Kaif Bhopali

Ranjish.com has lots of Urdu Kaif Bhopali Poetry. Feel free to add your own Kaif Bhopali Shayari here.

Kaif Bhopali Collection

Kaif Bhopali
1917-1991

Kaif Bhopali was a popular Urdu Poet from Bhopal, India. He is famous for his ghazals and his lyrics used in films. You will be able to find Kaif Bhopali Shayari here at Ranjish.com.



Daagh duniya ne diye zakhm zamane se mile..

Kaif Bhopali

Daagh duniya ne diye zakhm zamane se mile,
Hum ko tohfe yeh tumhe dost banane se mile..



Kon aye ga yahan koi na aaya hoga..

Kaif Bhopali

kaif bhopali poetry

Kon aye ga yahan koi na aaya hoga,
Mera darwaaza hawaaon ne hilaaya hoga,

Dil-e-nadaan na dharrak ae dil-e-nadaan na dharrak,
Koi khhat leke parrosi ke ghar aya hoga,

Is gulistaan ki yehi reet hai ay shaakh-e-gul,
Tu ne jis phool ko paala woh paraaya hoga,

Dil ki qismat hi main likha tha andhera shayed,
Warna masjid ka diyaa kis ne bhujaaya hoga,

Gul se liptti hui titlee ko giraa kar dekho,
Aandhiyo tum ne darakhton ko giraya hoga,

Khelne ke liye bache nikal aye hon ge,
Chaand ab uss ki gali main utar aaya hoga,

‘kaif’ pardes main mat yaad karo apna makaan,
Ab ke barish ne usay torr giraya hoga..

کون آئے گا یہاں کوئی نہ آیا ہوگا - کیفؔ بھوپالی



Daagh duniya ne diye, zakham zamane se mile..

Kaif Bhopali

ik neya zakham mila aik nayi umar mili

Daagh duniya ne diye, zakham zamaane se mile,
Hum ko tohfe yeh tumhe dost banaane se mile,

Hum taraste hi taraste hi taraste hi rahe,
Woh falaane se falaane se falaane se mile,

Khud se mil jaate to chahat ka bharam reh jata,
Kya mile aap jo logon ke milaane se mile,

Maaan ki aghosh main kal maut ki aghosh main aaj,
Hum ko duniya main yeh do waqt suhaane se mile,

Kabhi likhvaane gaye khat kabhi parrhvaane gaye,
Hum haseenon se isi heelay bahaane se mile,

Ik neya zakham mila ek neyi umar mili,
Jab kisi sheher main kuch yaar puraane se mile,

Ek hum hi nahin phirte hain liye qisssa-e-gham,
Un ke khamosh labon par bhi fasaane se mile,

Kaise maanen ke unhe bhool geya tu ae kaif,
Un ke khat aaj humen tere sirhaane se mile..



Dar o dewaar pe shaklain si banane aayi..

Kaif Bhopali

dar o dewar pe shaklen si banane ayi

Dar-o-dewaar pe shaklain si banane aayi,
Phir yeh barish meri tanhayi churaane aayi,

Zindagi baap ki maanind saza deti hai,
Reham-dil maaan ki tarah maut bachaane aayi,

Aaj kal phir dil-e-barbaad ki baaten hain wohi,
Hum to samjhe they ke kuch aqqal thikane ayi,

Dil main aahatt si hui rooh main dastak guunji,
Kis ki khushbuu yeh mere sirhaane aayi,

Mene jab pehle-pehal apna watan chorra tha,
Door tak mujhe ko aik awaaz bulaane aayi,

Teri maanind teri awaaz bhi zaalim nikli,
Jabb bhi aayi hai mera dil hi dukhane ayi..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Kaif Bhopali.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari