Mohsin Naqvi

Ranjish.com has lots of Urdu Mohsin Naqvi Poetry. Feel free to add your own Mohsin Naqvi Shayari here.

Mohsin Naqvi Collection

Mohsin Naqvi
1947-1996

Mohsin Naqvi is our personal favorite poet. Mohsin Naqvi’s Poetry tends to be so relaxing and so soothing to the heart which is inexpressible in words. Mohsin Naqvi was believed to be murdered in 1996. Who on earth would have thought that such kind of legends would get murdered one day.
We have got plenty of Mohsin Naqvi poetry here at Ranjish.com so you can enjoy.



Iss sheher main aesi bhi qayamat na hui thi..

Mohsin Naqvi

Iss sheher main aesi bhi qayamat na hui thi,
Tanha they magar khud se to wehshat na hui thi,

Yeh din hai ke yaron ka bharosa bhi nahi hai,
Woh din they ke dushman se bhi nafrat na hui thi,

Ab saans ka ehsaas bhi ek baar-e-giraan hai,
Khud apne khilaaf aesi baghavat na hui thi,

Ujrre huye iss dil ke har ik zakhm se pucho,
Iss sheher mein kis kis se mohabbat na hui thi,

Ab tere qareeb aa ke bhi kuch soch raha hoon,
Pehle tujhe kho kar bhi nadamat na hui thi,

Khawabon ke hawa raas thi jab tak mujhe Mohsin,
Yoon jaagte rehna meri aadat na hoi hui..



Khushi ka gham hai na gham ki khushi ab to..

Mohsin Naqvi

Khushi ka gham hai na gham ki khushi ab to,
Bohat udaas guzarti hai zindagi ab to..



Sirf eik tarq-e-etaluq ke liye..

Mohsin Naqvi

Sirf eik tarq-e-etaluq ke liye,
Tu ne dhoonde hain bahane kya kya..



Maine dekha tha un dinon mein usey..

Mohsin Naqvi

Maine dekha tha un dinon mein usey,
Jab woh khilte gulaab jesa tha,
Us ki palkon se neend chanti thi,
Us ka lehja sharaab jesa tha,

Us ki zulfon se bheegti thi ghataa,
Us ka rukh mahtaab jesa tha,
Log parhte they haal-o-khad us ke,
Woh adab ki kitaab jesa tha,

Bolta tha zubaan khushbuu ki,
Log sunte they dharkinon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,

Sari aankhen thi ayiney us ke,
Sarey chehron mein intikhaab tha woh,
Sab se ghul mil kar ajnabi rehna,
Aik darya numaaN saraab tha woh,

Khawb yeh hai ke woh haqeeqat tha,
Yeh haqeeqat hai khawb tha woh,
Dil ki dharti pe asmaan ki tarah,
Suurat-e-saya-e-sahaab tha woh,

Apni neendein bhi us ki nazar hui’n,
Mene paaya tha rat jaggon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,

Jab woh hans hans ke baat karta tha,
Dil ke haimey mein raat karta tha,
Rang parrhte they anchlon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,

Yeh magar dair ki kahani hai,
Yeh magar door ka fasaana hai,
Us ke mere milaap mein haayel,
Ab to sadiyon bhara zamana hai,

Ab to hai haal apna bhi,
Dasht-e-hijraan ki shaam jjesa hai,
Kya khabar woh in dinon kesa hoga,
Mene dekha tha un dinon mein usey..

Watch Video



Gum sum hua, awaaz ka darya tha jo ek shakss..

Mohsin Naqvi

gumsumhuaawazkadarya

(satron;lines, fehrist;list, munkar;one who does not accept)



Issi khayaal se guzri hai shaam-e-dard aksar..

Mohsin Naqvi

Issi khayaal se guzri hai shaam-e-dard aksar,
Ke dard hadh se jo guzre ga muskuraa doon ga..



Woh khul kar na ro saka ho ga..

Mohsin Naqvi

Hajoom mein tha, woh khul kar na ro saka ho ga,
Magar yakeen hai ke shab bhar na so saka ho ga..



Teri muntazir theen woh ankhen hi bujh gayin.

Mohsin Naqvi

Jo teri muntazir theen woh ankhen hi bujh gayin,
Ab kyun sajaa raha hai charaaghon se shaam ko..



Tere hijar main aur mujhe kya karna hai..

Mohsin Naqvi

Tere hijar main aur mujhe kya karna hai,
Tere naam kitaabein likhtaa rehta hoon..



Zindagi log jisey marham-e-gham jaantey hain..

Mohsin Naqvi

Zindagi log jisey marham-e-gham jaantey hain,
Jis tarah hum ne guzaari hai woh hum jaantey hain..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mohsin Naqvi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari