Parveen Shakir

Ranjish.com has lots of Urdu Parveen Shakir Poetry. Feel free to add your own Parveen Shakir Shayari here.

Parveen Shakir Collection

Parveen Shakir was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her, so keep coming back for new Parveen Shakir Poetry.

Parveen Shakir
1952-1994


Tooti hai meri neend magar tum ko is se kya ?

Parveen Shakir

Tooti hai meri neend magar tum ko is se kya,
Bajte rahen hawaaon se dar tum ko is se kya,

Tum mauj mauj misl-e-sabaa ghoomte raho,
Katt jayen meri soch ke par tum ko is se kya,

Auron ka hath thamo unhe rasta dikhao,
Main bhool jaon apna hi ghar tum ko is se kya,

Abr-e-gurez-e-paa ko barasne se kya gharaz,
Seepi main ban na paaye gohar tum ko is se kya,

Le jayen mujh ko maal-e-ghaneemat ke sath aduu,
Tum ne to daal di hai sipar tum ko is se kya,

Tum ne to thak ke dasht main khaimay laga liye,
Tanha katte kisi ka safar tum ko is se kya..



Husn ke samajhne ko umar chahiye janan..

Parveen Shakir

Husn ke samajhne ko umar chahiye janan,
Do ghaRri ki chahat main larkiyan nahin khultin..



Hum ne hi lautne ka irada nahin kiya..

Parveen Shakir

Hum ne hi lautne ka irada nahin kiya,
Us ne bhi bhool jane ka vada nahin kiya,

Dukh orrhte nahin jashn-e-tarab main hum,
Malbus-e-dil ko tan ka libada nahin kiya,

Jo gham mila hai bojh uthaya hai us ka khud,
Sar zer-e-bar-e-saghar-o-bada nahin kiya,

Kaar-e-jahan humen bhi bohat thay safar ki sham,
Us ne bhi iltifat zeyada nahin kiya,

Aamad pe teri itr-o-charagh-o-subuu na hon,
Itna bhi bood-o-bash ko saada nahin kiya..



Khule gi us nazar pe chashm-e-tar ahista ahista..

Parveen Shakir

Khule gi us nazar pe chashm-e-tar ahista ahista,
Kiya jata hai paani main safar ahista ahista,

Koi zanjeer phir wapas wahin par le ke ati hai,
KaThin ho raah to chuTTta hai ghar ahista ahista,

Badal dena hai rasta yah kahin pr beth jana hai,
Ke thakta ja raha hai hamsafar ahista ahista,

Khalish ke sath is dil se na meri jaan nikal jaye,
Khinche teer-e-shanasayi magar ahista ahista,

Havaa se sar-kashi main phool ka apna ziyaan dekha,
So jhukta ja raha hai ab yeh sar ahista ahista..

کھلے گی اس نظر پہ چشم تر آہستہ آہستہ - پروین شاکر



Ab bhala chorr ke ghar kya karte..

Parveen Shakir

Ab bhala chorr ke ghar kya karte,
Shaam ke waqt safar kya karte,

Teri masrufiyaten jante hain,
Apne aanay ki khabar kya karte,

Jab sitaare hi nahin mil paaye,
Le ke hum shamss-o-qamar kya karte,

Woh musafir hi khuli dhoop ka tha,
Saaye phailaa ke shajar kya karte,

Khaak hi awwal o aakhir thehri,
Kar ke zaray ko gauhar kya karte,

Raaye pehle hi bana li tum ne,
Dil main ab hum tere ghar kya karte..



Ik naam kya likha tera saahil ki rait par..

Parveen Shakir

Ik naam kya likha tera saahil ki rait par,
Phir umar bhhar meri hawaa se dushmani rahi..



Koi faisla to ho ke kidar jana chahiye..

Parveen Shakir

koi faisla to ho parveen shakir

Koi faisla to ho ke kidar jana chahiye,
Paani ko ab to sar se guzar jana chahiye,

Har baar erriyon pe gira hai mera lahuu,
Maqtal main ab ba-tarzz-e-digar jana chahiye,

Kya chal saken ge jin ka faqat masla yeh hai,
Jaane se pehle rakht-e-safar jana chahiye,

Jab bhi gaye azaab-e-dar-o-baaam tha wohi,
Akhir ko kitni dair se ghar jana chahiye,

Tohmat laga ke jo maaan pe dushman se daad le,
Aese sukhann-faroshh ko mar jana chahiye..



Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi..

Parveen Shakir

Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi,
Dil ko khushi ke sath sath hota raha malaal bhi,

Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aese dekhta,
Ek dafah to ruk gayee gardish-e-maah-o-saal bhi,

Dil to chamak sake ga kya phir bhi tarash ke dekh lain,
Sheesha giraan-e-sheher ke haath ka yeh kamaal bhi,

Us ko na pa sake thay jab dil ka ajeeb haal tha,
Ab jo palatt ke dekhiye baat hi kuch muhaal thi,

Meri talab tha aik shaks woh jo nahin mila to phir,
Hath dua se yoon giray bhool gaya sawaal bhi,

Uss ki sukhnn taraaziyan mere liye bhi dhaal theen,
Us ki hansi main chupp geya apne ghamon ka haal bhi,

Shaam ki nasamajh hawaa puch rahi hai aik pata,
Mauj-e-hawaa-e- ku-e-yaar, kar kuch to mera khayal bhi..



Yeh kab kehti hoon tum mere galay ka haar ho jao..

Parveen Shakir

Yeh kab kehti hoon tum mere galay ka haar ho jao,
Wahin se laut jana tum jahan se bezaar ho jao,

Mulaqaton main waqfa is liye hona zaroori hai,
Ke tum ik din judayi ke liye tayaar ho jao,

Bohat jald samajh main anay lagte ho zamane ko,
Bohat aasan ho thore bohat dushwaar ho jao,

Balaa ki dhoop se aayi hoon mera haal to dekho,
Bas ab aesa karo ke tum saaya-e-deewaar ho jao,

Abhi parrhne ke din hain likh bhi lena haal-e-dil apna,
Magar likhna tabhi jab laayeq-e-izhaar ho jao..



Yeh ghurbaten meri aankhon main kesi utri hain..

Parveen Shakir

yeh  ghurbaten meri ankhon main

Yeh ghurbaten meri aankhon main kesi utri hain,
Ke khawb bhi mere rukhsat hain, ratjagaa bhi geya..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Parveen Shakir.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari