Akhlaq Mohammad Khan Shahryar

Ranjish.com has lots of Urdu Akhlaq Mohammad Khan Shahryar Poetry. Feel free to add your own Akhlaq Mohammad Khan Shahryar Shayari here.

Akhlaq Mohammad Khan Shahryar Collection

Akhlaq Mohammad Khan Shahryar Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
1936-2012

Akhlaq Mohammad Khan was also known as Shahryar. He was an educator, poet and a lyricist from Aligarh, India.
Find beautiful poetry by Shahryar at Ranjish.com



Yeh kya jagah hai dosto yeh kon sa dayaar hai..

Akhlaq Mohammad Khan Shahryar

Yeh kya jagah hai dosto yeh kon sa dayaar hai,
Hadh-e-nigaah tak jahaan ghubhaar hi ghubaar hai,

Har ek jism ruuh ke azaab se nidhaal hai,
Har ek aankh shabnami har ek dil figaar hai,

Humen to apne dil ki dharrknon pe bhi yaqeen nahin,
Khosha woh log jin ko duusron pe aitbaar hai,

Na jis ka naam hai koi na jis ki shakl hai koi,
Ik aisi shai ka kyun hamen azzal se intizaar hai..



Aahatt jo sunaayi di hai hijr ki shabb ki hai..

Akhlaq Mohammad Khan Shahryar

Aahatt jo sunaayi di hai hijr ki shabb ki hai,
Yeh raaye akelii meri nahin hai sab ki hai,

Sunsaan sarrak sanaatte aur lambe saaye,
Yeh saari fazaa ae dil tere matlab ki hai,

Teri deed se aankhen jee bhar ke sairaab huin,
Kis roz hua tha aisa baat yeh kab ki hai,

Tujhe bhool geya kabhi yaad nahin karta tujh ko,
Jo baat bohat pehle karni thi ab ki hai,

Mere suraj aa, mere jism pe apnaa saaya kar,
Barri tez havaa hai sardii aaj ghazzab ki hai..



Jutujuu jis ki thi uss ko to na paaya hum ne..

Akhlaq Mohammad Khan Shahryar

Jutujuu jis ki thi uss ko to na paaya hum ne,
Iss bahaane se magar dekh li duniyaa hum ne,

Sab ka ehvaal wohi hai jo hamaraa hai aj,
Yeh alag baat ke shikwa kiya tanhaa hum ne,

Khud pashemaan huye na ussay sharminda kiya,
Ishq ki vazaa ko kya khuub nibhaaya hum ne,

Kaun sa qehr ye ankhon pe hua hai naazil,
Ek muddat se koi khawb na dekha hum ne,

Umr bhar sach hi kahaa sach ke sivaa kuch na kaha,
Ajr kya iss ka mile ga yeh na sochaa hum ne..



Ajeeb saaneha mujh pr guzar geya yaar..

Akhlaq Mohammad Khan Shahryar

Ajeeb saaneha mujh pr guzar geya yaaro,
Main apne saaye se kal raat ddar geya yaaro,

Har eik naqssh tamanna ka ho geya dhundlaa,
Har ek zakhm mere dil kaa bhar geya yaaro,

Bhattak rahi thi jo kashti woh gharq -e- aab hui,
Charrha hua tha jo dariyaa utar geya yaaro,

Woh kaun tha woh kahaan ka tha kya hua tha ussey,
Sunaa hai aaj koi shakss mar geya yaaro,

Main jis ko likhne ke armaan mein jiyaa ab tak,
Varq varq woh fasaana bikhar geya yaaro..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Akhlaq Mohammad Khan Shahryar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari