Abdul Hameed Adam

Ranjish.com has lots of Urdu Abdul Hameed Adam Poetry. Feel free to add your own Abdul Hameed Adam Shayari here.

Abdul Hameed Adam Collection

Abdul Hameed Adam Abdul Hameed Adam
1910-1981

Abdul Hameed Adam was popular poet from Gujranwala, Pakistan. He was known for his nazam “Yeh Jo Halka Halka Suroor” which was later sung by Nusrat Fateh Ali Khan.
Here are the names of his books : Ramm e Aahu, Barbat o Jam, Nadaniyan, Chaak Pairhan, Charah e Dard, Dastoor e Wafa.
Ranjish.com is the ultimate place to read Abdul Hameed Adam poetry.



woh mere ghar jhagaRrne aya tha

Abdul Hameed Adam

woh mere ghar jhagaRrne aya tha
khoob nikli hai pyar ki surat



Main umar bhar jawab nahin de saka adam..

Abdul Hameed Adam

Main umar bhar jawab nahin de saka adam,
Woh ik nazar main itne sawalaat kar gaye..



Agahi main ek khalaa maujood hai..

Abdul Hameed Adam

Iska matlab hai khuda maujood hai

Agahi main ek khalaa maujood hai,
Is ka matlab hai khuda maujood hai,

Hai yaqeenan kuch magar vaazeh nahin,
Aap ki aankhon main kya maujood hai,

Bankpan main aur koi shai nahin,
Sadgi ki intihaa maujood hai,

Hai mukammal badshahi ki daleel,
Ghar main gar ik boriya maujood hai,

Shauqiya koi nahin hota ghalat,
Is main kuch teri razaa maujood hai,

Is liye tanha hoon main garm-e-safar,
Qaafile main rahnuma maujood hai,

Har mohabbat ke bina hai chashni,
Har lagan main mudaa.aa maujood hai,

Har jagah har sheher har iqlim main,
Dhoom hai us ki jo na-maujood hai,

Jis se chupna chahta hoon main adam,
Woh sitamgar ja-ba-ja maujood hai..

Agaahi main ik khalaa maujood hai



Aap agar hum ko mil gaye hote..

Abdul Hameed Adam

ap agar hum ko mil gaye

Aap agar hum ko mil gaye hote,
Baagh main phool khil gaye hote,

Aap ne yoon hi ghoor kar dekha,
Honthh to yoon bhi sil gaye hote,

Kaash hum aap is tarah milte,
Jaise do waqt mil gaye hote,

Us ki aankhen hi kaj-nazar theen adam,
Dil ke parde to hil gaye hote..



So gaye jis jagah bhi raat aayi..

Abdul Hameed Adam

so gaye jis jagah bhi

So gaye jis jagah bhi raat aayi,
Be-gharon ke barre thikaane hain..



Ae gham-e-zindagi na ho naraz,

Abdul Hameed Adam

Ae gham-e-zindagi na ho naraz,
Mujhe ko aadat hai muskuraane ki..



Buss jee rahe hain itna ghaneemat hai..

Abdul Hameed Adam

Buss jee rahe hain itna ghaneemat hai aye Adam,
Kiss tarah ho rahi hai bassar kuch na puchiye..



Itna to dosti ka silaah dijiye mujhe..

Abdul Hameed Adam

itna to dosti ka silaah dijiye

Itna to dosti ka silaah dijiye mujhe,
Apna samajh ke zeher pilaa dijiye mujhe,

Uthe na taa-ke aap ki janib nazar koi,
Jitni bhi tohmtain hain lagaa dijiye mujhe,

Kyun aap ki khushi ko mera gham kare udaas,
Ik talkhh haadsa hoon bhula dijiye mujhe,

Main aap ke qareeb hi hota hoon har gharri,
Moqa kabhi parre to sadaa dijiye mujhe,

Har cheez dasstiyaab hai bazaar main Adam,
Jhooti khushi khareed ke laa dijiye mujhe..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Abdul Hameed Adam.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari