Mirza Hussnain Azam

Ranjish.com has lots of Urdu Mirza Hussnain Azam Poetry. Feel free to add your own Mirza Hussnain Azam Shayari here.

Mirza Hussnain Azam Collection

Mirza Hussnain Azam
1989-

Mirza Hussnain Azam is an upcoming young poet from the city of Jhelum. He has been writing poetry from early years of his life.



Khawabon se haqeqat me ane me bhi dair kitani lagati hai

Mirza Hussnain Azam

Khawabon se haqeqat me ane me bhi dair kitani lagati hai
Kisi ko apna bana k chor daine me bhi dair kitni lagati hai

Ye hamara zabat hai k hum chopa laite hain anso
Warna barish ko barasne me bhi dair kitani lagati hai

Nafraton k sukh bhi hum ne khoshi se apna lie
Nafrat ko mohabbat me badalne me bhi dair kitani lagati hai

Abb to aa jao k kahen mar na jae bin tere
Jisam se rooh nikalne me bhi dair kitani lagai hai

Ye hamari olfat thi k kabhi socha na kisi aur ko
Kisi aur ka hath thamane me bhi dair kitani lagati hai

Wo jhote kise jo sunae the to ne doston ko
Afsanawi kahaniyan likhane me bhi dair kitani lagati hai

Dua nahin mangata hon Khoda se tujhe pane ki
Warna Khoda ka hukam pura hone me bhi dair kitni lagati hai

Maan li thi baat tumhari bicharte waqt hum ne
Zid par arr jane me bhi dair kitni lagati hai

Ye bhi acha hoa k sunai na dastan-e-gham hum ne
Warna qeyamat ko barpa hone me bhi dair kitani lagati hai

Tere beghair aik pal bhi sadiyon k mutradif hai
Waqt ki raftaar taiz hone me bhi dair kitni lagati hai

Tujh se bichar k bhi na kie uss dil ne gile
Warna shikawe karne me bhi dair kitni lagati hai

Ye alag bat hai k bholate nahin hain tum ko
Tere jaison ko bholane me bhi dair kitni lagati hai

Teri deed ki pias k lie hi na chora ye ghar
Tabah haal sheher chorane me bhi dair kitani lagati hai

Ye bhi acha hai k tum yaad karti nahin purani batain
Ghalti ka ehsas hone me bhi dair kitni lagati hai

HUSSNAIN gharor na kar apni haseen sorat par
Chand ko garehan lagne me bhi dair kitni lagati hai



Magar tum se

Mirza Hussnain Azam

Yad hai tum ko…
Wo campus ka peer…
Sae me jiss k betha karte the…
Aur ‘’TUM’’ balon me hath pherate
Pocha karti thi…
Kia tum mera sath umer bhar nibhao ge???
Kia tanhaiyon k sehra me choor to nahin jao ge???
Kia mere lie zamane se takra jao ge?
Aur phir…
Wohi howa na…
Takara gea na…
Zamane se nahin…
‘’Magar tum se’’
Han……
‘’Magar tum se’’



Teri yadon k sahare aik aur saal beet gea

Mirza Hussnain Azam

Teri yadon k sahare aik aur saal beet gea
Teri nafraton k sahare aik aur saal beet gea

Wo din jab pass hoa karte the hum kabhi
Unhi dinon ko soch kar hi aik aur saal beet gea

Suni thi to ne jo kabhi ghairon ki batain
Wo sach thi ya jhoot ,isi kashmakash me hi aik aur saal beet gea

Kia kya uss baras tujh se mohabbat k siwa
Iss be basi ko sochate hi aik aur saal beet gea

Tere dil me kia mokam tha mera?
Wohi oqat sochate hi aik aur saal beet gea

Para hai jo meri kitab main wo akhari khat
Onhi ilfaz ko parhate hi aik aur saal beet gea

Jo karti thi mujh se mohabbat ya majboor thi ana k hathon
Inhi majboriyon ko sochate hi aik aur saal beet gea

Hoi thi akhari molaqat ,college k peer k niche
Usi moatabar peer k niche hi aik aur saal beet gea

Iss saal bahot zakham khae hain doston se
Inhi zakhmon ko daikhate hi aik aur saal beet gea



Tum kon ho?

Mirza Hussnain Azam

Tum kon ho?
Tum se mera rishta kia hai?
Tum meri akhir lagti kia ho?
Ye kaisa rishta hai?
Kia bat hai iss me…
Jo nahin hai kisi bhi rishte me?
Jis k yaad ane par…
Lagati hai apni zaat bhi adhori si
Jis k yaad ane par…
Lagati hai ye dunia bhi be maini se
Akhir tum kon ho?
Meri ragon me otar gai kion?
Meri ankhon me sama gai kion?
Meri Duaon me bus gai kion?
Akhir tum ho kon???



Mujhe milne ai wo akhari bar

Mirza Hussnain Azam

Mujhe milne ai wo akhari bar
Ashkon ki barish hoi akhari bar

Uss din bhi ai wo bari dair se
Mene kia us ka intazar akhari bar

Pagalon ki tarah wo daikhati rahi idher odher
Ana ki hadain jo toren thin akhari bar

Dar dar k apne ansaon se HUSSNAIN
Kitab-e-mazi ko khola ajj akhari bar



Chaheyen humen,onhain hum nahin chaheyen

Mirza Hussnain Azam

Chaheyen humen,onhain hum nahin chaheyen
Jise hum chaheyen, bhala wo kise chaheye



Patharon ki tabiaton me khod ko parakhane wale

Mirza Hussnain Azam

Patharon ki tabiaton me khod ko parakhane wale
Patharon k shehar me dil laga k kia karna

Nikal ae baton baton me agar mera tazkara
Khataen chopa kar meri sifat beyan karna

Tujhe chahne walon ki jo fehrisit likhane betho
To halka sa naam hamara bhi shumaar karna

Jane se pehle bus yahi bat yad rakhana
Jab bhi dil lagao to mohabbat lazawal karna

Tham lo kisi aur ka hath bhi lakin
Zindagani apni bus hamare hi naam karna

HUSSNAIN chahe cheen lain log tum se tumhara piar
Bus Khoda ki zaat par hi bharosa karna



Use kehna

Mirza Hussnain Azam

Use kehna…
Uss piar me…
Dil ka dard…
Zuban tak nahin ata…
Kion k…
Piar do tarfa ho sakta hai…
Lakin …
Dard nahin…



Chalo k phir se zindagi abad kare

Mirza Hussnain Azam

Chalo k phir se zindagi abad kare
Ojhare hoe gulshan ko phir se abad kare

Tarikhiyan jo nazar ati hain har char so
Mata k inhain phir zindagi abad kare

Dehshat ki dori se jo bandh dia hum ko
Toor kar usi ko nea jivan abad kare

Tail laga kar jiss ko jalaea hai aghyar ne
Ao k usi ko bojha kar mulak abad kare

Zakhmon se chor insaniyat ko jalaea hum ne
Ban k marham inhi ka des abad kare

HUSSNAIN jo chopa rakhi thi to ne mohabbat laho me
Nichawar kar k apnon par nea PAKISTAN abad kare



Yad ai teri ajj barson k bad

Mirza Hussnain Azam

Yad ai teri ajj barson k bad
Chalak pare ansu ajj barson k bad

Tere ansaon se begha hoa wo akhari khat
Parh k ro dia ajj barson k bad

Bazahir jo shakhs pathar nizar aea karta tha
Kanch ki mand bikhar gea ajj barson k bad

Bichare hoe yaron ne othai ongali mujh par
Roswa hoa mehfil me ajj barson k bad

Ae Khoda ! iss waqt ko thora sa qaleel kar de
Mere pass wo baitha ajj barson k bad

Meri halat daikh kar asman bhi ro parha
Badal toot kar barsa ajj barson k bad

Wo jo kehti thi ,hazaron milte hain roz tere jaise
Uss k hathon par mehndi lagi ajj barson k bad

Tote hoe khelone jab daikhe to
Yad aa gea wo bachpan ajj barson k bad

Daikha jab kisi k chehre par haya ka parda
Yad aa gai teri sorat ajj barson k bad

Laila-o-majnu, heer-o-ranjha, na kaam rahi in ki qismat
HUSSNAIN likhi jae gi teri dastan ajj barson k bad


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mirza Hussnain Azam.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari