Nida Fazli

Ranjish.com has lots of Urdu Nida Fazli Poetry. Feel free to add your own Nida Fazli Shayari here.

Nida Fazli Collection

Nida Fazli
1938-

Nida Fazli is an inspiration Urdu poet from India. His real name is Muqtida Hasan Nida Fazli. We bring you the best of Nida Fazli Poetry right here at one place.



Hosh walon ko kya khabar kya bekhudi kya cheez hai..

Nida Fazli

Hosh walon ko kya khabar kya bekhudi kya cheez hai,
Ishq kijiye phir samajhiye zindagi kya cheez hai..



Dil main na ho jurat to mohabbat nahin milti..

Nida Fazli

Dil main na ho jurat to mohabbat nahin milti,
Khairaat main itni baRri daulat nahin milti..



Tanha tanha dukh jhelen ge mehfil mehfil gayen ge..

Nida Fazli

nida fazli poetry

Tanha tanha dukh jhelen ge mehfil mehfil gayen ge,
Jab tak ansuu paas rahen ge tab tak geet sunayen ge,

Tum jo socho woh tum jano hum to apni kehte hain,
Dair na karna ghar aane main warna ghar kho jayen ge,

Bachon ke chote hathon ko chand sitare chhune do,
Chaar kitaben parh kar yeh bhi hum jese ho jayen ge,

Achi surat wale sare pathar-dil hon mumkin hai,
Hum to us din raaye dain ge jis din dhoka khayen ge,

Kin rahon se safar hai asan kaun sa rasta mushkil hai,
Hum bhi jab thak kar bethen ge auron ko samjhayen ge..

تنہا تنہا دکھ جھیلیں گے محفل محفل گائیں گے



Ab khushi hai na koi dard rulaane wala..

Nida Fazli

Ab khushi hai na koi dard rulaane wala,
Hum ne apnaa liya har rang zamaane wala,

Aik be-chehra si umeed hai chehra chehra,
Jis tarf dekhiye aane ko hai aane wala,

Us ko rukhsat kiya tha mujhe maloom na tha,
Sara ghar le geya ghar chorr ke jaane wala,

Duur ke chaand ko dhoondo na kisi aanchal main,
Yeh ujala nahin aangan main samaane wala,

Ik musafir ke safar jesi hai sab ki duniya,
Koi jaldi main, koi dair se jaane wala..

اب خوشی ہے نہ کوئی درد رلانے والا - ندا فاضلی



Jab kisi se koi gilaa rakhna..

Nida Fazli

Jab kisi se koi gilaa rakhna,
Samne apne aayina rakhna,

Yuun ujaalon se waasta rakhna,
Shamaa ke paas hi havaa rakhna,

Ghar ki tameer chahe jesi ho,
Us main rone ki bhi jagah rakhna,

Masjiden hain namaziyon ke liye,
Apne ghar main kahin khuda rakhna,

Milna julna jahan zaroori ho,
Milne julne ka hausla rakhna..

جب کسی سے کوئی گلہ رکھنا - ندا فاضلی



Baagh main jaane ke adaab hua karte hain..

Nida Fazli

Baagh main jaane ke adaab hua karte hain,
Kisi titlee ko na phoolon se urraya jaye..



Har ek baat ko chup-chaap kyun suna jaye..

Nida Fazli

Kabhi to hausla kar ke nahin kaha jaye

Har ek baat ko chup-chaap kyun suna jaye,
Kabhi to hauslaa kar ke nahin kaha jaye,

Tumhara ghar bhi isi shehr ke hisaar main hai,
Lagi hai aag kahan, kyun pata kiya jaaye,

Juda hai heer se ranjha kayi zamanon se,
Naye siray se kahani ko phir likha jaye,

Kaha geya hai sitaron ko chhuna mushkil hai,
Yeh kitna sach hai kabhi tajarba kiya jaye,

Kitaben yuun to bohat si hain mere baray main,
Kabhi akele main khud ko bhi parrh liya jaye..

Har aik baat ko chup-chap kyun suna jaye



Koi hindu, koi muslim, koi isaayi hai..

Nida Fazli

koi hindu koi muslim koi isayi hai

Koi hindu, koi muslim, koi isaayi hai,
Sab ne insaan na bann’ne ki qasam khayi hai,

teen-chothaayi se zeyada hain jo abaadi main,
Un ke hi vaastay har bhook hai, mehengaayi hai,

Sirf mansoobon main mausam ke badalte hain mizaaj,
Sirf takreeren batati hain bahaar ayi hai..



Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo..

Nida Fazli

safar main dhoop to hogi

Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo,
Sabhi hain bheerr main tum bhi nikal sako to chalo,

Kisi ke vaastay raahen kahan badalti hain,
Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo,

Yahan kisi ko koi rasta nahin deta,
Mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo,

Kahin nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa,
Khud apne aap se bahar nikal sako to chalo,

Yehi hai zindagi kuch khawb, chand umeeden,
Inheen khilonon se tum bhi behal sako to chalo..



Do chaar gaam raah ko hamvaar dekhna..

Nida Fazli

har admi main hote hain

Do chaar gaam raah ko hamvaar dekhna,
Phir har qadam pe ik nayi deewar dekhna,

Aankhon ki raushni se hai har sang aayina,
Har aayine main khud ko gunaahgaar dekhna,

Har aadmi main hote hain dass bees aadmi,
Jis ko bhi dekhna ho kayi baar dekhna,

Maidaan ki haar jeet to qismat ki baat hai,
Tuuti hai kis ke haath main talvaar dekhna,

Dariyaa ke is kinaare sitaare bhi phool bhi,
Dariyaa charrhaa hua ho to us paar dekhna,

Achi nahin hai sheher ke raston se dosti,
Aangan main phail jaaye na bazaar dekhna..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nida Fazli.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari