Noshi Gilani

Ranjish.com has lots of Urdu Noshi Gilani Poetry. Feel free to add your own Noshi Gilani Shayari here.

Noshi Gilani Collection

Noshi Gilani

Noshi Gilani is a famous female poet belonging from Pakistan. She was born in Bahawalpur city. She has written few poetry books which include Mohabatain Jab Sumar Kurna, Udas Honay Kay Din Naheen, Pehla Lafz Mohabat Likha, Hum Tera Intezaar Kurtey Rahey and Hawa Chupke se Kehti Hai. Keep visiting us for more Noshi Gilani Poetry.



Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai

Noshi Gilani

Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai
Bohat Tha Jabar Laikin Seh Lia Hai

Azaab-e-Hijr Ab Waapas Palat Jaa
Bohat Din Saath Mere Reh Lia

Nami Aankhon Se Jaati Hee Nahi Hai
Sitam Is Dil Ne Itna Seh Lia Hai

Tujhe Kehna Tha Jo Ehwaal Dil Ka
Dar-o-Deewaar Se Hee Keh Lia Hai



Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi

Noshi Gilani

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi
Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di ?

Be-Wafai Ne Khaak Kar Daali
Chaahaton Ki Hari Bhari Daali

Ik Shab Vasl Ki Guzaarish Thi
Os Ne Tasveer Apni Bhijvadi

Tere Gham Ki Jazeerah-e-Dil Mein
Phailti Jaa Rahi Hai Aabaadi

Kis Qadar Baanjh Hoti Jaati Hai
Takht-e-Ikhlaas Teri Shehzaadi

Waqt Zaalim Tha Meri Har Khwaahish
Os Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di



Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam

Noshi Gilani

Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam ?
Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam

Kis Ne Khail Khaila Hai Kis Ne Hijr Jhaila Hai
Ab Guzar Gaya Jaanan Is Sawaal Ka Mausam

Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shaakh Per Khiltay
Mein Ke Hijr Ka Lamha, TU Visaal Ka Mausam

Dil Ke Ab Tou Sehra Hai Aur Aisay Sehra Mein
Jaanay Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Mausam

Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Rehguzaaron Per
Tere Lams Ka, Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam

Hum Kubhi Tou Dekhain Ge Wehshaton Ke Sehra Mein
Ay Khuda Mohabbat Ke Aitedaal Ka Mausam



Zamaney walon se chup ke roney ke din nahin hain..

Noshi Gilani

Zamaney walon se chup ke roney ke din nahin hain,
Usey kehna yeh udaas honey ke din nahin hain,

Main jaan sakti hoon vasl mein asal bhaid kya hai,
Magar haqeeqat shanaas honey ke din nahin hain,

Hamara khud se makaalma* bhi neya neya hai,
Kisi badamn ka libaas honey ke din nahin hain,

Abhi to aankhon mein aanusyon ki nami hai baqi,
Zameen-e-dil par pyaas boney ke din nahin hain..

(makaalma;conversation)



Aalim-e-mohabbat mein, Ik kamaal wehshat mein..

Noshi Gilani

Aalim-e-mohabbat mein,
Ik kamaal wehshat mein,
Be-sabab rafaaqat ka,
Dukh uthaana parta hai,
Titliyaan pakarney ko,
Door jana parta hai..



Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai..

Noshi Gilani

Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai,
Mujhe tum se mohabbat ho gayi hai,

Kisi ka lamss hai jis ke hunnar se,
Mukammal sab ibaadat ho gayi hai,

Koi din ke liye deewangi bhi,
Mere dil ko ghaneemat ho gayi hai,

Bohat behaal rehte they magar ab,
Humain hijrat ki aadat ho gayi hai,

Gulaab asaar rastey muntazir hai,
Ke mausam ki inaayat ho gayi hai,

Zameen se aasman tak roshni hai,
Meherbaan hum pe fitrat* ho gayi hai..

(fitrat;nature)



Raaston Mein Rahay Na Ghar Mein Rahay

Noshi Gilani

Raaston Mein Rahay Na Ghar Mein Rahay
Umer Bhar Haalat-e-Safar Mein Rahay

Lafz Saaray Charaagh Ban Jayein
Vasf Aisa Mere Hunar Mein Rahay

Zeher Saara Shajar Mein Aa Jaye
Ay Khuda Zindagi Samar Mein Rahay

Is Lye Gardishon Ko Paala Hai
Koi Tou Halqa-e-Asar Mein Rahay

Ek Zamaana Gharon Mein Tha Aabaad
Be-Ghar Ham Teri Nazron Mein Rahay



Tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti..

Noshi Gilani

Tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti,
Khud ko itni bhi aziyat nahin di ja sakti,

Jaantey hain ke yaqeen toot raha hai dil par,
Phir bhi ab tarq yeh wehshat ki nahin ja sakti,

Habss ka sheher hai aur is mein kisi bhi surat,
Saans lene ki sahulat nahin di ja sakti,

Roshni ke liye darwaaza khula rakhna hai,
Shab se ab koi ijaazat nahin li ja sakti,

Ishq ne hijar ka azaar to de rakha hai,
Is se barrh kar to reyaayet nahin di ja sakti..



Tumhara akss meri saari kayenaat mein tha..

Noshi Gilani

Kahbi yeh chup main kabhi meri baat baat main tha,
Tumhara akss meri saari kayenaat mein tha,

Hum ehl-e-ishq bohat bd’gumaan hote hain,
Isi tarah ka koi vasf* teri zaat mein tha..

(vasf;ability)



Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay

Noshi Gilani

Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay
Tou Hum Kubhi Ke Gharon Ko Palat Gaye Hotay

Qareeb Reh Ke Sulaghnay Se Kitna Behtar Tha
Kisi Muqaam Per Hum Tum Bicharr Gaye Hotay

Kubhi Toryat Ko Ham Muthion Mein Bhar Letay
Kubhi Hawaaon Se Apne Mukaalmay Hotay

Hamaray Naam Pe Koi Charaagh Tou Jalta
Kisi Zabaan Pe Hamaray Bhi Tazkaray Hotay

Ham Apna Koi Alag Raasta Bana Letay
Hamaray Dil Ne Agar Hoslay Kye Hotay


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Noshi Gilani.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari