Jon Elia

Ranjish.com has lots of Urdu Jon Elia Poetry. Feel free to add your own Jon Elia Shayari here.

Jon Elia Collection

Find the best poetry of Jon Elia. Jon Elia or Jaun Elia was a famous male poet from Pakistan. Some say that Jaun was not interested in publishing his poetry until his very last years. The reason behind this is believed to be his idleness for publishing his fathers poetry, which he was very ashamed of and later decided that he will not publish his own poetry too. . We bring you the best poetry of Jon Elia in urdu language. Jon’s poetry books were Shayad, Ya’ani, Gumaan, Lekin, Goya and Famood.
Another belief is that a vast majority of his poetry remained unpublished and was lost during his time of death.

jaun elia Jon Elia
1931-2002

Jon Elia was known to be fluent in Urdu, Arabic, English, Persian and Sanskrit.



Jo dekhta hoon wohi bolne ka aadi hoon..

Jon Elia

Jo dekhta hoon wohi bolne ka aadi hoon,
Main apne shehr ka sab se barra fasaadi hoon..



Kharch chale ga ab mera kis ke hisaab main bhala..

Jon Elia

Kharch chale ga ab mera kis ke hisaab main bhala,
Sab ke liye bohat hoon main apne liye zara nahin..



Humen furqat ka shikwa karne wali..

Jon Elia

Humen furqat ka shikwa karne wali,
Meri mojoodgi main so rahi hai..



Ae subh main ab kahan raha hoon..

Jon Elia

Ae subh main ab kahan raha hoon,
Khawbon hi main sarf ho chuka hoon,

Sab mere bagher mutmayin hain,
Main sab ke bagher jee raha hoon,

Kya hai jo badal gayi hai duniya,
Main bhi to bohat badal geya hoon,

Go apne hazar naam rakh loon,
Pr apne sivaa main aur kya hoon,

Main jurm ka etiraf kar ke,
Kuch aur hai jo chupaa geya hoon,

Main aur faqat usi ki khawhish,
Akhlaq main jhoot bolta hoon,

Ik shakhs jo mujh se waqt le kar,
Aaj aa na saka to khush hua hoon,

Har shaks se be-niyaz ho ja,
Phir sab se yeh keh ke main khuda hoon,

Charke to tujhe diye hain maine,
Par khoon bhi main hi thookta hoon,

Roya hoon to apne doston main,
Pr tujh se to hans ke hi mila hoon,

Ae shakhs main teri justuju se,
Bezaar nahin hoon thak geya hoon,

Main sham o sehar ka naghma-gar tha,
Ab thak ke karahne laga hoon,

Kal pr hi rakho wafa ki baten,
Main aaj bohat bujha hua hoon..

اے صبح میں اب کہاں رہا ہوں - جون ایلیا



Muddaton baad ghar geya tha main..

Jon Elia

Muddaton baad ghar geya tha main,
Jaate hi main wahan se ddar aya..



Saare rishte tabah kar aya..

Jon Elia

Main raha umar bhar juda khud se

Saare rishte tabaah kar aya,
Dill-e-barbaad apne ghar aya,

Akhirash khoon thuukne se mian,
Baat main teri kya assar aya,

Tha khabar main ziyan dill-o-jaan ka,
Har taraf se main bekhabar aya,

Ab yahan hosh main kabhi apne,
Nahin aaon ga main agar aya,

Main raha umar bhar juda khud se,
Yaad main khud ko umar bhar aya,

Woh jo dil naam ka tha ek nafar,
Aaj main us se bhi mukar aya,

Muddaton baad ghar geya tha main,
Jaate hi main wahan se ddar aya..

Saare rishte tabah kar aya - Jon Elia



Kaise kahen ke tujh ko bhi hum se hai vasta koi..

Jon Elia

Kaise kahen ke tujh ko bhi hum se hai vasta koi,
Tu ne to hum se aaj tak koi gilaa nahin kiya,

Jaane teri nahin ke saath kitne hi jabr they ke they,
Main ne tere lihaz main tera kaha nahin kiya,

Mujh ko yeh hosh hi na tha tu mere bazuon main hai,
Yaani tujhe abhi talak maine rihaa nahin kiya,

Tu bhi kisi ke baab main ehd-shikan ho ghaliban,
Maine bhi aik shakss ka qarz adaa nahin kiya,

Haan woh nigah-e-naz bhi ab nahin majra-talab,
Hum ne bhi ab ke fasl main shor barpa nahin kiya..

Kese kahen ke tujh ko bhi hum se hai wasta koi..



Unhe main teri tamanna ka fun sikhata hoon..

Jon Elia

Unhe main teri tamanna ka fun sikhata hoon

Unhe main teri tamanna ka fun sikhata hoon,
Jo log teri tamanna se darne lagte hain..



Be-dili kya yuun hi din guzar jayen ge..

Jon Elia

Kitni dilkash ho tum kitna dil-ju hoon main

Be-dili kya yuun hi din guzar jayen ge,
Sirf zinda rahe hum to mar jaayen ge,

Raqss hai rang par rang hum-raqsss hain,
Sab bicharr jayen ge sab bikhar jayen ge,

Yeh kharabatiyan-e-khirad-bakhta,
Subh hote hi sab kaam pr jaayen ge,

Kitni dilkash ho tum, kitna dill-ju hoon main,
Kya sitam hai ke hum log mar jaayen ge,

Hai ghaneemat ke asrar-e-hasti se hum,
Bekhabar aaye hain, Bekhabar jaayen ge..

Be-dili kya yuun hi din guzar jayen ge



Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne..

Jon Elia

jaun elia poetry

Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne,
Woh kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne,

Tera khayal to hai pr tera wajood nahin,
Tere liye to yeh mehfil sajaayi main ne,

Tere adam ko gavaara na tha wajood mera,
So apni bekh-kanni main kammi na ki main ne,

Hai meri zaat se mansuub sadd-fasaaana-e-ishqq,
Aur ek satar bhi ab tak nahin likhi main ne,

Khud apne ishvaa-o-andaaz ka shahid hoon main,
Khud apni zaat se barti hai be-rukhi main ne,

Mere hareef meri yakka-taziyon pe nisaar,
Tamaam umar haleefon se jangg ki main ne,

Kharashh-e-naghmaa se seena chhila hua hai mera,
Fughaan ki tark na ki naghma-parvari main ne,

Davaa se fayeda maqsuud tha hi kab ke faqat,
Davaa ke shauq main sehat tabaah ki main ne,

Zabaana-zan tha jigarr-sozz tishnagi ka azaab,
So jauf-e-seena mein unddail li main ne,

Suruur-e-maii pe bhi ghalib raha shaoor mera,
Ki har riyayet-e-ghamm zehn main rakhi main ne,

Gham-e-shaoor koi damm to mujh ko mohlat de,
Tamaam umar jalaya hai apna jee main ne,

Ilaaj yeh hai ke majboor kar diya jaaon,
Wagarna yuun to kisi ki nahin suni main ne,

Raha main shahid-e-tanhaaa nashinn-e-masnadd-e-gham,
Aur apne karb-e-anaa se gharazz rakhi main ne..

?????? ?? ?? ???? ??? ????? ??? ??


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Jon Elia.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari