Munir Niazi

Ranjish.com has lots of Urdu Munir Niazi Poetry. Feel free to add your own Munir Niazi Shayari here.

Munir Niazi Collection

Munir Niazi Munir Niazi
1928-2006

Munir Niazi was born in Khanpur to the Niazi tribe. “Taiz Hawa Aur Tanha Phool” was his most popular book although “Jungle mein Dhanak”, “Dushmanoon Kai Darmiyan Sham” and “Mah-e-Munir” also did quite well all over the world.
We bring you the best Munir Niazi Poetry right here at one place.



Apne ghar ko wapis jaao ro ro kar samjhaata hai..

Munir Niazi

Apne ghar ko wapis jaao ro ro kar samjhaata hai,
Jahaan bhi jaaun mera saaya peeche aata hai,

Us ko bhi to jaa kar dekho us ka haal bhi mujh sa hai,
Chhup chhup reh kar dukh sehne se to insaan mar jaata hai,

Mujh se mohabbat bhi hai uss ko lekin yeh dastuur hai uss ka,
Ghair se milta hai hanss hanss kar mujh se hi sharmaata hai,

Kitne yaar hain phir bhi Munir is aabaadi main akela,
Apne hi gham ke nashe se apnaa ji behelaata hai..



Awaz de ke dekh lo shayed woh mil hi jaye..

Munir Niazi

Awaz de ke dekh lo shayed woh mil hi jaye,
Warna yeh umar bhar ka safar rayegaan* to hai..

(rayegaan:wasted, zaya)



Beth jaata hai woh jab mehfil main aa ke saamne..

Munir Niazi

Beth jaata hai woh jab mehfil main aa ke saamne,
Main hi hota hoon uss ki iss adaa ke samne,

Tez thi itni ke saara sheher suuna kar gayi,
Dair tak baitha raha main uss havaa ke samne,

Raat ik ujrre makaan pr jaa ke jab awaz di,
Goonj uthe baam-o-dar meri sadaa ke saamne,

Woh rangeela haath mere dil pe aur uss ki mehak,
Shaam-e-dil bujh si gayi rang-e-hinaa ke saamne,

Main to uss ko dekhte hi jaise pathar ka ho geya,
Baat tak muun se na niklii bewafa ke saamne,

Yaad bhi hain ai Munir uss shaam ki tanhaayiyan,
Ek maidaan ik darakht aur tuu khudaa ke samne..



Bechain bohat phirna ghabraye huye rehna..

Munir Niazi

Bechain bohat phirna ghabraye huye rehna,
Ik aag si jazbon ki dehkaaye huye rehna,

Chalkaaye huye Khushbuu lab-e-laleen ki,
Ik baagh sa sath apne mehkaaye huye rehna,

Ik shaam si kar rakhna kaajal ke karishme se,
Ik chaand sa aankhon main chamkaaye huye rehna,

Aadat hi bana li hai tum ne to Munir apni,
Jiss sheher main bhi rehna uktaaye huye rehna..

بے_چین بہت پھرنا گھبرائے ہوئے رہنا - منیر نیازی



Dil ka saffar bas ek hi manzil pe bas nahin..

Munir Niazi

Dil ka saffar bas ek hi manzil pe bas nahin,
Itnaa khayaal uss ka humen iss barass nahin,

Dekho gul-e-bahaar-e-assar dasht-e-shaam main,
Deewaar-o-dar koi bhi kahin pesh-o-pass nahin,

Aaya nahin yaqeen bohat dair tak humen,
Apne hi ghar ka dar hai ya baab-e-qaffas nahin,

Aisa safar hai jis ki koi intihaa nahin,
Aisaa makaan hai jis main koi hum-naffass nahin,

Aaye gi phir bahaar issi sheher main Munir,
Taqdeer iss nagar ki faqat khaar-o-khas nahin..



Apni hi tegh-e-adaa se aap ghaayal ho geya..

Munir Niazi

Apni hi tegh-e-adaa se aap ghaayal ho geya,
Chaand ne paani mein dekha aur paagal ho geya,

Woh havaa thi shaam hi se raste khaali ho gaye,
Woh ghataaa barssii ke saara sheher jal-thal ho geya,

Main akela aur safar ki shaam rangon mei dhalli,
Phir yeh manzar meri nazron se bhi ojhal ho geya,

Ab kahan ho ga woh aur hoga bhi to waisa kahaan,
Soch kr yeh baat jee kuch aur bojhal ho geya,

Husn ki dehshat ajab thi vasl ki shab mei Munir,
Haath jaise intihaa-e-shauq se shhall ho geya..



Apna to yeh kaam hai bhai dil ka khoon bahate rehna..

Munir Niazi

Apna to yeh kaam hai bhai dil ka khoon bahate rehna,
Jaag jaag kr in raaton mei sher ki aag jalaate rehna,

APne gharon se door banon mei phirte huye avaara logo,
Kabhi kabhi jab waqt mile to apne ghar bhi jaate rehna,

Raat ko dasht mai phool khile hain bhuuli-bisri yaadon ke,
Gham ki tez sharaab se un ke teekhe naqsh mitaate rehna,

Khushbuu ki deewar ke peechey kaise kaise rang jamme hain,
Jab tak din kaa suuraj aaye us ka khoj lagaate rehna,

Tum bhi Munir ab un galiyon se apne aap ko duur hi rakhna,
Achaa hai jhoote logon se apna aap bachaate rehna..



Dil ajab mushkil mei hai ab asal raaste ki taraf..

Munir Niazi

Dil ajab mushkil mei hai ab asal raaste ki taraf,
Yaad peeche kheenchti hai aas aagey ki taraf,

Chorr kar nikle they jis ko dasht-e-ghurbat ki taraf,
Dekhna shaam-o-sehar ab ghar ke saaye ki taraf,

Hai abhi aghaaz din kaa is dayaar-e-qaid main,
Hai abhi se dheyaan sara shab ke pehre ki taraf,

Subh ki raushan kiran ghar ke dareechey pr parri,
Ek rukh chamkaa hava main us ke sheeshe ki taraf,

Dooriyon se pur-kashish hain manzilein dono Munir,
Main ravaan hoon khawb main na-paiyd qarye ki taraf..



Aur hain kitni manzilain baaki..

Munir Niazi

Aur hain kitni manzilain baaki,
Jaan kitni hai jism main baaki,

Zinda logon ki buud-o-baash mei hain,
Murdaa logon ki aadatein baaki,

Uss se milna woh khawb-e-hassti mei,
Khawb maaduum hasraten baaki,

Behh gaye rang-o-noor ke chashme,
Reh gayin un ki rangatein baaki,

Jin ke hone se ham bhi hain aye dil,
Sheher main hain woh suuratain baaki,

Woh aa ke Munir jaa bhi chuka,
Ik mehak si hai baagh main baaki..



Janta hoon aik aese shakhs ko mein bhi..

Munir Niazi

Janta hoon aik aese shakhs ko mein bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi roya nahin..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Munir Niazi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari