Ibn-e-Insha

Ranjish.com has lots of Urdu Ibn-e-Insha Poetry. Feel free to add your own Ibn-e-Insha Shayari here.

Ibn-e-Insha Collection

Ibn e Insha Ibn e Insha
1927-1978

Ibn e Insha (ابن انشاء) is well known for his sufi poetry. Ibn e Insha was a super famous pakistani poet who wrote poetry on life and love. We will be adding more and more Ibn e Insha poetry everyday so keep visiting us for more of Ibn e Insha poetry.
His real name was Sher Muhammad Khan. He was also a good humorists. Some of Ibne Insha’s Poetry is thought to be the best ever like “Inshaji uttho ab kooch karo”, “Kal Chaudavi ki raat thi” and “Dil-e-Wehshi”.



Apne hamrah jo aate ho idhar se pehle..

Ibn-e-Insha

Apne hamrah jo aate ho idhar se pehle,
Dasht paRrta hai miyan ishq main ghar se pehle..



Farz karo hum ehl-e-wafa hon..

Ibn-e-Insha

Farz karo hum ehl-e-wafaa hon, farz karo deewane hon,
Farz karo yeh donon baten jhooti hon, afsane hon,

Farz karo yeh jee ki bipta jee se jorr sunayi ho,
Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chupaayi ho,

Farz karo tumhen khush karne ke dhoonde hum ne bahane hon,
Farz kar yeh nain tumhare sachh-much ke mai-khane hon,

Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho,
Farz karo is peet ke rog main saans bhi hum par bhari ho,

Farz karo yeh jog ba-jog ka hum ne dhong rachaya ho,
Farz karo bas yehi haqeeqat, baqi sab kuch maya ho,

Dekh meri jaan keh gaye baahu kaun dilon ki jaane huu,
Basti basti sehraa sehraa lakhon karen deewane huu,

Jogi bhi jo nagar nagar main maare maare phirte hain,
Kaasa liye bhabuut ramaye sab ke dvare phirte hain,

Shayar bhi jo meethi baani bol ke mann ko harte hain,
Banjare jo unche damon jee ke saude karte hain,

In main sache moti bhi hain, in main kankar pathar bhi,
In main uthle paani bhi hain, in main gehre saagar bhi,

Gori dekh ke aage barrhna sab ka jhoota sacha huu,
Doobne wali doob gayi woh gharra tha jis kacha huu..

فرض کرو ہم اہل وفا ہوں، فرض کرو دیوانے ہوں - ابن انشاؔ



Insha ji utho ab kuuch karo..

Ibn-e-Insha

insha ji utho ab kooch karo

Insha ji utho ab koooch karo is sheher main jee ko lagana kya,
Wehshi ko sukoon se kya matlab jogi ka nagar main thikaana kya,

Is dil ke dareeda daaman ko dekho to sahi socho to sahi,
Jis jholli main sau chhaid huye us jholli ka phailaana kya,

Shabb-beeti chaand bhi doob chala zanjeer parri darwaaze main,
Kyun dair gaye ghar aaye ho sajni se karo ge bahaana kya,

Phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yehi ek gharri,
Jo dil main hai labb par aanay do sharmaana kya ghabraana kya,

Us roz jo un ko dekha hai ab khawb ka aalam lagta hai,
Us roz jo un se baat hui woh baat bhi thi afsaana kya,

Us hussn ke sache moti ko hum dekh saken par chhuu na saken,
Jisse dekh saken par chhuu na saken woh daulat kya woh khazaana kya,

Jab sheher ke log na rasta dain kyun ban main na ja bisraam kare,
Deewaanon ki si na baat kare to aur kare deewana kya..

Watch Video



Jab umar ki naqdi hatam huyi..

Ibn-e-Insha

Ab umar ki naqdi khatam huyi
Ab hum ko udhaar ki haajat he
He koi jo saahukaar bane ?
He koi jo deewanhaar bane?
Kuch saal maheene din logo
Per suud beyaj ke bin logo
Haan apni jaan ke khazaane se
Haan umar ke tausha-khane se
Kia koi bhi saahukaar nahin
Kia koi bhi deewanhaar nahin
Jub naam udhaar ka aaya hai
Kiun sub ne sir ko jhukaya hai
Kuch kaam hamain nibtane hain
Jinhain jaan’ne wale jane hain
Kuch piyar dulaar ke dhande hain
Kuch jug ke dooosre phande hain
Hum maangte nahi hazaar barass
Dus paanch barass, do chaar barass
Haan! suud beyaj bhi de lain ge
Haan! aur khiraj bhi de lain ge
Aassan bane dushwar bane
Per koi to deewanhaar bane
Tum kaun tumhara naam he kya
Kuch hum se tum ko kaam he kya
Kyun is majme main aayi ho
Kuch maangti ho kuch laai ho
Ye kaarobaar ki batain hain
Ye naqd udhar ki batain hain
Hum bethe hain kashkol liay
Sub umer ki naqdi khatam kiye
Gr sher ke rishte aayi ho
To samjho jald judai ho
Ab geet gaya sangeet gaya
Haan sher ka mausam beet gaya
Ab patjhar aai paat girain
Kuch subah girain kuch raat girain
Ye apne yaar purane hain
Ik umer se hum ko jane hain
In sub ke paas he maal buhut
Haan! Umer ke mah-o-saal bohat
In sub ko hum ne bulaya hai
Aur jholi ko phelaya hai
Tum jao in se baat karain
Hum tum se na mulaqat kerain
Kya paanch baraas?
Kya apni umer ke paanch baras?
Tum jaan ki theli laai ho ?
Kya pagal ho? Sodayi ho ?
Jub umar ka aakhir aata hai
Her din sadyian ban jata hai
Jeene ki hawis hi nirali hai
He kaun jo is se khali hai
Kya maut se pehle marna hai?
Tum ko to bohat kuch kerna hai ?
Phir tum ho hamari kaun bhala
Haan tum se hamara kia rishta
Kis sood biyaj ka laaluch he
Kisi aur khiraj ka laaluch he
Tum sohni ho man mohni ho
Tum jaaker poori umer jio
Ye paanch baras ye chaar baras
Chhin jayen to lagain hazaar baras
Sab dost gaye sab yaar gaye
The jitne saahukaar gaye
Bus aik ye naari bethi hai
Ye kaun he kya he kesi hai
Haan umer hamain darkaar bhi he
Haan jeene se hamain pyar bhi he
Jub maangain jeevan ki gharrian
Gustaakh akhiyan kithe ja larrian
Hum qarzz tumhain lauta den ge
Kuch aur bhi gharrian laa den ge
Jo saa-at o maah o saal nahi
Wo gharian jin ko zawaal nahi
Lo apne ji main utaar liya
Lo hum ne tum se udhaar liya..

Watch Video



Kal chodhween ki raat thi, shab bhar raha charcha tera..

Ibn-e-Insha

Kal chodhween ki raat thi, shab bhar raha charcha tera,
Kuch ne kaha yeh chaand hai, Kuch ne kaha chehra tera,

Hum bhi wahin mojood they, hum se bhi sab poocha ke yeh,
Hum hanss diye hum chup rahe, manzoor tha parda tera,

Iss sheher mein kis se milen, hum se to choottin mehfilein,
Har shakss tera naam le, har shakss deewana tera,

Bedard! sunte ho to chal, kehta hai kya achi ghazal,
Aashiq tera, ruswaa tera, shaayer tera, Insha tera..

Watch Video



Yeh bacha kesa bacha hai..

Ibn-e-Insha

Yeh bacha kesa bacha hai,
Jo rait pe tanhaa betha hai,

Na is ke paitt main roti hai,
Na is ke tan pe kaprra hai,
Na is ke sar pe topi hai,
Na is ke pair main joota hai,
Na is ke pass khilone hain,
Koi bhaalu hai koi ghorra hai,

Na is ka jee behlaane ko,
Koi lori hai koi jhoola hai,
Na is ki jaib main dhaila hai,
Na is ke hath main paisa hai,
Na is ke ami abu hain,
Na is ki aaya khala hai,

Yeh saare jag main tanha,
Yeh bacha kis ka bacha hai,
Yeh bacha kesa bacha hai..

Watch Video



Hum ko aik jagha araam kahan..

Ibn-e-Insha

Hum jungle ke jogi, hum ko aik jagha araam kahan,
Aaj yahan, kal aur nagar, subah kahan to shaam kahan..



Aaj to hum ko paagal keh lo..

Ibn-e-Insha

Aaj to hum ko paagal keh lo, pathar phenko, tanzz kar lo,
Ishq ki baazi khel naheen hain, khelo ge to haaro ge..

Ibn e Insha



Bhala gardish e Falak falak chain deti hai kisay Ansha !

Ibn-e-Insha

Bhala gardish e Falak falak chain deti hai kisay Ansha !
Ghaneemat hai kah hum soorat yahan do chaar bethay hain



Dil dard ki shiddat se – Darwaza khula rakhna..

Ibn-e-Insha

Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara,
Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara,
Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara,
Darwaza khula rakhna,

Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse,
Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse,
Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse,
Darwaza khula rakhna,

Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai,
Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai,
Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai,
Darwaza khula rakhna,

Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,
Darwaza khula rakhna,

Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna,
Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna,
Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna,
Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ibn-e-Insha.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari