Ada Jafri

Ranjish.com has lots of Urdu Ada Jafri Poetry. Feel free to add your own Ada Jafri Shayari here.

Ada Jafri Collection

Ada Jafri Ada Jafri
1924-2015

Ada Jafri is known as one of the best female poets of Pakistan. Ada Jafri was born in 1924 in Karachi. If you are looking for her poetry then Ranjish.com is the ultimate place to read and enjoy Ada Jafri poetry.



Yeh fakhar to haasil hai buray hain ke bhalay hain..

Ada Jafri

Yeh fakhar to haasil hai buray hain ke bhalay hain,
Do chaar qadam hum bhi tere saath chale hain..



Gulon si guftguu karen qayaamton ke darmiyaan..

Ada Jafri

Gulon si guftguu karen qayaamton ke darmiyaan,
Hum aese log ab milen hikaayaton ke darmiyaan,

Lahuu-lahaan ungliyaan hain aur chup kharri hun main,
Gul o samaan ki bepanaah chaahton ke darmiyaan,

Hatheliyon ki ott hi chiraagh le chalun abhi,
Abhi sehar ka zikr hai riwaayaton ke darmiyaan,

Jo dil mei thi nigaah si nigaah mei kiran si thi,
Woh daastaan ulajh gayi wazaahton ke darmiyaan,

Sahiifa-e-hayaat mei jahan jahan likhi gayii,
Likhi gayii hadees-e-jaan jaraahton ke darmiyaan,

Koi nagar koi galii shajjar ki chaaon hi sahi,
Yeh zindagi na katt sake musaafaton ke darmiyaan,

Ab uss ke haal-o-hadh ka rang mujh se puuchna abass,
Nigaah jhappak jhappak gayi iraadaton ke darmiyaan,

Sabaa ka hath thaam kar “adaa” na chal sako gi tum,
Tamaam umr khawb khaawb saa.aaton ke darmiyaan..



Ghar ka rasta bhi milaa tha shayed..

Ada Jafri

Ghar ka rasta bhi milaa tha shayed,
Raah me sang-e-wafaa tha shayed,

Is qadar taiz hawa ke jhonke,
Shaakh pr phool khila tha shayed,

Jis ki baaton ke fasaane likhe,
Us ne to kuch na kaha tha shayed,

Log be-mehr na hote honge,
Veham sa dil ko hua tha shayed,

Tujh ko bhoole to dua tak bhoole,
Aur wohi waqt-e-duaa tha shayed,

Khoon-e-dil mei to duboya tha qalam,
Aur phir kuch na likha tha shayed,

Dil ka jo rang hai yeh rang-e-adaa,
Pehle ankhon mei rachaa tha shayed..



Deep tha ya taara kyaa jaane..

Ada Jafri

Deep tha ya taara kyaa jaane,
Dil mei kyun duuba kya jaane,

Gul pr kya kuch beet gayi hai,
Albela jhonkaa kyaa jaane,

Aas ki mailii chaadar orrhe,
Woh bhi tha mujh sa kya jaane,

Reet bhi apni ruut bhi apnii,
Dil rasm e duniya kyaa jaane,

Ungli thaam ke chalne wala,
Nagrii kaa raasta kya jaane,

Kitne morr abhi baaqi hain,
Tum jaano saya kya jaane,

Kaun khilona tuut geya hai,
Baalak beparwah kyaa jaane,

Mamta ott dehekte suuraj,
Aankhon ka taara kya jaane..



Dil ki chubhan ab bhi wohi hai..

Ada Jafri

Badle to nahin hain woh dil-o-jaan ke qarinay,
Ankhon ki jalan, Dil ki chubhan ab bhi wohi hai..



Dil ki viraniyan jatane ko

Ada Jafri

akhiri Tis azamane ko
ji to chaha tha muskurane ko

yad itni bhi sakht jan to nahin
ik gharaunda raha hai dahane ko

sangrezon main dhal gaye ansu
log hansate rahe dikhane ko

zaKhm-e-nagma bhi lau to deta hai
ik diya rah gaya jalane ko

jalane vale to jal bujhe akhir
kaun deta Khabar zamane ko

kitne majbur ho gaye honge
ankahi bat munh pe lane ko

khul ke hansana to sab ko ata hai
log tarasate rahe ik bahane ko

reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraniyan jatane ko

hasraton ki panahgahon main
kya thikane hain sar chhupane ko

hath kanTon se kar liye zakhmi
phul balon main ik sajane ko

as ki bat ho ki sans ?Ada?
ye Khilaune hain tuT jane ko


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ada Jafri.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari