Parveen Shakir

Ranjish.com has lots of Urdu Parveen Shakir Poetry. Feel free to add your own Parveen Shakir Shayari here.

Parveen Shakir Collection

Parveen Shakir was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her, so keep coming back for new Parveen Shakir Poetry.

Parveen Shakir
1952-1994


Wo Merey Pao.n Ko Choney Jhuka Tha Jis Lamhey

Parveen Shakir

Jagaa Sakey Na Terey Lub, Lakeer Aisi Thi
Humarey Bakht Ki Raikha Bhi Meer Aisi Thi

Ye Haath Chomey Gai, Phir Bhi Be-Gulaab Rahey
Jo Rutt Bhi Aai Khizaa.n K Safeer Aisi Thi

Wo Merey Pao.n Ko Choney Jhuka Tha Jis Lamhey
Jo Mangta Usey Deti Ameer Aisi Thi

Shahadatain Merey Huq Main Tamam Jaati Thee.n
Magar Khamosh They Munsif, Nazeer Aisi Thi

Kutar K Jaal Bhi Sayyad Ki Raza Ke Baghair
Tamaam Um’r Na Urti Aseer Aisi Thi

Phir Us Ke Baad Na Dekhey Visaal Ke Mausam
Judaiyo.n Ki Ghari Chashm Geer Aisi Thi

Bas Ik Nigah Mujhe Dekhta, Chala Jata
Us Aadmi Ki Mohabbat Faqeer Aisi thi

Rida K Saath Luterey Ko Zaad-e Raah Diya
Teri Firagh Dili Merey Veer Aisi Thi

Kabhi Na Chahney Walo.n Ka Khoo.n Baha Manga
Nigaar-e-Sheher-e-Sukhan Be-Zameer Aisi Thi



Koi aahat na koi chaap na koi awaaz..

Parveen Shakir

Koi aahat na koi chaap na koi awaaz,
Dil ki galiyan meri sunsaan hain aye koi..



Woh aik rishta benaam bhi nahin lekin..

Parveen Shakir

Woh aik rishta benaam bhi nahin lekin,
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaon gi..



Doobi hain meri ungliyaan apne lahuu main..

Parveen Shakir

Doobi hain meri ungliyaan khud apne lahuu main,
Yeh kaanch ke tukrron ko uthaney ki sazaa hai..



Bachpaney ki neend ki to ab khawb ho gayi

Parveen Shakir

Woh bachpaney ki neend ki to ab khawb ho gayi,
Kya umar thi ke raat huyi aur so gaye..



Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar..

Parveen Shakir

Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon,
Teri awaaz ka chehra main chuu kar dekh sakti hoon,

Abhi tere labon pe zikar fasl-e-gul nahin aya,
Magar ik phool khilte apne andar dekh sakti hoon,

Kinaara dhoondne ki chaah tak mujh mein nahin hogi,
Main apne gird aik aesa samandar dekh sakti hoon,

Vasaal-o-hijar apne yaksaa’n* hain, woh manzar hai chahat mein,
Main aankhain band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hoon,

Abhi tere siwaa duniyaa bhi hai maujood is dil main,
Main khud ko kiss tarah tere baraabar dekh sakti hoon..

(yaksaa’n;similar)



Ik shakhss ko sochti rahi main..

Parveen Shakir

Ik shakhss ko sochti rahi main,
Phir aayina dekhne lagi main,

Us ki tarah apna naam le ker,
Khud ko bhi lagi neyi neyi main,

Tu mere bina reh na saka to,
Kab tere baghair jee saki main,

Aati rahe ab bhi kahin se awaz,
Ab to tere pass agayi main,

Daaman tha tera ke mera maatha,
Jo daagh bhi they mittaa chuki main..



Gungunatey huye lamhon main usey..

Parveen Shakir

Gungunatey huye lamhon main usey,
Dheyaan mera kabhi aaya ke nahin..



Ghar ka darwaaza khulaa rakha hai..

Parveen Shakir

Ghar ka darwaaza khulaa rakha hai,
Waqt mil jaye to zehmat karnaa..



Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hun

Parveen Shakir

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hun
Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hun

Ye Tou Hai Ke Mera Wehem Hai !
Band Aankhon Se Tujh Ko Tak Rahi Hun

Jaisay Ke Kubhi Na Tha Taarruf
Yun Miltay Howay Jhijak Rahi Hun

Pehchaan! Mein Teri Roshni Hun
Aur Teri Palak Palak Rahi Hun

Kia Chain Mila Hai ——-Sir Jo Iske
Shaanon Pe Rakhay Sisak Rahi Hun

Pathar Pe Khili, Ke Chasham Gul Mein
Kaantay Ki Tarah Khatak Rahi Hun

Jugnuu Kaheen Thak Ke Gir Chuka Hai
Jangal Mein Kahan Bhatak Rahi Hun

Gurrya Meri Soch Ki Chhanni Kia
Bachi Ki Tarah Bilak Rahi Hun

Ik Umar Howi Khud Se Lartay
Andar Se Tamaam Thak Rahi Hun

Rus Phir Se Jarron Mein Jaa Raha Hai
Mein Shak Pe Kab Se Pak Rahi Hun

Takhleeq-e-Jamaal-e-Fun Ka Lamha !
Kalyon Ki Tarah Chatakh Rahi Hun


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Parveen Shakir.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari