Nasir Kazmi

Ranjish.com has lots of Urdu Nasir Kazmi Poetry. Feel free to add your own Nasir Kazmi Shayari here.

Nasir Kazmi Collection

Nasir Kazmi
1925-1972

Nasir Kazmi Poetry and his poetry books are here for our readers to read and enjoy. Nasir Kazmi was born in Karachi. Nasir Kazmi Shayari is very popular in Pakistan and India because he always kept his shayari as simple as possible and that made it very easy for poetry lovers to understand.



Deewangi-e-shoq ko yeh dhun hai..

Nasir Kazmi

deewangi shoq ko

Deewangi-e-shoq ko yeh dhun hai ke in dinon,
Ghar bhi ho aur be-dar o deewar sa bhi ho..



Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi..

Nasir Kazmi

hoti hai tere naam se

Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi,
Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi,

Tere qareeb reh kar bhi dil mutmayin na tha,
Guzri hai mujh pe yeh bhi qayamat kabhi kabhi,

Kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha,
Yuun bhi guzar gayi shab-e-furqat kabhi kabhi,

Ae dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood,
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi..



Kya zamana tha ke hum har roz mila karte they..

Nasir Kazmi

Kya zamana tha ke hum har roz mila karte they,
Raat bhar chaand ke humraah phira karte they,

Jahan tanhaayiyan sar phorr ke so jati hain,
Un makaanon main ajab log raha karte they,

Kar diya aaj zamaane ne unhe bhi majboor,
Kabhi yeh log mere dukh ki dawaa karte they,

Dekh kar jo humen chup chaap guzar jaata hai,
Kabhi uss shakss ko hum pyaar kiya karte they,

Itefaqaat-e-zamana bhi ajab hain “nasir”,
Aaj woh dekh rahe hain jo suna karte they..



Dil main aur to kya rakha hai..

Nasir Kazmi

Dil main aur to kya rakha hai,
Tera hi dard chupaa rakha hai,

Itne dukhon ki taiz havaa main,
Dil ka deep jalaa rakha hai,

Dhoop se chehron ne duniya main,
Kya andhair machaa rakha hai,

Iss nagri ke kuch logon ne,
Dukh ka naam davaa rakha hai,

Vaada-e-yaar ki baat na cherro,
YEh dhoka bhi khaa rakha hai,

Bhool bhi jao beeti baaten,
In baaton main kya rakha hai,

Chup chup kyuun rehte ho “nasir”,
Yeh kya rog lagaa rakha hai..



Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi..

Nasir Kazmi

hoti hai tere naam se
Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi,
Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi..



Tere aane ka dhoka sa raha hai..

Nasir Kazmi

woh koi dost tha ache dinon ka

Tere aane ka dhoka sa raha hai,
Diya sa raat bhar jaltaa raha hai,

Ajab hai raat se ankhon ka aalam,
Yeh dariyaa raat bhar charrhta raha hai,

Suna hai raat bhar barsaa hai baadal,
Magar woh sheher jo pyaasa raha hai,

Woh koi dost tha ache dinon ka,
Jo pichli raat se yaad aa raha hai,

Kise dhoondo ge in galiyon main “nasir”,
Chalo ab ghar chalen din ja raha hai..



Dil main ik lehar si uthi hai abhi..

Nasir Kazmi

Dil main ik lehar si uthi hai abhi,
Koi taaza havaa chali hai abhi,

Shor barpaa hai khaana-e-dil main,
Koi deevaar si girii hai abhi,

Bharii duniya main jee naihn lagta,
Jaane kis cheez ki kammi hai abhi,

Tu shareek-e-sukhan nahin hai to kya,
Hum-sukhan teri khaamoshi hai abhi,

Yaad ki be-nishaan galiyon main,
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi,

So gaye log uss haveli ke,
Ek khirrki magar khulli hai abhi,

Tum to yaaro abhi se uth baithe,
Shehr main raat jaagti hai abhi,

Waqt acha bhi aaye Nasir,
Gham na kar zindagi parri hai abhi..



Din dhallaa raat phir aa gayi so raho so raho..

Nasir Kazmi

Din dhallaa raat phir aa gayi so raho so raho,
Manzilo cchhaa gayi khamoshi so raho so raho,

Saara din tapte suuraj ki garmi main jalte jalte,
Thandi thandi havaa phir chali so raho so raho,

Garm sunsaan qariyon ki dharti mehekne lagi,
Khaak rashk-e-iram ban gayi so raho so raho,

Razm-gaah-e-jahan ban gayi jaa-e-aman-o-amaan,
Hai yehi waqt ki raagni so raho so raho,

Kaise sunsaan hain aasmaan chup kharre hain makaan,
Hai fazaa ajnabi ajnabi so raho so raho,

Thak gaye naaqa-o-saar-ban thamm gaye kaarvaan,
Ghhanttiyon ki sadaa so gayi so raho so raho,

Gardish-e-waqt ki loriyaan raat ki raat hain,
Phir kahaan yeh havaa yeh nami so raho so raho,

Saari basti ke log iss madhur lai main khho gaye,
Duur bajne lagi bansuri so raho so raho,

Duur shaakhon ki jhurmatt main jugnuu bhi gum ho gaye,
Chaand main so gayi chaandni so raho so raho,

Ghar ke deevaar-o-dar raah tak tak ke shall ho gaye,
Ab na aaye ga shayed koi so raho so raho,

Sust raftaar taare bhi aankhen jhapakne lage,
Gham ke maaro gharri do gharri so raho so raho,

Muun-andhere hi Nasir kise dhuundne chal diye,
Duur hai subh-e-roshan abhi so raho so raho..



Dil me aur to kya rakha hai..

Nasir Kazmi

Dil me aur to kya rakha hai,
Tera dard chupaa rakha hai,

Itne dukhon ki taiz havaa me,
Dil ka deep jalaa rakha hai,

Dhoop se chehron ne duniya me,
Kyaa andhair machaa rakha hai,

Iss nagrii ke kuch logon ne,
Dukhh ka naam davaa rakha hai,

Vaada-e-yaar ki baat na cherro,
Yeh dhokaa bhi khaa rakha hai,

Bhool bhi jaao beeti baaten,
In baaton me kyaa rakha hai,

Chup chup kyun rehte ho “nasir”,
Yeh kya rog lagaa rakha hai..



Aaj to be-sabab udaas hai jee..

Nasir Kazmi

Aaj to be-sabab udaas hai jee,
Ishq hota to koi baat bhi thee,

Jaltaa phirta hoon main do-pehron me,
Jaane kya cheez kho gayi merii,

Wahin phirta hoon main bhi khaak-bassar,
Iss bhare sheher main hai aik galii,

Chhupta phirta hai ishq duniya se,
Phailti jaa rahi hai ruswaayi,

Hum-nasheen kya kahoon ke woh kya hai,
Chorr yeh baat neend urrne lagii,

Aj to woh bhi kuch khamosh sa tha,
Maine bhi uss se koi baat na kee,

Ek dum us ke hont choom liye,
Yeh mujhe baithe baithe kya soojhee,

Ek dum us ka haath chorr diya,
Jaane kya baat darmiyaan aayii,

Tu jo itna udaas hai “Nasir”
Tujhe kya ho gayaa bataa to sahii..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nasir Kazmi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari