Mohsin Naqvi

Ranjish.com has lots of Urdu Mohsin Naqvi Poetry. Feel free to add your own Mohsin Naqvi Shayari here.

Mohsin Naqvi Collection

Mohsin Naqvi
1947-1996

Mohsin Naqvi is our personal favorite poet. Mohsin Naqvi’s Poetry tends to be so relaxing and so soothing to the heart which is inexpressible in words. Mohsin Naqvi was believed to be murdered in 1996. Who on earth would have thought that such kind of legends would get murdered one day.
We have got plenty of Mohsin Naqvi poetry here at Ranjish.com so you can enjoy.



agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon

Mohsin Naqvi

agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon
magar tere baad hausla hai ke jee raha hoon

woh raiza raiza mere badan main utar raha hoon
main qatra qatra usi ki ankhon ko pee raha hoon

teri hatheli pe kis ne likha hai qatal mera
mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hoon

khuli hain ankhen magar badan hai tamaam pathar
koi bataye main mar chuka hoon ke jee raha hoon

kahan mile gi misaal meri sitamgari ki
ke main gulab-on ke zakham kanTon se see raha hoon

na puch mujh se ke sheher walon ka haal kya tha
ke main to khud apne ghar main bhi do ghaRi raha hoon

mila to beete dinon ka sach us ki ankhon main tha
woh ashnaa jis se muddaton ajnabi raha hoon

bhula de mujh ko ke bewafayi bajaa hai lekin
ganwaa na mujh ko ke main teri zindagi raha hoon

woh ajnabi ban ke bhi ab mile to kya hai mohsin
yeh naaz kam hai ke main bhi us ka kabhi raha hoon



Qareeb aa shab-e-tanhai tujh se pyar karen..

Mohsin Naqvi

Qareeb aa shab-e-tanhai tujh se pyar karen,
Tamaam din ki thakan ka ilaaj tu hi sahi..



BhaRrkaen meri pyaas ko aksar teri aankhen..

Mohsin Naqvi

BhaRrkaen meri pyaas ko aksar teri aankhen
Sehraa mera chehra hai samandar teri aankhen

Phir bhala kon unhen daad-e-tabassum de ga
Royen gi bohat mujh se bichar ker teri aankhen

Bojhal nazar aati hain bazahir mujhe lekin
Khulti hain bohat dil main utar ker teri aankhen

Ab tak meri yaadon se mitaye nahi mit-ta
Bheegi hoi ek shaam ka manzar teri aankhen

Mumkin ho tu ik taaza ghazal aur bhi keh loon
Phir oorrh na lain khawb ki chadar teri aankhen

Yoon dekhte rehna usay acha nahi mohsin
Wo kanch ka paikar hai to pathat teri aankhen



Suno aesa nahin karte..

Mohsin Naqvi

Suno aesa nahin karte,
Safar tanha nahin karte,

Jisse shafaaf rakhna ho,
Usse maila nahin karte,

Teri ankhen ijazat dain,
To hum kya nahin karte,

Bohat ujrre huye ghar ko,
Bohat socha nahin karte,

Safar jis ka muqaddar ho,
Usse roka nahin karte,

Jo mil kar khud se kho jaye,
Usse ruswa nahin karte,

Yeh unche paiRr kaise hain,
Yeh saaya nahin karte,

Kabhi hasne se darte hain,
Kabhi roya nahin karte,

Teri ankhon ko paRrhte hain,
Tujhe nahin dekha nahin karte,

Chalo, tum raaz ho apna,
Tumhe afshaa nahin karte,

Sehar se puch lo mohsin,
Hum soya nahin karte..



Gumsum hua awaaz ka dariya tha woh ek shakhs..

Mohsin Naqvi

Gumsum hua awaaz ka dariya tha woh ek shakhss,
Patthar bhi nahi ab woh sitara tha jo ek shakhss,

Shayazed woh bhi koi harf-e wafa dhoondh raha tha,
Chehron ko barre ghaur se parrhta tha woh ek shakhss,

Sehraa ki tarah dair se pyasa tha woh shayad,
Baadal ki tarah toot ke barsa tha woh ek shakhss,

Aye tezz hawaa koi khabar uss ke junoon ki,
Tanha safar-e shauq pe nikla tha jo ek shakhss,

Ab aakhri sitaron mein kahin naam hai uss ka,
ehbaab ki fehrist mein pehla tha jo ek shakhss,

Haathon mein chhupaye huye phirta hai kayi zakham,
Sheeshe ke khilono’n se behlta tha jo ek shakhss,

Murr murr ke usey dekhna chahen meri ankhein,
Kuch duur mujhe chhorrne aya tha jo ek shakhsss

Har zehan mein kuchh naqsh-e wafa chhod gya hai,
Kehne ko bhare shehar mein tanha tha jo ek shakhss,

Munkir hai wohi ab meri pehchaan ka Mohsin,
Aksar mujhe khat khoon se likhta tha jo ek shakhss..



Tum kahan jao ge socho mohsin..

Mohsin Naqvi

Tum kahan jao ge socho mohsin,
Log thak-haar ke ghar jaate hain..



Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko..

Mohsin Naqvi

Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko,
Zakham khulte hain aziyat nahin hoti mujh ko,

Ab koi aye chala jaye main khush rehta hoon,
Ab kisi shakhss ki aadat nahin hoti mujh ko,

Aesa badla hoon tere shehr ka paani pee kar,
Jhoot boloon to nadamat nahin hoti mujh ko,

Hai amaanat main khayanat so kisi ki khatir,
Koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko,

Itna masroof hoon jeene ki havass main mohsin,
Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko..

اب تری یاد سے وحشت نہیں ہوتی مجھ کو - محسن نقوی



Khud-bakhud chorr gaye hain to chalo theek hua..

Mohsin Naqvi

khud-bakhud chorr gaye hain to chalo theek hua

Khud-bakhud chorr gaye hain to chalo theek hua,
Itne ehbaab kahan hum se sambhaale jaatey,

Hum bhi ghaalib ki tarah kuucha-e-jaana se,
Naa nikalte to kisi roz nikaale jaatey..

Khud-bakhud chorr gaye hain to chalo theek hua



Main chahne walon ko mukhatib nahin karta..

Mohsin Naqvi

Main chahne walon ko mukhatib nahin karta,
Aur tarkk-e-talluqq ki main wazahat nahin karta,

Main apni jafaaon pe naadim nahin hota,
Main apni wafaon ki tijarat nahin karta,

Khushbuu kisi tash’heer ki mohtaj nahin hoti,
Sacha magar apni wakalat nahin karta,

Ehsas ki suuli pe lattak jata hoon aksar,
Main jabr-e-musalsal ki shikayet nahin karta,

Main azmmat-e-insaaan ka qaayel to hoon mohsin,
Lekin kabhi bandon ki ibadat nahin karta..

Watch Video



Khaawbon ka gila jaayez hai..

Mohsin Naqvi

khawbon ka gila

Khaawbon ka gila jaayez hai mohsin lekin,
Main neendain dhoond ke laaon kahan se..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mohsin Naqvi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari