Mirza Hussnain Azam

Ranjish.com has lots of Urdu Mirza Hussnain Azam Poetry. Feel free to add your own Mirza Hussnain Azam Shayari here.

Mirza Hussnain Azam Collection

Mirza Hussnain Azam
1989-

Mirza Hussnain Azam is an upcoming young poet from the city of Jhelum. He has been writing poetry from early years of his life.



Use kehna

Mirza Hussnain Azam

Use kehna…..
Ye barish ki bondhen …..
Ye taiz hawa ka jhonka…..
Ye khoshgawar mosam……
Ye thar tharati hawaen bijliyan…..
Ye dil ko lajhate hoe barish k annsoo…..
Ye shokh si chanchal si hawaen……
Ye betab karti hoi barish ki khamosh dharkan……
Ye jisam me samota hoa barish ka lamas……
Ye barish me lipti hoi teri yadon ki khoshboo…..
Ye barish me chopa hoa tera takheel…….
Ye barish k qatroon me dhake hoe mere annsoo
Mujhe tere hone ka ehsas dilate hain…..
Use kehna….
Mujhe tere hone ka ehsas dilate hain



Beeti huyi ruton mein kho sa gaya hoon

Mirza Hussnain Azam

Beeti huyi ruton mein kho sa gaya hoon,
Chale aao ke teri yaad mein mar sa gaya hoon,

Teri kalaam karti ankhen, Tera muskurata chehra,
Un ki deed ko ab mein taras sa gaya hoon,

Woh aik pal ka milna dushwaar kar gaya mujhko,
Ke bagher ab tere mein toot sa gaya hoon,

Tere bicharne ki duhaayi doon ya bhula doon tujhko,
Tujhe yaad karte karte ab thak sa gaya hoon..



Tere Sang bitaya hua har lamha yaad ata hai mujhko

Mirza Hussnain Azam

Tere Sang bitaya hua har lamha yaad ata hai mujhko,
Chale aao ke yeh hijr ki raatain bohat rulaati hain mujhko,

Tere aashiyane ko jaana, hum bhala kese aajaye,
Tere sheher ke log bohat satate hain mujhko,

Tu chahe kitna hi chupaa le, Mein phir bhi janta hoon,
Teri soch har mehwar yaad karta hai mujhko,

Khud mein jhaankta hoon tou yeh khayal ata hai,
Bin tere jeena bhi muhaal lagta hai mujhko,

Mein andheron ki nagri ka kamzor sa musafir,
Ab ujaalon ki musaaftain kahan raas ati hain mujhko,

Tere deed ki pyaas hi ab taskeen deti hai,
Teri miti huyi arzuyain hi chain deti hain mujhko,

Ae Husnain tamasha dekhne wale koi kam tou na they,
Ruswayiyon ke soghaat diye tere apnon ne mujhko..



Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum..

Mirza Hussnain Azam

Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum,
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum,

Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko,
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum,

Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai,
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum,

Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko,
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum,

“Hasnain” Abhi to waqt un ka hai, rula ley jee bhar ke,
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum



Kisi ke kandhey se jo dupatta sirakte dekha

Mirza Hussnain Azam

Kisi ke kandhey se jo dupatta sirakte dekha,
Yoon laga jese baadal baraste dekha,

Mehsoos huyi mohabbat ki takat ab,
Apni ankhon se tufaan murrte dekha,

Maanti thi mantain mere liye jo Khuda se,
Usey kisi aur ko chahte huye dekha,

Jo ubhar gaye they tere door jane se,
Tere aney per woh zakham bharte huye dekha,

Nahin thi tu tou pass kuch bhi nahin tha,
Tujh se milne par naseeb khulte huye dekha,

Hussnain zameen par tarapti huyi machli ki tarah,
Khud ko tere bin machalte dekha…



Dil ko magar pehla sa qaraar bhi nahi

Mirza Hussnain Azam

Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi
Dil ko magar pehla sa qarar bhi nahi

Talaash kar rehzano ke beech gham khawaro ko
Tere shehar ke sabhi loag adakaar bhi nahi

Haatho se apnay hi ghont dia ghala mohabbat ka
Bharay shehar mai hum sa koi Nadaar bhi nahi

Badal gya bichar kar, yun khad-o-haal tera
Chehray par ab tere wo Gull-Azaar bhi nahi

Kaha tha tum ne ke bhula de gaye ab uss ko
Aye dil-e-nadan tujh sa Ghadaar bhi nahi

Na nikaal mujhe apnay dil se Malazmo ki tarha
Mere pass to aur koi Rozgaar bhi nahi

” Hasnain ” Barsoo ke baad mila to yu laga mujh ko
Darmyan hamaray ab Ana’a ki deewar bhi nahi



Na janey kyon aaj bhi yeh ehsaas hota hai..

Mirza Hussnain Azam

Na janey kyon aaj bhi yeh ehsaas hota hai,
Tu saath nahin, phir bhi paas hota hai,

Jo dil-e-sheher aik baar barbaar ho jaye,
Mudatton baad woh phir se abaad hota hai,

Kabhi yoon bhi hota hai ke jise apna samjha jaye,
Waqt aaney per woh shakhs hi paraya hota hai,

Tu chala jata hai jab bhi chorr kar mujhe,
Dil ke koney ke, Tu kahin paas hota hai,

Pagal ko samajhne ke liye zarourat nahin hain hawalon ki,
Bass ek lafz “Mohabbat” hi kaafi hota hai,

Aankhon se behte huye samandar ko paani na samaj,
Yaad karte huye tujhe, Meri ankhon mein lahuu hota hai,

Lot’te nahin hain dobara jo ek baar chale jate hain,
Magar phir bhi duayon ki umeed mein tu hi aas hota hai,

Tere siwaa mere kaano ko koi sadaa pasand nahin ati,
Bas ek tu hi meri dharkan ki awaz hota hai,

Bhattak jata hoon mein jab bhi ghamon ke saye mein,
Dilaasey ke liye mere pass teri yaad ka jugnu hota hai,

Hamare naseeb mein kahan hai tujse milna,
Hamare liye to khawb ka jahan hi haqeeqat hota hai,

Raat kitni hi taweeel kyon na ho jaye Hussnain,
Aik na aik din zaroor sawera hota hai…



Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se..

Mirza Hussnain Azam

Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se,
Beeti sadayen rakss karti hain tere ashiyane se,

Karta hon yaad mein tujhe jab bhi,
Ik aaah si uthti hai mere seeney mein,

Puchte hain log mujhse be-basi ka sabab,
Kehta hon ke dil lagaya tha ek pathar se,

Mar kar bhi na bhula paaon ga mein woh lamhe,
Khelta tha mein jab bhi teri naachti zulfon se,

Rehta hai ik bacha sa mere wajood mein Husnain,
Behelta hai jo teri yaadon ke khilone se..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mirza Hussnain Azam.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari