Ahmad Faraz

Ranjish.com has lots of Urdu Ahmad Faraz Poetry. Feel free to add your own Ahmad Faraz Shayari here.

Ahmad Faraz Collection

ahmad faraz poetry Ahmad Faraz
1950-2008

Ahmad Faraz is one of the best poets Pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots of Ahmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetry of ahmad faraz.
His real name was Syed Ahmed Shah but he chose to use “Faraz” as his pen name. Faraz was awarded several awards like Hilal-e-Imtiaz, Sitara-i-Imtiaz and Hilal-e-Pakistan. If you are looking for Ahmed Faraz Poetry then Ranjish.com is the ultimate place for your literary cravings.



Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga

Ahmad Faraz

Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga

Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni
TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga

Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge
Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga

Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala
Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga

Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun
Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga

Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz”
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga



Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein

Ahmad Faraz

Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein
Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein ?

TU Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar
Ham Bhee Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein

Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karain
Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein

Ab Ke Gar TU Milay Tou Ham Tujhse
Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein

Bandagi Ham Ne Chhod Di Hai “Faraz”
Kia Karain Jub Loog Khuda Ho Jayein



Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge

Ahmad Faraz

Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge
Loog Aaraam Se Soye Honge

Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil
Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge

Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia
Phool Kaanton Mein Piroye Honge

Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge

Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon “Faraz”
Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge



Umar bhar ka maan toota, aur kya..

Ahmad Faraz

Umar bhar ka maan toota, aur kya,
Morr aya, sath choota, aur kya,

Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon,
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya,

Jaan se jaana zaroori to nahin,
Aashiqui mein sar to phoota, aur kya,

Rote huye laal pathar ho gaye,
Rafta rafta rang choota, aur kya,

Reh gaya tha yaad ka rishta faqat,
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,

Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti’n,
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya,

Ghair to they ghair apne aap ko,
Sab se barh kar hum ne loota, aur kya,

aao dekho to zara baagh-e-wafaa,
Ab koi gul hai na boota, aur kya,

Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz,
Apna dil ho ya kahuta, aur kya..



Teri Baatein Hi Sunaane Aaye

Ahmad Faraz

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye

Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye

Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Ham Tujhe Haal Sunaane Aaye

Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?

Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham
Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye

Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye

Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii
Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?

So Raho Maut Ke Pehluu Mein ‘Faraz’
Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye

Watch Video



Apni mehroomi ke ehsaas se sharminda hain

Ahmad Faraz

Apni mehroomi ke ehsaas se sharminda hain,
Khud nahin rakhte to auron ke bujhate hain chiragh..



Dil-e-Khush Fehem Ko Tujh Se Hain Umeedain

Ahmad Faraz

Ab Tak Dil-e-Khush Fehem Ko Tujh Se Hain Umeedain,
Yeh Aaakhri Shamaa Bhi Bhujaane Ke Liye Aa..

(shamaa;light)



Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwaabon mein milain..

Ahmad Faraz

Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwaabon mein milain
Jis tarah sukhe huye phool kitabon mein milain

Dhoond ujre huye logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milain

Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha bardhta hai sharabein jo sharabon mein milain

Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain tou kyun hijabon mein milain

Aaj hum daar pe khainchay gaye jin baaton par
Kya ajab kal wo zamaanay ko nisaabon mein milain

Ab na wo main , na woh tu hai, na wo maazi hai “Faraz”
Jaise do shakhs tamannaa ke saraabon mein milain..



Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai

Ahmad Faraz

Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Kiya Baad-e-Muraad Chal Rahi Hai,

Hum Hain Ke Faraib Kha Rahe Hain
Duniya Hai Ke Chaal Chal Rahi Hai,

Yoon Dil Mein Hai Teri Yaad Jaise
Weerane Mein Aag Jal Rahi Hai,

Rukh Pher Liya Hai Jab Se Tune
Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai,

Dar Pesh Hai Aaj Bhi Wohi Surat-e-Haal
Jo Soorat-e-Haal Kal Rahi Hai,

Itni Bhi “Faraz” Bad Dili Kiya ?
Sambhlo ! Ke Fizaa Badal Rahi Hai



Raatain Hain Udaas, Din Karry hain..

Ahmad Faraz

Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
Ay Dil Tere Honslay Baray Hain

Ay Yaad-e-Habib Sath Daina
Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain

Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay
Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain

Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya
Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain

Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye
Ghar Se Tou “FARAZ” Nikal Paray Hain


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahmad Faraz.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari