Nasir Kazmi

Ranjish.com has lots of Urdu Nasir Kazmi Poetry. Feel free to add your own Nasir Kazmi Shayari here.

Nasir Kazmi Collection

Nasir Kazmi
1925-1972

Nasir Kazmi Poetry and his poetry books are here for our readers to read and enjoy. Nasir Kazmi was born in Karachi. Nasir Kazmi Shayari is very popular in Pakistan and India because he always kept his shayari as simple as possible and that made it very easy for poetry lovers to understand.



Aarzu hai ke tu yahan aye..

Nasir Kazmi

Aarzu hai ke tu yahan aye,
Aur phir umar bhar na jaye kahin..



Din bhar to main duniya ke dhandhon main khoya raha..

Nasir Kazmi

Din bhar to main duniya ke dhandhon main khoya raha,
Jab deewaron se dhoop Dhalli tum yaad aye..



Ae dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood..

Nasir Kazmi

Ae dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood,
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi..



Aarzu hai ke tu yahan aye..

Nasir Kazmi

Aarzu hai ke tu yahan aye,
Aur phir umar bhar na jaye kahin..



Aaj dekha hai tujh ko dair ke baad..

Nasir Kazmi

Aaj dekha hai tujh ko dair ke baad,
Aaj ka din guzar na jaye kahin..



Nayi duniya ke hangamon main..

Nasir Kazmi

Nayi duniya ke hangamon main nasir,
Dabi jaati hain awazen purani..



Apni dhun mein rehta hoon, Mein bhi tere jesa hoon..

Nasir Kazmi

Apni dhun mein rehta hoon, Mein bhi tere jesa hoon..

Apni dhun mein rehta hoon
Mein bhi tere jesa hoon

O pichli rut ke sathi
Ab ke baras main tanha hoon

Teri gali mein sara din
Dukh ke kankar chunta hoon

Mujh se ankh milaaye kon
Main tera aayina hoon

Tere sivaa mujhe pehne kon
main tere tan ka kaprra hoon

Mera diya jalaye kon
Mein tera khali kamra hoon

Tu jeevan ki bhari gali
Mein jungle ka tanha rasta hoon

Aati rut mujhe roye gi
Jaati rut ka jhonka hoon

Apni lehr hai apna rog
Dariya hoon aur pyasa hoon

اپنی دھن میں رہتا ہوں - ناصر کاظمی



Musalssal bekali dil ko rahi hai..

Nasir Kazmi

Nasir Kazmi Poetry

Musalssal bekali dil ko rahi hai,
Magar jeenay ki surat to rahi hai,

Main kyun phirta hoon tanha maara maara,
Yeh bassti chain se kyun so rahi hai,

Chale dil se umeedon ke musafir,
Yeh nagri aaj khaali ho rahi hai,

Na samjho tum isay shor-e-bahaaran,
Khizaan paton main chup kar ro rahi hai,

Hamare ghar ki deewaron pe nasir,
Udaasi baal kholay so rahi hai..



Dil main aur to kya rakha hai..

Nasir Kazmi

dil main aur to kya rakha hai

Dil main aur to kya rakha hai,
Tera dard chupaa rakha hai,

Itne dukhon ki tez hawaa main,
Dil ka deep jalaa rakha hai,

Dhoop se chehron ne duniya main,
Kya andher machaa rakha hai,

Is nagrii ke kuch logon ne,
Dukh ka naam davaa rakha hai,

Vaaada-e-yaaar ki baat na cherro,
Yeh dhoka bhi khaa rakha hai,

Bhool bhi jao beeti baaten,
In baaton main kya rakha hai,

Chup chup kyun rehte ho ‘nasir’,
Kya yeh rog laga rakha hai..



Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin..

Nasir Kazmi

Safar-e-manzil-e-shabb yaad nahin,
Log rukhsat huye kab yaad nahin,

Avvaleen qurb ki sarshaari hain,
Kitne armaan they jo ab yaad nahin,

Dil main har waqt chubhan rehti thi,
Thi mujhe kis ki talabb yaad nahin,

Woh sitaara thi ke shabnam thi ke phool,
Ek surat thi ajab yaad nahin,

Kaisi viraan hai guzar-gaah-e-khayal,
Jab se woh aaariz-o-labb yaad nahin,

Bhoolte jaate hain maazi ke dayaar,
Yaad aaye bhi to sab yaad nahin,

Aisa uljha hoon gham-e-duniya main,
Ek bhi khawab-e-tarb yaad nahin,

Rishta-e-jaan tha kabhi jis ka khayaal,
Us ki surat bhi to ab yaad nahin,

Yeh haqeeqat hai ke ehbaab ko hum,
Yaad hi kab thay jo ab yaad nahin,

Yaad hai sair-e-charaaghan nasir,
Dil ke bujhne ka sabbab yaad nahin..

سفر_منزل_شب یاد نہیں - ناصر کاظمی


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nasir Kazmi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari