Ahmad Bashir Tahir

Ranjish.com has lots of Urdu Ahmad Bashir Tahir Poetry. Feel free to add your own Ahmad Bashir Tahir Shayari here.

Ahmad Bashir Tahir Collection



Mohabbat woh kahani hai..

Ahmad Bashir Tahir

Mohabbat woh kahani hai,
Jis ki ibtida se hi humen maloom hota hai,
Ke us ki inteha kya hai,
Magar hum phir bhi sunte hain,

Humen maloom hota hai,
Ke kis kirdaar ne kis moRR pr kya chaal chalni hai,
Humen maloom hota hai,
Ke kin rahon pe kis ko surat-e-gard-e-safar ho kar,
Safar ki inteha tak humsafar ke sath rehna hai,

Humen maloom hota hai,
Ke kis kirdaar ko ik roz yeh bhi kehna hai,
Ke koi bewafa hoga to akhir kis liye hoga,
Koi tujh se juda hoga to akhir kis liye hoga,
Humen maloom hota hai,
Ke kis ne aik din kya keh ke kis ko choRR dena hai,
Mohabbat main kiya har aik vada toRR dena hai,
Humen maloom hota hai,

Humen yeh bhi khabar hoti hai ke
Is qissa-e-benaam ke kirdaar kya kya hain,
Haqeeqat ya fareb-e-zindagi,
Aasaar kya kya hain,
Humen maloom hota hai,

Mohabbat ki kahani main,
Woh kya kirdaar hai jo dar-haqeeqat hum hi hote hain,
Woh kya kirdaar hai jo dar-haqeeqat koi aesa shakhss hota hai,
Jise hum jante to hain magar benaam hota hai,
Humen maloom hota hai,
Ke kis kirdaar ka kya anjaam hona hai,
Mohabbat woh kahani hai,
Ke jis ki ibtidaa se hi humen maloom hota hai,
Ke is ki inteha kya hai,
Magar hum phir bhi sunte hain..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahmad Bashir Tahir.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari