Ahmad Nadeem Qasmi

Ranjish.com has lots of Urdu Ahmad Nadeem Qasmi Poetry. Feel free to add your own Ahmad Nadeem Qasmi Shayari here.

Ahmad Nadeem Qasmi Collection

Ahmad Nadeem Qasmi Ahmad Nadeem Qasmi

Ahmad Nadeem Qasmi was a well known Pakistani poet and jounalist. He wrote almost 50 books on topics like poetry and fiction.
His real name was Ahmad Shah Awan but chose to use “Ahmad Nadeem Qasmi” as his pen name (takhallus). He was born in Angah and died in Lahore, Pakistan.

His bibliography includes three poetry books and several short stories. Here is a complete list ;

Poetry Books :

Short Stories :



Andheri raat ko woh mojze dikhayen ge hum..

Ahmad Nadeem Qasmi

Andheri raat ko woh mojze dikhayen ge hum,
Charaagh ghar na jala apna dil jalayen ge hum,

Hamari koh-kani ke hain mukhtlif mayar,
PahaRR kaat ke raste naye banayen ge hum,

Jo dil dukha hai to yeh azam bhi mila hai humen,
Tamaam umar kisi ka na dil dukhayen ge hum,

Agar hai maut main kuch lutf to bas itna hai,
Ke is ke baad khuda ka suraagh payen ge hum,

Humen to qabar bhi tanha na kar sake gi nadeem,
Ke har taraf se zameen ko qareeb payen ge hum..



Lab-e-khamosh se ifsha hoga..

Ahmad Nadeem Qasmi

Labb-e-khamosh se ifsha hoga,
Raaz har rang main ruswaa hoga,

Dil ke sehraa main chali sard havaa,
Abr gulzar pe barsa hoga,

Tum nahin the to sar-e-baam-e-khayal,
Yaad ka koi sitara hoga,

Kis tawaqoh pe kisi ko dekhen,
Koi tum se bhi haseen kya hoga,

Zeenat-e-halqa-e-aghosh bano,
Door betho ge to charcha hoga,

Jis bhi fankaar ka shahkar ho tum,
Us ne sadiyon tumhe socha hoga,

Aaj ki raat bhi tanha hi kaTTi,
Aaj ke din bhi andhera hoga,

Kis qadar karb se chaTtki hai kali,
Shaakh se gul koi toota hoga,

Umar bhar roye faqat is din,
Raat bheegi to ujala hoga,

Saari duniya hamen pehchanti hai,
Koi ham se bhi na tanha hoga..

لب_خاموش سے افشا ہوگا - احمد ندیم قاسمی



Jo log dushman-e-jan thay wohi saharay thay..

Ahmad Nadeem Qasmi

Khuda kare ke teri umar main gine jayen

Jo log dushman-e-jan thay wohi sahare thay,
Munaafe thay mohabbat main khasaare thay,

Huzur-e-shah bas itna hi arz karna hai,
Jo ikhtiyar tumhare thay, haq hamare thay,

Yeh aur baat baharen gurez-pa niklin,
Gulon ke hum ne to sadqe bohat utaare thay,

Khuda kare ke teri umar main gine jayen,
Woh din jo hum ne tere hijr main guzare thay,

Ab izn ho to teri zulf main piro dein phool,
Ke asmaan ke sitaare to isti-yare thay,

Qareeb aaye to har gul tha khana-e-zambur,
Nadeem duur ke manzar to pyare pyare thay..

جو لوگ دشمن_جاں تھے وہی سہارے تھے - احمد ندیم قاسمی



Jab tera hukm mila tark mohabbat kar di..

Ahmad Nadeem Qasmi

jab tera hukm mila

Jab tera hukm mila tark mohabbat kar di,
Dil magar is pe woh dharrkaa ke qayamat kar di,

Tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta,
Lafz soojha to maani ne baghawat kar di,

Main to samjha tha ke laut aate hain jane wale,
Tu ne ja kar to judayi meri qismat kar di,

Mujh ko dushman ke iraadon pe bhi pyar ata hai,
Teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di,

Pooch betha hoon main tujh se tere kuchay ka pata,
Tere halaat ne kesi teri surat kar di,

Kya tera jism tere husn ki hiddat main mubtlaa,
Raakh kis ne tere sonay ki si rangat kar di..



Zindagi ke jitne darwaaze hain..

Ahmad Nadeem Qasmi

Zindagi ke jitne darwaaze hain
Sab mujh pe band hain,
Dekhna hadh-e-nazar se aage barrh kar
Dekhna bhi jurm hai,
Aasman-darr-aasmaan asraar ki parten hattaa kar
Jhaankna bhi jurm hai,
Kyun bhi kehna jurm hai,
Kaise bhi kehna jurm hai,
Saans lene ki to aazadi mayassar hai magar,
Zinda rehne ke liye insan ko kuch aur bhi darkaar hai,
Aur is kuch aur bhi ka tazkraa bhi jurm hai,
Ae khudaavandaan -e-aevaan-o-aqaayed,
Ae hunar-mandaan -e-aayin-o-siyaasat,
Zindagi ke naam par bas ek inaayat chahiye,
Mujh ko in saare jaraayem ki ijazat chahiye.

Watch Video



Ik umar se fareb-e-safar kha rahe hain hum..

Ahmad Nadeem Qasmi

ik umar se fareb-e-safar kha rahe hain
Ik umar se fareb-e-safar kha rahe hain hum,
Maloom hi nahin ke kahan ja rahe hain hum..



Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya..

Ahmad Nadeem Qasmi

Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya,
Dil tujhe dekh ke dharrka to khudaa yaad aaya,

Mere dil pe to hai ab tak tere gham ka saaya,
Log kehte hain neya daur naye dukh laya,

Mera meyaar-e-wafaa hi meri majboori hai,
Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paya,

Charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata,
Kis ne insaan ko tabasum ke liye tarrpaya,

Log hanstey hain to is soch main kho jata hon,
Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya,

Uss ke andar koi fankaar chupaa betha hai,
Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya..



Aayina dekh ke, Aik aur tamasha dekho..

Ahmad Nadeem Qasmi

Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho,
Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho,

Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami,
Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho,

Meri peyas’on, meri aaso’n, meri ankhon mein kabhi,
Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho,

Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi,
Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho,

Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi,
Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho,

Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar,
Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho..



Jo buraayi mere naam se mansoob huyi..

Ahmad Nadeem Qasmi

Jo buraayi mere naam se mansoob huyi,
Dosto! kitna bura tha mera acha hona..



Waqt ik pal ko jo ruk jaye to ehsaan is ka

Ahmad Nadeem Qasmi

Waqt ik pal ko jo ruk jaye to ehsaan is ka,
Chand yaadain mere dil mein se guzarna chahain..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahmad Nadeem Qasmi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari