Jan Nisar Akhtar

Ranjish.com has lots of Urdu Jan Nisar Akhtar Poetry. Feel free to add your own Jan Nisar Akhtar Shayari here.

Jan Nisar Akhtar Collection



Ankhen jo uthaye to mohabbat ka gumaan ho..

Jan Nisar Akhtar

Ankhen jo uthaye to mohabbat ka gumaan ho,
Nazron ko jhukaye to shikayat si lage hai..



Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho..

Jan Nisar Akhtar

Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho,
Saaya koi lehraaye to lagta hai ke tum ho,

Jab shaakh koi haath lagaate hi chaman main,
Sharmaaye lachak jaaye to lagta hai ke tum ho,

Sandal si mehkti huyi pur-kaif havaa ka,
Jhonka koi takraaye to lagta hai ke tum ho,

Orrhe huye taaron ki chamakti huyi chaadar,
Nadi koi bal khaaye to lagta hai ke tum ho,

Jab raat gaye koi kiran mere baraabar,
Chup-chaap si so jaye to lagta hai ke tum ho..



Yeh ilm ka sauda yeh risale yeh kitaben..

Jan Nisar Akhtar

Yeh ilm ka sauda yeh risale yeh kitaben,
Ik shakhss ki yadon ko bhulane ke liye hain..



Ashaar mere yuun to zamane ke liye hain..

Jan Nisar Akhtar

ashaar

Ashaar mere yuun to zamane ke liye hain,
Kuch sher faqat un ko sunaane ke liye hain,

Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain,
Kuch dard kaleje se lagane ke liye hain,

Aankhon main jo bhar loge to kaanton se chubhen ge,
Yeh khawb to palkon pe sajaane ke liye hain,

Dekhon tere hathon ko to lagta hai tere haath,
Mandir main faqat deep jalaane ke liye hain,

Yeh ilm ka sauda yeh risaale yeh kitaaben,
Ik shakss ki yaadon ko bhulaane ke liye hain..



Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain..

Jan Nisar Akhtar

Ab yeh bhi nahin theek ke har dard mittaa dain,
Kuch dard kaleje se lagaane ke liye hain..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Jan Nisar Akhtar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari