Ahmad Faraz

Ranjish.com has lots of Urdu Ahmad Faraz Poetry. Feel free to add your own Ahmad Faraz Shayari here.

Ahmad Faraz Collection

ahmad faraz poetry Ahmad Faraz
1950-2008

Ahmad Faraz is one of the best poets Pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots of Ahmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetry of ahmad faraz.
His real name was Syed Ahmed Shah but he chose to use “Faraz” as his pen name. Faraz was awarded several awards like Hilal-e-Imtiaz, Sitara-i-Imtiaz and Hilal-e-Pakistan. If you are looking for Ahmed Faraz Poetry then Ranjish.com is the ultimate place for your literary cravings.



Hui hai shaam to ankhon main bass geya phir tu..

Ahmad Faraz

Hui hai sham

Hui hai shaam to ankhon main bass geya phir tu,
Kahaan geya hai mere sheher ke musaafir tu..



Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata..

Ahmad Faraz

ahmad faraz poetry

Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata,
Woh shakhss koi faisla kar bhi nahin jata,

Ankhen hain ke khaali nahin rehti hain lahuu se,
Aur zakham-e-judai hai ke bhar bhi nahin jata,

Woh rahat-e-jaan hain magar is darbadri main,
Aesa hai ke ab dheyaan udhar bhi nahin jata,

Hum dohri aziyat ke giraftaar musaafir,
Paaon bhi hain shall shauq-e-safar bhi nahin jata,

Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bohat hai,
Aur tujh se bicharr jaane ka ddar bhi nahin jata,

Pagal huye jaate ho ‘faraz’ us se mile kya,
Itni si khushi se koi mar bhi nahin jata..



Us ne sukuut-e-shab main bhi apna qayaam rakh diya..

Ahmad Faraz

aur faraz chahiyen kitni mohabten tujhe

Us ne sukuut-e-shab main bhi apna payaam rakh diya,
Hijr ki raat baam pr mah-e-tamaam rakh diya,

Aamad-e-dost ki naveed ku-e-wafaa main aam thi,
Main ne bhi ik charaagh sa dil sar-e-shaam rakh diya,

Shiddat-e-tishnagi main bhi ghairat-e-mai-kashi rahi,
Us ne jo phair li nazar main bhi jaam rakh diya,

Us ne nazar nazar main hi aise bhale sukhan kahe,
Main ne to us ke paaon main sara kalaam rakh diya,

Dekho yeh mere khawab they dekho yeh mere zakham hain,
Main ne to sab hisaab-e-jan bar-sar-e-aam rakh diya,

Ab ke bahaar ne bhi keen aesi sharaarten ke bas,
Kabk-e-dari ki chaal main tera khiraaam rakh diya,

Jo bhi mila usi ka dil halqa ba-gosh-e-yaar tha,
Us ne to saare sheher ko kar ke ghulaam rakh diya,

Aur faraz chahiyen kitni mohabten tujhe,
Maaon ne tere naam pr bachon ka naam rakh diya..



Yeh mohabbat bhi hai kya rog faraz..

Ahmad Faraz

Yeh mohabbat bhi hai kya rog faraz,
Jis ko bhoolen woh sadaa yaad aye..



Uss ki woh jane usay paas-e-wafa tha ke na tha..

Ahmad Faraz

Uss ki woh jane usay paas-e-wafa tha ke na tha,
Tum faraz apni taraf se to nibhaate jaate..

tum faraz apni taraf se



Agarche zor hawaaon ne daal rakha hai..

Ahmad Faraz

Agarche zor hawaaon ne daal rakha hai,
Magar charaagh ne lau ko sambhaal rakha hai,

Mohabton main to milna hai ya ujad jaana,
Mizaaj-e-ishq main kab etidaal rakha hai,

Bhale dinon ka bharosa hi kya rahen na rahe,
So maine rishta-e-gham ko bahaal rakha hai,

Bhari bahaar main ik shaakh pr khilaa hai gulaab,
Ke jaise tu ne hatheli pe gaal rakha hai,

Faraz ishq ki duniya to khuubsurat thi,
Yeh kis ne fitna e hijr o visaal rakha hai..



Dil bhi pagal hai ke uss shakss se wabasta hai..

Ahmad Faraz

dil bhi pagal hai

Har koi dil ki hatheli pe hai sehraa rakhe,
Kis ko sairaab kare kise pyaasa rakhe,

Umar bhar kon nibhaata hai taluq itna,
Aye meri jaan ke dushman tujhe Allah rakhe,

Hum ko acha nahin lagta koi hum-naam tera,
Koi tujh sa ho to naam bhi tujh sa rakhe,

Dil bhi pagal hai ke uss shakss se wabasta hai,
Jo kisi aur ka hone de na apna rakhe,

Hanss na itna bhi faqeeron ke akele pan pr,
Ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanhaa rakhe,

Yeh qanaat hai itaaat hai ke chahat hai Faraz,
Hum to raazi hain woh jis haal main jesa rakhe..



Aur faraz chahiyen kitni mohabbten tujh ko..

Ahmad Faraz

Aur faraz chahiyen kitni mohabbten tujh ko,
Maaon ne tere naam pr bachon ka naam rakh diya..



Ab is shauq se ke jaan se guzar jana chahiye..

Ahmad Faraz

Ab is shauq se ke jaan se guzar jana chahiye,
Bol ae havaa-e-sheher kidhar jana chahiye,

Kab tak isi ko aakhri manzil kahen ge hum,
Kuu-e-muraad se bhi udhar jana chahiye,

Woh waqt aa geya hai ke saahil ko chorr kar,
Gehre samundron main utar jana chahiye,

Ab raftagaan ki baat nahin kaarvaan ki hai,
Jiss samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye,

Ya apni khawhishon ko muqaddass na jaante,
Ya khawhishon ke saath hi mar jaana chahiye..



Yeh kya ke sab se beyaan dil ki haalaten karni..

Ahmad Faraz

faraz tujh ko na ayi mohabten karni

Yeh kya ke sab se beyaan dil ki haalaten karni,
Faraz tujh ko na aayin muhabbaten karni,

Yeh qurb kya hai ke tu saamne hai aur humen,
Shumaar abhi se judaayi ki saaaten karni,

Koi khudaa ho ke pathar jise bhi hum chahen,
Tamaam umr ussi ki ibaadaten karni,

Sab apne apne qareene se muntazir us ke,
Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karni,

Hum apne dil se hi majboor aur logon ko,
Zara si baat pe barpaa qayamaten karni,

Milen jab un se to mubham si guftaguu karna,
Phir apne aap se sau sau vazaahten karni,

Yeh log kaise magar dushmani nibhaate hain,
Humen to raas na aayin mohabbaten karni,

Kabhi ‘faraz’ naye mausmon me ro dena,
Kabhi talaash puraani rafaaqten karni..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahmad Faraz.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari