ahad Saaz

Ghul si gayi ruuh me udaasi,
Raas aayi na ham ko khud-shanaasi,

Hr morr pe be-kashish kharri hai,
Ik khush-badani o kam-libaasi,

Laalach me paron ke pairr chuutte,
Ab rakht-e-safar hai be-asaasi,

Nafss-e-mazmuun issi me hai go,
Mazmuun0e0nafas hai iqtibaasi,

Aayi bhi to kya nigaar-e-tabeer,
Orrhe huye khawb ki ridaa si,

Jaadu sa alam ka kar gayi “saaz”,
Un aankhon ki multafit usaasii..



Soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paaya..

Abdul Ahad Saaz

Soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paaya,
Jab bhi aayina dekha khud ko duuusra paya,

Hontt pr diyaa rakhna dil-jalon ki shokhii hai,
Warna iss andhere me kaun muskuraa paaya,

Bol they divaano ke jin se hosh walon ne,
Soch ke dhundhlakon me apna rasta paaya,

Ehtimaam dastak ka apni vazaa thi warna,
Ham ne dar rasaayi ka bar-haa khulaa paaya,

Falsafon ke dhagon se kheench kar siraa dil ka,
Vehm se haqeeqat tak hum ne silsilaa paaya,

Umr yaa zamane ka khel hai bahane ka,
Sab ne maajraa dekha kis ne mudaaa paaya,

“Saaz” jab khulaa ham pr sher koi ghalib ka,
Ham ne goya baatin ka ik suraagh saa paaya..



Sawaal ka jawab tha jawab ke sawaal me..

Abdul Ahad Saaz

Sawaal ka jawab tha jawab ke sawaal me,
Giraft-e-shor se chuutte to khamoshi ke jaal me,

Buraa ho aayine tera main kaun hoon na khul saka,
Mujhi ko paish kar diya geya meri misaal me,

Baqaa-talab thi zindagi shifa-talab tha zakham-e-dil,
Fanaa magar likhi gayi hai baab-e-indimaal me,

Kahin sabaat hai nahin yeh kaainaat hai nahin,
Magar umeed-e-deed me tasavvur-e-jamaal me,

Qadeem se hatte to hum jadeed me ulajh gaye,
Nikal ke gardish-e-falak se mausmon ke jaal me..



Har aik dharrkan ajab aahat..

Abdul Ahad Saaz

Har aik dharrkan ajab aahat,
Parindon jaisi ghabraahatt,

Mere lehje me shireeni,
Meri ankhon me karrvahatt,

Meri pehchaan hai shayed,
Mere hisse ki uktaahatt,

Ujaale ddass na lein is ko,
Bachaa rakho yeh dhundhlaahatt,

Lahuu ki seerrhiyon pr hai,
Koi barrhti huyi aahatt..



Hassrat-e-deed bhi nahin zauq-e-tamaasha bhi nahin..

Abdul Ahad Saaz

Hassrat-e-deed bhi nahin zauq-e-tamaasha bhi nahin,
Kaash pathar hon nigaahen magar aisa bhi nahin,

Jabr-e-dozakh nahin firdous kaa nasha bhi nahin,
Khush hain araaf me hum aur koi khattka bhi nahin,

Ab kisi huur me baaqi nahin ehsaas-e-kashish,
Mere sar pr kisi aasaib kaa saaya bhi nahin,

Woh to aisa bhi hai waisa bhi hai kaisa hai magar,
Kya ghazab hai koi uss shokh ke jaisa bhi nahin,

Jiss ka haq tha ke bane sang-e-malaamat ka hadaf,
Zahe tazheek woh ab sheher me rusvaa bhi nahin,

Dhoondh kuch aur hi iblaagh ki suurat ae “saaz”,
Sharh o tafseer nahi ramzz o kinaaya bhi nahin..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Abdul Ahad Saaz.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari