Mohsin Naqvi

Ranjish.com has lots of Urdu Mohsin Naqvi Poetry. Feel free to add your own Mohsin Naqvi Shayari here.

Mohsin Naqvi Collection

Mohsin Naqvi
1947-1996

Mohsin Naqvi is our personal favorite poet. Mohsin Naqvi’s Poetry tends to be so relaxing and so soothing to the heart which is inexpressible in words. Mohsin Naqvi was believed to be murdered in 1996. Who on earth would have thought that such kind of legends would get murdered one day.
We have got plenty of Mohsin Naqvi poetry here at Ranjish.com so you can enjoy.



Yeh dil yeh pagal dil mera kyun bujh geya! Awargi..

Mohsin Naqvi

Yeh dil yeh pagal dil mera kyun bujh geya! Awargi,
Is dasht main ik sheher tha, woh kya hua? Awargi,

Kal shab mujhe be-shakal si awaz ne chonkaaa diya,
Main kaha tu kon hai ? us ne kaha, Awargi,

Ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gham ka sabbab,
Sehraa ki tapti rait par maine likha, Awargi,

Yeh dard ki tanhayian yeh dasht ka veeraan safar,
Hum log to uktaa gaye, apni suna, Awargi,

Kal raat tanha chand ko dekha tha maine ne khawb main,
Mohsin mujhe raas aye gi shayed sadaaa, Awargi..

Watch Video



Zameen pr chal na saka aasmaan se bhi geya..

Mohsin Naqvi

tabaah kar gayin

Zameen pr chal na saka aasmaan se bhi geya,
Kattay jo par to parinda urraan se bhi geya,

Kisi ke hath se nikla hua woh teer hoon main,
Hadaf ko chuu na saka aur kamaan se bhi geya,

Tabaah kar gayin mujhe pakkay ghar ki khawhishen,
Main apne gaaon ke kachay makaan se bhi geya,

Aag main kuuda bhi to kya mila mujhe mohsin,
Usay bacha na saka aur apni jaan se bhi geya..



Itni muddat baad mile ho..

Mohsin Naqvi

Itni muddat baad mile ho,
Kin sochon main gum rehte ho,

Itne haayef kyun rehte ho,
Har aahatt pe ddar jate ho,

Taiz hawa ne mujh se pucha,
Rait pe kya likhte rehte ho,

Kash koi hum se bhi pooche,
Raat gaye tak kyun jaage ho,

Main daryaa se bhi dartaa hoon,
Tum daryaa se bhi gehre ho,

Kon si baat hai tum main aesi,
Itne ache kyun lagte ho,

Peeche murr kar kyun dekha tha,
Pathar ban kar kya takte ho,

Jao jeet ka jashn manao,
Main jhoota hoon tum sache ho,

Apne sheher ke sab logon se,
Meri khaatir kyun larrte ho,

Raat humen kuch yaad nahin tha,
Raat bohat hi yaad aaye ho,

Hum se na poocho hijr ke qisse,
Apni kaho ab tum kaise ho,

Mohsin tum badnaam bohat ho,
Jese ho phir bhi ache ho..



Apne aap se phirte hain begaane kyun…

Mohsin Naqvi

jab bhi chott nayi kha leta hon

Apne aap se phirte hain begaane kyun,
Sheher main aa kar log huye deewane kyun,

Hum ne kab maani thi baat zamaane ki,
Aaj hamari baat zamaana maane kyun,

Woh jungle ke phoolon pr kyun marta hai,
Us ko ache lagte hain veeraane kyun,

Sachi baat se ghabraane ki aadat kya,
Jhoote logon se apne yaraane kyun,

Khalwat main jo aankh milaate darta ho,
Mailay main woh shakss humen pehchaane kyun,

Mohsin jab bhi chott nayi khaa leta hoon,
Dil ko yaad aatey hain yaar puraane kyun..



Ik junoon be-maani, ik yaqeen la-haasil..

Mohsin Naqvi

ik junoon be-maani
Ik junoon be-maani, ik yaqeen la-haasil,
Kya mila humen mohsin uss ki arzuu kar ke..



Mujhe ab dar nahin lagta..

Mohsin Naqvi

Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se
Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se
Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta

Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se
Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Kisi ko chorr dene se
Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se
Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se
Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Kisi ki naa-rsaayi se
Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se
Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta

Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se
Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Watch Video



Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard..

Mohsin Naqvi

Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard,
Jee chahta hai phir koi taaza ghazal kahoon..



Aaj saaqi sharab rehne do..

Mohsin Naqvi

aaj saaqi sharab rehne do

Aaj saaqi sharab rehne do,
Tishnagi ke azaab rehne do,

Ponchh daalo na aankh se kaajal,
Kuch to khanjar pe aab rehne do,

Tum sanwaaro na apni zulfon ko,
Meri haalat kharab rehne do,

Chaand baadal main acha lagta hai,
Aadhey rukhh pe naqaab rehne do,

Un ke chehre ki baat ho jaye,
Aaj zikr-e-gulaab rehne do,

Un ki chokhhatt ko choom lo Mohsin,
Baaqi saare sawaab rehne do..

Watch Video



Bicharr ke tujh se kisi taur behell na saka..

Mohsin Naqvi

bicharr ke tujh se mohsin naqvi
Bicharr ke tujh se kisi taur behell na saka,
Nishaaniyan bhi teri mere paas kitni theen..



Kho gayi subah ki umeed aur ab yoon lagta hai..

Mohsin Naqvi

Kho gayi subah ki umeed aur ab yoon lagta hai,
Hum nahi hon ge ke jab hon ge ujaale Mohsin..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mohsin Naqvi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari