Noshi Gilani

Ranjish.com has lots of Urdu Noshi Gilani Poetry. Feel free to add your own Noshi Gilani Shayari here.

Noshi Gilani Collection

Noshi Gilani

Noshi Gilani is a famous female poet belonging from Pakistan. She was born in Bahawalpur city. She has written few poetry books which include Mohabatain Jab Sumar Kurna, Udas Honay Kay Din Naheen, Pehla Lafz Mohabat Likha, Hum Tera Intezaar Kurtey Rahey and Hawa Chupke se Kehti Hai. Keep visiting us for more Noshi Gilani Poetry.



Tujh se judaa hona zaroori ho geya hai..

Noshi Gilani

Mohabbat se rihaa hona zaroori ho geya hai,
Mera tujh se judaa hona zaroori ho geya hai,

Wafaa ke tajarbey karte huye to umar guzri,
Zara sa bewafa hona zaroori ho geya hai,

Meri awaaz tanhaai main marti ja rahi hai,
Kisi ka ham’nawaa hona zaroori ho geya hai,

Azaab zulmat-e-shab hai ke ab dil ke labon par,
Koi harf-e-duaa hona zaroori ho geya hai..



Khayaal-o-Khwaab Ke Manzar Sajaana Chahta Hai

Noshi Gilani

Khayaal-o-Khwaab Ke Manzar Sajaana Chahta Hai
Ye Dil Jeenay Ka Ik Taaza Bahana Chahta Hai

Roshnion Ke Saaray Manzar Jhootay Lagtay Hain
Laikin Oski aankh Ke aansuu Sachay Lagtay Hain

Ik Chaadar Sakhan Hee Bacha Kar Nikal Chalain
Rasta Milay Tou Sheher Se Baahir Nikal Chalain

Marqad-e-Ishq Pe ab aur Na Roya Jaaye
Raat Ka Pichla Peher Hai Chalo Soya Jaaye



KaheeN KartAy Nahi izhaaR, ChuP Hain

Noshi Gilani

KaheeN KartAy Nahi izhaaR, ChuP Hain
HamaiN Tou HukaM Hay Sarkar, ChuP Hain
.
Kahani Kuch BatanA Chahti Hay
Magar Is K Sabhi KirdAAr ChUp Hain
.
BohAt Hay BarisH-e-SunG-e-Malamet
Magar Hum Surat-e-KuhSaaR , Chup Hain
.
Abhi Tak Hay, BuhAt MehfOoz QatiL
K maQtal Kay Der-o-DewaaR ChuP Hain
.
Pata Rahzun Ka KhalQat Pochti Hay
Magar Basti Kay Pahray’Daar Chup Hain
.
Wohi Musam, Wohi ZanjEEr-e-ShaB Hay
Magar Ye Log Kyon Is Baar ChuP Hain ??



Aankhain Bhi Wohi Hain Tou Dareecha Bhi Wohi Hai

Noshi Gilani

Aankhain Bhi Wohi Hain Tou Dareecha Bhi Wohi Hai
Aur Soch Ke Aangan Mein Utarta Bhi Wohi Hai

Jis Ne Mere Jazbon Ki Sadaaqat Ko Na Jaana
Ab Meri Rafaaqat Ko Tarasta Bhi Wohi Hai

Is Dil Ke Kharaabay Se Guzar Kis Ka Howa Hai ?
Aankhain Bhi Wohi, Hont Bhi, Lehja Bhi Wohi Hai

Jo Kuch Bhi Kaha Tha Meri Tanhaayi Ne Tujh Se
Is Sheher Ki Deewar Pe Likha Bhi Wohi Hai

Wo Jis Ne Dye Mujhko Mohabbat Ke Khazaanay
Baadal Ki Tarah Aankh Se Barsaa Bhi Wohi Hai



Ye Umar Bhar Ka Safar aur Ye Raaigaani Teri

Noshi Gilani

Ye Umar Bhar Ka Safar aur Ye Raaigaani Teri
Kahan Gayi Ay Mere Dil Wo Khush Gumaani Teri ?

Yahan Pe Kon Andheron Mein Saath Chalta Hai ?
TU Ab Bhee Saath Mere Hai Ye Meherbaani Teri

Tujhe Khabar Nahee Hum Dekh Kar Bohat Roye
Nayi Kitaab Mein Tasweer Ik Puraani Teri

Abhe Se aablay Parnay Lagay Hain Paon Mein
Abhe Tou Door Hai Manzil Safar Kahaani Teri

Bhulaaye Baithay Hain aur Apnay Haal Mein Khush Hain
TU aake Dekh Ke Kubhi Hum Ne Baat Maani Teri



Safar Malaal Ka Hai Aur Chal Rahi Huun Mei

Noshi Gilani

Safar Malaal Ka Hai Aur Chal Rahi Huun Mei
Ghubaar-e-Shab Ki Udasi Mei Dhal Rahi Huun Mei

Ajeeb Barf Ki Barish Badan Pe Utri Hei
Ke Jis Ki Aag Mei Chup Chaap Jal Rahi Huun Mei

Phir Ik Charaagh Jala Shaam Ki Haveli Mein
Phir Ik Dard Se Aakhir Sambhal Rahi Huun Mei

Ye Rakh Rakhaao Usay Jaanay Naheen De Ga
Ke Apne Aap Mei Kaisay Pighal Rahi Huun Mei

Ye Ishq Sach Se Juda Kaisay Ho Gaya Jaana?
Ab Is Sawaal Se Bahar Nikal Rahi Huun Mei

Bas Ik Ishq Meri Zaat Per Saheefa Ho
Mere Khuda! Ye Aqeeda Badal Rahi Huun Mei..!!



Kuchi Bhi Kar Guzarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai

Noshi Gilani

Kuchi Bhi Kar Guzarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Barf Ke Pighalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?

Os Ne Hans Kar Dekha Tou Muskura Dye Ham Bhee
Zaat Se Nikalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?

Hijr Ki Tamaazat Se Wasl Ke Alao Tak
Larkion Ke Jalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?

Baat Jaisi Be-Maainay Baat Aur Kia Hogi ?
Baat Ke Mukarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?

Zaim Kitna Kartay Ho Ik Charaagh Per Apnay ?
Aur Hawa Ke Chalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?

Jab Yaqeen Ki Baanhon Per Shak Ke Paaon Par Jaayein
Choorian Bikharnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?



Dard Ki Ley Maddham Tou Ho

Noshi Gilani

Dard Ki Ley Maddham Tou Ho
Dhund Kaheen Per Kam Tou Ho

But-Saazi Hum Jaan Gaye Hain
Laikin Mitti Nam Tou Ho

Umer Ka Saath Kahan Maanga Tha ?
Phir Bhee Chaar Qadam Tou Ho

Shaam Ka Raqs Bhee Ho Jaye Ga
Dhoop Ki Shiddat Kam Tou Ho

Mehfil-e-Shab Bhee Saj Jaaye Gi
Koi Shareek-e-Gham Tou Ho

Jaan Pe Ham Bhee Seh Letay
Laikin Ik Sitam Tou Ho ?



Bila Jawaaz Rakhain Khud Ko Beqaraar Bhee Kiun ?

Noshi Gilani

Bila Jawaaz Rakhain Khud Ko Beqaraar Bhee Kiun ?
Jo TU Nahee Hai Tou Phir Tera Intezaar Bhee Kiun ?

Akailay Pan Ka Safar Jab Mera Muqaddar Hai
Tou Phir Ay Waada-Shikan Tera Intezaar Bee Kiun ?

Ose Ganwa Ke Ab Raho Khizaaon Ki Zad Mein
Jo Wo Nahee Hai Tou Phir Mausam-e-Bahaar Bhee Kiun ?

Agar Bhulaaye Howay Osko Ek Umar Howi
Tou Phir Ye Aaj Tabyat Hai Sogwaar Bhee Kiun ?

Jab Osko Shoq Tha Raston Ki Dhool Honay Ka
Palat Kar Dekhta Jaata Tha Baar Baar Bhee Kiun ?



Mout Se Mukar Jaayein, Zindagi Se Dar Jaayein..

Noshi Gilani

Mout Se Mukar Jaayein
Zindagi Se Dar Jaayein

Hijr Ke Samandar Ko
Aao Paar Kar Jaayein

Raastay Ye Kehtay Hain
Ab Tou Apnay Ghar Jaayein

Ik Zara Si Mohlat Ho
Dil Ki Baat Kar Jaayein

Sheher-e-Ishq Mein Aakhir
Kaisay Mautbar Ho Jaayein ?

Wo Palat Ke Dekhay Tou
Rung Se Bikhar Jaayein


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Noshi Gilani.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari